Skip to main content

Khizr-e-raah (sarmayah o mehnat) Tashreeh part-1

 Khizr-e-raah (sarmayah o mehnat) Tashreeh- part*1*-


Khizr-e-raah (sarmayah o mehnat) Tashreeh- part*1*

banda-e-mazdūr ko jā kar merā paiġhām de

ḳhizr kā paiġhām kyā hai ye payām-e-kāaynāt..


Translate-

Hazrat khizr A.S. farmate hain ki Aye Iqbaal tum jaakar ghulam majduron ko Mera yeh Paigham de do ki ghulami Kai daur guzar chuka hai, wazeh rahe ki bandah-e-mazdur se Muraad woh aam tabqah hai, jo apni jismani aur zahni salahiyat se mehnat aur mulazmat karta hai, 

        jiske paas sirf waqt ki daulat hai agar uska waqt bika to use kuchh milega Varna wah Faqah-Kashi par majbur Hoga aur Sarmayah-daar ki category mein hukmaran aur jaagirdar tabqah bhi shamil hain, Isi pas-manzar ke sath suniye....



aye ki tujh ko khā gayā sarmāya-dār-e-hīla-gar

shāḳh-e-āhū par rahī sadiyoñ talak terī barāt..


Translate-

Halat to yeh hai ke saazish karne wala Sarmayah-daar tumhara haq maar raha hai, aur hukumat bhi Isi ke paas hai aur woh tumhare huquq ke liye qanoon-saazi kar raha hai, aur woh tumhare huqooq ka sarkari farmaan jaari Karke hiran ke singh par Rakh deta hai, jo majdur ke haanth Nahin aa sakta,

        Lihaza tumhare qanuni huquq bhi tumhen tahaffuz faraham nahin kar sakte, Na tum muqadma baazi ke Akhrajaat ke mutahammil (affordable) ho sakte ho, aur na hi tumhare muqadmaat ke faisley jaldi hote hain,.                                              aur tumhare huqooq ki paas-Dari ka yeh silsila to sadiyon se chala aa raha hai, lekin aaj tak tumhen Koi tahaffuz (Reservation) Na de saka, uski wajah bad-niyati par mushtaqil (shamil) loot khasot ka Sarmayah-daranah nizaam hai, jiska maqsad qaumi daulat aur tumhari mehnat ko hadap karna hai....


dast-e-daulat-āfrīñ ko muzd yuuñ miltī rahī

ahl-e-sarvat jaise dete haiñ ġharīboñ ko zakāt..


Translate-

Tumhare haantho se hi daulat Ki paidawar hoti hai, aur tumhen hi mazduri va tankhvah aise Di jaati hai, Jaise maaldar gharibon mein mufft Ki zakaat taqseem karte Hain,

Goyaa ki woh tumhara haq hai hi nhin, bajaye iske Ki vo tumhara ehsaan manen tumhari ujrat dekar ko ehsaan karte Hain...


sāhir-al-mūt ne tujh ko diyā barg-e-hashīsh

aur tū ai be-ḳhabar samjhā use shāḳh-e-nabāt..


Translate-

Yeh sarmayah-daar dar-haqiqat me jadugar hain, Jo tumhe har waqt bhang pila kar sulaye rakhta hai, aur uski Di hui buti Ko tum trkaari samajhkar khate ho, aur vah tumhen nasha pila kar apna Kam karta hai,

           lehaza vah tumhen apne ilm Aur taqat Ke Bina per bevkuf banata rahta hai aur tumhare Sochne samajhne ki salaahiyaton par Apne ehsaan ka pardah dalta rahta hai...


nasl qaumiyat kalīsā saltanat tahzīb rañg

ḳhvājgī ne ḳhuub chun chun ke banā.e muskirāt..


Translate-

Yeh sarmayah-daar, jageer-dar aur badshaah ek hi thali ke chatte batte hain, aur un sabne chunkar tumhare liye nashah-Aavar davaiyan banayi hain, jinhe tum bagair soche samjhe khakar mast ho jaate ho aur apna hi nuksan karate ho, aur nasha Aavar adbiyaat mein ganva dete ho,

                 Kabhi tumhen nasl ki buniyad par taqseem Kiya jata hai aur Kabhi qaumiyat ke naam per Kabhi tumhen majhab ki buniyad par ladaya jata hai aur Kabhi tumhara istehsaal, tahzeeb aur tamaddan ki buniyaad par Kiya jata hai, aur Kabhi tumhen kaale aur gore rangon Ki wajah se...

                 Asal kar dijiye hoti hai ki aap include kasur Ko Na Dekh sake jara kore rakho kaun kab aur kahan tumhen ki Union per tumhen masroof rakh raha hai tumhen bevkuf banaa raha hai...


kat marā nādāñ ḳhayālī devtāoñ ke liye

sukr kī lazzat meñ tū luTvā gayā naqd-e-hayāt..


