Skip to main content

(Bang-e-Dara) Himalay-2 (Tashreeh) Allamah Iqbaal

 (Bang-e-Dara) Himalay-2 (Tashreeh) Allamah Iqbaal




Bang-e-dara




{Band-4}


Abr ke haantho me rahvar-e-hawa ke vaste

Taziyana de diya barq-e-sare kohsar ne...


Tashreeh-

Is band me Hazrat-e-Iqbaal badi hi khubsurti se farmate hain ki tere mahol ko dekhaa jaye to hawa itni tezz hai ki lagta hai jaise koi ghoda bhaag raha hai, aur iski raftaar mazeed tezz karne ke liye Aasman par chamakne wali bijliyon ne baadlon ke haantho me hunter thama diha ho...



Aye Himalay koi bazi-e-gaah hai tu bhi jise

Dost-e-qudrat ne banaya hai unaasir ke liye..


Tashreeh-

Aage farmate hain ki kahin aisaa to nhin ki tera daman khel ke maidaan ke ma'anind jise qudrat ne apne haantho ke saath badi khoobsurati se tashkeel diya ho


Haaye kya fart-e-tarb me jhoomta jata hai abr

Fīl-e-be-zanjīr ki aurat udaa jata hai abr...


Tashreeh-

Mazeed ta'aruf karte hue kehte hain ki, in pahadon ke ird gird badal aise khushi se jhoom rhe hain jaise (fīl-e-be-zanjīr) do be-lagaam haanthi daod rhe hon...



{Band-5}


Jumbash-e-mauj-e-nasime subah gavara nhin

Jhoomti hai nasha-e-hasti me har gul ki kali...


Tashreeh-

Iqbaal sahab ne is band me bhi pichli band ki tarah himalay ki khoobsurati bayaan kiya hai, ki yahaan subah sawere chalti hui hawa ne kisi jhoole ki si haisiyat ekhteyaar kar li hai, ...


Yon zubaan-e-barg se goya hai uski khamoshi

Dast-e-gulchi ki jhatak maine nhin dekhi kabhi...


Tashreeh-

Yahan qudrat ke be-had khoobsurat nazaraon ka izhaar hai,  jahaan phool apni pattiyon ko mukhatib hokar keh rhi hon ki, hm itni unchaaiyon par hain ki aaj tak phool todne walon se kbhi hamara wastaa nhin huwa..

 jisse muraad yeh ki wahan tak pahunchna kisi insaan ke bas ki bat nhi, yahi wajah hai ki ye phool kaliyan khushi se khil rhin hain... 


Keh rahi hai meri khamoshi hi afsanah mera

Kunj-e-khalwat khana-e-qudrat hai kashana mera...


Tashreeh-

Aakhri shear me kehte hain ki himalay khud keh rha hai ki meri khamoshi hi meri zindagi ki daastan bayaan kar rhi hai, aur ye tanhaai se bhara huwa gosha jo ki Allaah ki qudrat ka nishaan hai, jo ki mere liye sukoon ka baais hai...




{Band-6}


Aati hai naddi faraz-e-koh se gaati hui

Kausar o tasnim ki maujon ko sharmati huii...


Tashreeh-

Iqbaal farmate hain ki tere pahadon ki balandiyon se jab chashmon ka paani jharnon ki surat me girta hai to yon mahsoos hota hai, jaise koi gana gaa rha ho, nadi ka paani is qadar shaffaf aur khoobsurat nazar aata hai, ke jannat me bahne waale chashme yani kausar aur tasneem bhi uski khoobsurati dekhkar sharma jayen


Aaina sa shahid-e-qudrat ko dikhlati hui,

Sang-e-raah se gaah bachti gaah takrati hui...


Tashreeh-

Yon lagta hai jaise is naddi ka paani qudrat ka nishaan dikhate hue guzar raha hai, iska andaazah is bat se hota hai ki in chashmon ka paani kabhi to paththaron se takraata hai to kabhi bachkar nikal jata hai.. 


Chedti jaa is Iraaq-e-dil-nashee'n ke saaz ko

Aye musafir Dil samjhta hai teri aawaz ko...



Tashreeh- 

Is band ke aakhri shear me nadi ko ek musaafir ke ma'anind btaate hue farmaate hain ki tu isi tarah dil lubhaane waale andaaz me apni mausiqi ke raag bikherte jaa kyonki teri aawaz aur mausiqi ke raag me jo maayne chupe hain main unko jaanta hun...



