Bang-e-Dara (Himalay-3) Tashreeh-
Allamah Iqbaal
{Band-7}
Laila-e-shab kholti hai aake jab zulfe rasa
Daman dil kheechti hai isharon ki sada...
Tashreeh-
Is band me Iqbaal ne raat ke manazir ko bade dilkash andaaz me apne Ashaar ki zeenat banate hue farmate hain ki jab raat ki mahboobah apni lambi aur ghani zulfen bikherti hain to Aabsharon ki sadayen nehayat dil gudaaz mahsoos hoti hain,
Wo khamoshi sham ki jispar takallum ho fidaa
Wo darakhton par tafakkur ka sama chaya huwa...
Tashreeh-
Aage farmate hain ki, in lamhaat me har tarah ki guftugu in khamoshiyon par qurbaan ho jayen, aur aisa mahsoos hota hai ki tamaam darakht bhi khamoshi se Aabsharon ke khoobsurat geet sun rhe hon, aur is par soch bichar kr rhe hon...
Kaanpta firta hai kya rang-e-shafaq kohsaar par
Khushnuma lagta hai ye ghaza tere rukhsaar par...
Tashreeh-
Aur fir Iqbaal farmate hain ki shaam hoti hai to aisaa lagta hai jaise himalay ek dulhan ka roop ekhteyaar kar chuka hai, jabki suraj apni surkh kirnon se unpar chehre ki surkhiyon ki ma'anind khoobsurti par char chand laga rha hota hai aur manzar dilkashi ki inteha par pahunch jata hai...
{Band-8}
Aye Himalay daastan us waqt ki koi suna
Muskan-e-aba-e-insaan bana jab daman tera...
Tashreeh-
Nazm ke aakhri band me Iqbaal farmate hain ki, Aye himalay mujhe us daor ka ahwaal suna jab Hazrat Aadam A.s. zamin par aaye aur tere daman me makeen rhe,
Zaahir hai tu is qadar qadeem hai ki tujhe us waqt ke nazaare aaj bhi yaad honge...
Kuch bata us sidhi-sadhi zindagi ka majra
Daagh jispar ghaza-e-rang-e-takalluf ka na tha...
Tashreeh-
Un dinon ki zindagi kis qadar sidhi hogi jab yahaan kisi insaan ka wajood na hoga, Aye himalay! Mujhe us waqt ke halaat o waqeyat se aagah kar ke Tu har lamhe har qism ke takalufat se aari hoga...
Haan dikha de aye tasavvur fir woh subh o shaam tu
Daod piche ki taraf aye gardish-e-aiyaam tu...
Tashreeh-
Aakhri sher me Himalay ki khamoshi par khud ko mukhatir krte hue farmaate hain ki ye kyaa jawab dega, ye to ek paththar hai, lehaza tu khud hi apne tasavvuraat ka istemal kar aur guzre hue maazi ko paltakar manzar e aam par le aa....
Meanings-
Laila-e-shab- kali raat
Ghaza- paudar
Zulf-e-rasa- lambr aur ghane baal
Takallum- kam karna, bolna
tafakkur- soch vichar krna
Rang-e-shafaq- surkh rang
Rukhsaar- gaal
Maskan- rahne ki jagah
Aabaye insaan- insaan ke abaaye ajdaad
Daastan- kahaani, qissah
Comments