Translate-

Aur tumhari kam-ilmi ka yeh Aalam hai ki tum khud bhi in nashon se baaz nahin aate ho aur waqt aane par tum inhin khayaali khudaon ke liye apni zindagi tak qurban kar dete ho Aur rang, qaumiyat, nasal, siyaasat, tahzeeb ke Nashe Ki lazzat khokar sarmayah-daar aur hukmaranon ke liye Apni Jaan de dete ho...


makr kī chāloñ se baazī le gayā sarmāya-dār

intihā-e-sādgī se khā gayā mazdūr maat..


Translate-

Yeh sab sarmayah-daar ki makr o fareb ki chalen thin, Jin mein tum intehayi saadgi se fans kar haar Gaye ho, Aur makkar Sarmayah-daar jeet gaya hai, aur tumhara sab kuch loot Kar le Gaya hai, Tumne ise kisliye chuna tha ki woh tumhare mushkilon ka hal nikalega,  Dekho ab vah tumhari mushkilon ka sabab bankar rah gaya hai...



uTh ki ab bazm-e-jahāñ kā aur hī andāz hai

mashriq-o-maġhrib meñ tere daur kā āġhāz hai..


Translate-

Aam insaan se Hazrat khizr A.S. farmate Hain, Ki Duniya Ki tarikh me ab Ek Naya mod le liya hai, aur purana Nizam khatm Karke Duniya Ek naye daur mein daakhil ho rahi hai, ab mushriq aur maghrib mein jo daor aane wala hai, us par Tumne aham kirdaar Adaa karna hai, aur maghribi ghalbe ka daur khatam hone Ko hai-

*Jo shaakh-e-nazuk pe Aashiyana banega, na-paidaar hoga,

Hazaar maujon ki ho kashaakash magar yeh dariyaa se paar hoga...




Comments

Popular posts from this blog

Tashreeh- kabhī aye haqīqat-e-muntazar nazar aa libās-e-majāz mein.. Allamah Iqbaal (Bang-e-Dara)

   Allamah Iqbaal ki Tashreeh- (Bang-e-Dara)    Description-  Is Ghazal me Allamah Iqbaal Rahmat-Ullaah Alaih ne musalmanon ko aur unke Rahnumaao'n ko aitmaad ka rishta qayem karne aur Apne faraayez ko anjaam dene ke liye jazbah paida krne par zor diya hai*   kabhī aye haqīqat-e-muntazar nazar aa libās-e-majāz mein ki hazāroñ sajde tadap rahe haiñ merī jabīn-e-niyāz mein.. Tashreeh- Allamah Iqbaal Rahmat-Ullaah Alaih saheb ne is shear me Haqiqat-e-muntazar yaani Allaah ta'ala ke didaar ki khwahishon ka izhaar kiya hai,          Wo Allaah ki ek zaat jo kbhi kisi shay ke saamne be-naqaab nhin hui, jise insaan apni zaahri aankhon se nhi dekh skta, hmare Nabi S.A.W. ke siwa kisi ne nhin dekha, aur har musalman ke dil me Allaah ko dekhne ki khwahish hoti, aur Ahle jannat jab jannat me jayenge, to sbse badi nemat jo jannat walon ko naseeb hogi wo Allaah ka didaar hi hoga,        Aye Allaah agar kbhi meri nazron ko aapk...

Ghalib ke sher aur Tashreeh

Urdu Nazm Ghalib ke sher aur Tashreeh (Dil hi to hai...) Dil hi  to hai na sang wa khasht dard se bhar na aaye kyon Royenge ham hazaar bar koi hamen rulaye kyon.. Translate- Shayar apne dil se shikast hote hue kehta hai ki, insaan ke paas dil hota hai, aur dil ehsaas ke liye hota hai, aur ranj  ho ya Khushi har baat ka ehsas Dil per hi hota hai, ranj me insaan rota hai, Aashiq kahta hai ki hamare Rone par tu  kyon humko samjhata hai, ye dil hi to hai koi eent aur paththar to nhin hai jispar kisi qism ka asar hi na ho..              Hm to hazaar bar royenge koi hme rulata hi kyon hai jab bad me naseehaten krni hai... Der nhin, haram nhin, dar nhin, Aasta'n nhin Baithe hain rah-guzar pe hm koi hamen uthaye kyon... Translate-  Hm sufi (saints) hain, aur sufi ko mandir ya masjid se koi sarokaar ya mtlb nhin hotaa, hm na kisi ki tareef krte hain.. na kisi ki tauheen, na ham kisi ke raaste me aate hain.. hm to shaah-e-Raah par baithe hue ...