Meanings-


rahvar-e-hawa- hawa ka ghoda

Taziyaana- ghoda

Koshsaar- pahaad

Baazi-e-gaah- khel ki jagah

Fart-  intehaa

Tarab- Khushi

File be-zanjeer- do be-lagaam haanthi

Jumbash-e-mauj-e-nasime subah- subah ki hawa ki ravaani

Kahvara- jhoola

Barg-  patta, pankhudi

Kunj-e-khalwat- Ek gosha jahaan tanhai ho

Kashana-  Makan, ghar

Faraz-e-koh-  pahad ki balandi


Shahid-e-qudrat- ma'ashuk

Iraaq- musiqi ka ek raag

Kausar o tasnim- jannat me bahne wale chashmon ki naam


Bang-e-dara, Himalaya-(3) Tashreeh



Comments

Popular posts from this blog

Ghalib ke sher aur Tashreeh

Urdu Nazm Ghalib ke sher aur Tashreeh (Dil hi to hai...) Dil hi  to hai na sang wa khasht dard se bhar na aaye kyon Royenge ham hazaar bar koi hamen rulaye kyon.. Translate- Shayar apne dil se shikast hote hue kehta hai ki, insaan ke paas dil hota hai, aur dil ehsaas ke liye hota hai, aur ranj  ho ya Khushi har baat ka ehsas Dil per hi hota hai, ranj me insaan rota hai, Aashiq kahta hai ki hamare Rone par tu  kyon humko samjhata hai, ye dil hi to hai koi eent aur paththar to nhin hai jispar kisi qism ka asar hi na ho..              Hm to hazaar bar royenge koi hme rulata hi kyon hai jab bad me naseehaten krni hai... Der nhin, haram nhin, dar nhin, Aasta'n nhin Baithe hain rah-guzar pe hm koi hamen uthaye kyon... Translate-  Hm sufi (saints) hain, aur sufi ko mandir ya masjid se koi sarokaar ya mtlb nhin hotaa, hm na kisi ki tareef krte hain.. na kisi ki tauheen, na ham kisi ke raaste me aate hain.. hm to shaah-e-Raah par baithe hue ...

Khizr-e-raah (sarmayah o mehnat) Tashreeh part-1

  Khizr-e-raah (sarmayah o mehnat) Tashreeh- part*1*- banda-e-mazdūr ko jā kar merā paiġhām de ḳhizr kā paiġhām kyā hai ye payām-e-kāaynāt.. Translate- Hazrat khizr A.S. farmate hain ki Aye Iqbaal tum jaakar ghulam majduron ko Mera yeh Paigham de do ki ghulami Kai daur guzar chuka hai, wazeh rahe ki bandah-e-mazdur se Muraad woh aam tabqah hai, jo apni jismani aur zahni salahiyat se mehnat aur mulazmat karta hai,          jiske paas sirf waqt ki daulat hai agar uska waqt bika to use kuchh milega Varna wah Faqah-Kashi par majbur Hoga aur Sarmayah-daar ki category mein hukmaran aur jaagirdar tabqah bhi shamil hain, Isi pas-manzar ke sath suniye.... aye ki tujh ko khā gayā sarmāya-dār-e-hīla-gar shāḳh-e-āhū par rahī sadiyoñ talak terī barāt.. Translate- Halat to yeh hai ke saazish karne wala Sarmayah-daar tumhara haq maar raha hai, aur hukumat bhi Isi ke paas hai aur woh tumhare huquq ke liye qanoon-saazi kar raha hai, aur woh tumhare huqooq ka sarkari farmaan...

Bang-e-Dara Himalaya-1 (Tashreeh)

  Bang-e-Dara, Himalaya-1 Allamah Iqbaal ki Nazm ki Tashreeh- Description-  Allamah Iqbaal sahab ne is nazm me Himalay ki bulandi wa khoobsurati ka zikr kiya hai, uski Hindustan me ahmiyat wa khususiyat ko bade dil-nasheen andaz me bayaan kiya hai... (Band-¹) Aye himala e fasile kishware Hindustan  Chumta hai teri peshani ko jhuk kar Aasman... Tashreeh- Hazrat Iqbaal ki ye nazm watan parasti aur qudrat ke husn ki taarif se bhari hui hai,        Allamah Iqbaal koh himalay se mukhatib hokar farmate hain ki teri haisiyat Hindustan ki sar zameen ke liye ek aisi diwaar ki si hai jo apne watan ki muhafiz (hifazat gaar) ho, yahi nhin balki tera wajood is qadar buland bala hai ki mahsoos hota hai ki Aasman khud teri peshaani par bosah de rha hai Tujhme kuch paida nhin derina rozi ke nishaan Tu javaan hai gardish-e-sham o shahar ke darmiyaan... Tashreeh - Agle shear me farmate hain ki ba-zaahir tere wajood me lambi umr ke asraat nazar nhin aate, lekin iske ba-w...