Urdu Nazm Ghalib ke sher aur Tashreeh (Dil hi to hai...) Dil hi to hai na sang wa khasht dard se bhar na aaye kyon Royenge ham hazaar bar koi hamen rulaye kyon.. Translate- Shayar apne dil se shikast hote hue kehta hai ki, insaan ke paas dil hota hai, aur dil ehsaas ke liye hota hai, aur ranj ho ya Khushi har baat ka ehsas Dil per hi hota hai, ranj me insaan rota hai, Aashiq kahta hai ki hamare Rone par tu kyon humko samjhata hai, ye dil hi to hai koi eent aur paththar to nhin hai jispar kisi qism ka asar hi na ho.. Hm to hazaar bar royenge koi hme rulata hi kyon hai jab bad me naseehaten krni hai... Der nhin, haram nhin, dar nhin, Aasta'n nhin Baithe hain rah-guzar pe hm koi hamen uthaye kyon... Translate- Hm sufi (saints) hain, aur sufi ko mandir ya masjid se koi sarokaar ya mtlb nhin hotaa, hm na kisi ki tareef krte hain.. na kisi ki tauheen, na ham kisi ke raaste me aate hain.. hm to shaah-e-Raah par baithe hue ...
Comments