(Bang-e-Dara) Himalay-2 (Tashreeh) Allamah Iqbaal
Bang-e-dara |
{Band-4}
Abr ke haantho me rahvar-e-hawa ke vaste
Taziyana de diya barq-e-sare kohsar ne...
Tashreeh-
Is band me Hazrat-e-Iqbaal badi hi khubsurti se farmate hain ki tere mahol ko dekhaa jaye to hawa itni tezz hai ki lagta hai jaise koi ghoda bhaag raha hai, aur iski raftaar mazeed tezz karne ke liye Aasman par chamakne wali bijliyon ne baadlon ke haantho me hunter thama diha ho...
Aye Himalay koi bazi-e-gaah hai tu bhi jise
Dost-e-qudrat ne banaya hai unaasir ke liye..
Tashreeh-
Aage farmate hain ki kahin aisaa to nhin ki tera daman khel ke maidaan ke ma'anind jise qudrat ne apne haantho ke saath badi khoobsurati se tashkeel diya ho
Haaye kya fart-e-tarb me jhoomta jata hai abr
Fīl-e-be-zanjīr ki aurat udaa jata hai abr...
Tashreeh-
Mazeed ta'aruf karte hue kehte hain ki, in pahadon ke ird gird badal aise khushi se jhoom rhe hain jaise (fīl-e-be-zanjīr) do be-lagaam haanthi daod rhe hon...
{Band-5}
Jumbash-e-mauj-e-nasime subah gavara nhin
Jhoomti hai nasha-e-hasti me har gul ki kali...
Tashreeh-
Iqbaal sahab ne is band me bhi pichli band ki tarah himalay ki khoobsurati bayaan kiya hai, ki yahaan subah sawere chalti hui hawa ne kisi jhoole ki si haisiyat ekhteyaar kar li hai, ...
Yon zubaan-e-barg se goya hai uski khamoshi
Dast-e-gulchi ki jhatak maine nhin dekhi kabhi...
Tashreeh-
Yahan qudrat ke be-had khoobsurat nazaraon ka izhaar hai, jahaan phool apni pattiyon ko mukhatib hokar keh rhi hon ki, hm itni unchaaiyon par hain ki aaj tak phool todne walon se kbhi hamara wastaa nhin huwa..
jisse muraad yeh ki wahan tak pahunchna kisi insaan ke bas ki bat nhi, yahi wajah hai ki ye phool kaliyan khushi se khil rhin hain...
Keh rahi hai meri khamoshi hi afsanah mera
Kunj-e-khalwat khana-e-qudrat hai kashana mera...
Tashreeh-
Aakhri shear me kehte hain ki himalay khud keh rha hai ki meri khamoshi hi meri zindagi ki daastan bayaan kar rhi hai, aur ye tanhaai se bhara huwa gosha jo ki Allaah ki qudrat ka nishaan hai, jo ki mere liye sukoon ka baais hai...
{Band-6}
Aati hai naddi faraz-e-koh se gaati hui
Kausar o tasnim ki maujon ko sharmati huii...
Tashreeh-
Iqbaal farmate hain ki tere pahadon ki balandiyon se jab chashmon ka paani jharnon ki surat me girta hai to yon mahsoos hota hai, jaise koi gana gaa rha ho, nadi ka paani is qadar shaffaf aur khoobsurat nazar aata hai, ke jannat me bahne waale chashme yani kausar aur tasneem bhi uski khoobsurati dekhkar sharma jayen
Aaina sa shahid-e-qudrat ko dikhlati hui,
Sang-e-raah se gaah bachti gaah takrati hui...
Tashreeh-
Yon lagta hai jaise is naddi ka paani qudrat ka nishaan dikhate hue guzar raha hai, iska andaazah is bat se hota hai ki in chashmon ka paani kabhi to paththaron se takraata hai to kabhi bachkar nikal jata hai..
Chedti jaa is Iraaq-e-dil-nashee'n ke saaz ko
Aye musafir Dil samjhta hai teri aawaz ko...
Tashreeh-
Is band ke aakhri shear me nadi ko ek musaafir ke ma'anind btaate hue farmaate hain ki tu isi tarah dil lubhaane waale andaaz me apni mausiqi ke raag bikherte jaa kyonki teri aawaz aur mausiqi ke raag me jo maayne chupe hain main unko jaanta hun...
Meanings-
rahvar-e-hawa- hawa ka ghoda
Taziyaana- ghoda
Koshsaar- pahaad
Baazi-e-gaah- khel ki jagah
Fart- intehaa
Tarab- Khushi
File be-zanjeer- do be-lagaam haanthi
Jumbash-e-mauj-e-nasime subah- subah ki hawa ki ravaani
Kahvara- jhoola
Barg- patta, pankhudi
Kunj-e-khalwat- Ek gosha jahaan tanhai ho
Kashana- Makan, ghar
Faraz-e-koh- pahad ki balandi
Shahid-e-qudrat- ma'ashuk
Iraaq- musiqi ka ek raag
Kausar o tasnim- jannat me bahne wale chashmon ki naam
Bang-e-dara, Himalaya-(3) Tashreeh
Comments