Bang-e-Dara, Himalaya-1
Allamah Iqbaal ki Nazm ki Tashreeh-
Description-
Allamah Iqbaal sahab ne is nazm me Himalay ki bulandi wa khoobsurati ka zikr kiya hai, uski Hindustan me ahmiyat wa khususiyat ko bade dil-nasheen andaz me bayaan kiya hai...
(Band-¹)
Aye himala e fasile kishware Hindustan
Chumta hai teri peshani ko jhuk kar Aasman...
Tashreeh-
Hazrat Iqbaal ki ye nazm watan parasti aur qudrat ke husn ki taarif se bhari hui hai,
Allamah Iqbaal koh himalay se mukhatib hokar farmate hain ki teri haisiyat Hindustan ki sar zameen ke liye ek aisi diwaar ki si hai jo apne watan ki muhafiz (hifazat gaar) ho, yahi nhin balki tera wajood is qadar buland bala hai ki mahsoos hota hai ki Aasman khud teri peshaani par bosah de rha hai
Tujhme kuch paida nhin derina rozi ke nishaan
Tu javaan hai gardish-e-sham o shahar ke darmiyaan...
Tashreeh-
Agle shear me farmate hain ki ba-zaahir tere wajood me lambi umr ke asraat nazar nhin aate, lekin iske ba-wajud hm dekhte hain ki tera buland wajood kai sadiyaan guzar jaane ke baad bhi din aur raat ke chakkar ke darmiyaan waise hi zindah hai jaise ibtida me tha, aur aaj tk teri kamzori ke Asaar kisi taur zaahir nhin hue...
Ek jalwa tha kaleem tur sina ke liye
Tu tajalli hai sarapa chashm-bina ke liye...
Tashreeh-
Allamah farmate hain ek taraf to woh tur sinah ka pahad ka nazarah hai jahan Allaah ne Hazrat Musaa' ko apne noor ka jalwah dikhaya aur dusri taraf ek tu hai, jo aise chamakta hai ki dekhne wali aankh ko pure ka pura pahadi silsilah hi kisi noor ki ma'anind mahsoos hota hai...
(Band-²)
Imtihaan-e-dida-e-zahir me kohistaan hai tu
Pasba'n apna hai tu diwar-e-Hindusta'n hai tu...
Tashreeh-
Allamah Iqbaal sahab pahadi silsile ko mukhatib krke kehte hain ki waise to ba-zaahir Tu ek pahad hai jo har dekhne walon ko nazar aata hai, magar haqiqat ye hai ki tu hindustaan ke liye ek hifazati diwaar hai, jo apne mulq ke liye sada chattaan bankar khadi rahti hai...
Matla'a-e-awwal falak jiska hai wo divaan hai tu
Suwe-khalwat gah-e-dil daman kash insaan hai tu...
Tashreeh-
Aur agar tujhe kisi shayar ka diwaan kaha jaye to tera pahla shear Aasman ka khud hoga, aur tanhai pasand logon Ke liye Tera wajood intehayi sukoon ka ba'is hoga, koi bhi tere aaghosh me aayega to badi rahat payega, aisa pur-sukoon muqaam hai tera...
Barf ne baandhi hai dastaar fazilat tere sar par
Khanda-zan hai jo kulah-e-mahr-e-Alam taab par...
Tashreeh-
Agar dekha jaye to tere pahadon par jo barf padti hai aisa mahsoos hota hai ki kisi buzurg ke sar par ehtaraaman pagdi bandhi gayi ho, aur yahi dastaar suraj ne bhi apni khubsurt nikalti hui kirnon ki surat pahen rkhi hai...
(Band-³)
Teri umr-e-raftah ki ek aan hai ahd-e-kuhan
Wadiyon me hain teri kaali ghatayen khema-e-zan...
Tashreeh-
Allamah farmate hain ki, Aye himalay teri shaan o shauqat ka andaazah tere taabnak mazi se lagaya jaa skta hai, kyonki tu us waqt se aaj tak usi bulandi wa wajaahat ka namuna hai, tere pahadon ke saaye jab ird gird ki wadiyon par padte hain, to yun mahsoos hota hai jaise khemah bastiyaan qayem kar di gayin hon,
Chotiyaan teri suraiyya se hai sar garm-e-sukhan
Tu zameen par aur pahnaye falak tera watan...
Tashreeh-
Is shear me Allamah ne himalay ki bulandiyon ko wazeh kiya hai,
Ye baat durust hai ki tera wajood zamin par maujood hai, lekin teri wajaahat tujhe Aasman ka makeen zahir karti hai,
Chashma-e-daman tera aainah saiyaal hai
Daman-e-mauj huwa jiske liye rumaal hai...
Tashreeh-
Tere god se foot-te hue chashmon ka paani is qadar shaffaf hai, ki jaise bahtaa huwa Aainah hai aur yahaan jo hawa hai wo tere chashmon ko mazeed shaffaf kar deti hai...
Meanings-
Faseel- pahad
Chashm binah- dekhne wali aankh
Kishwar-e-hundustaan- Hindustan ki sar zameen
Derina-rozi- lambi umr
Gardish-e-sham o shahar- raat aur din ka chakkar
Kaleem- Hazrat Musaa' A.S. ka laqab
Tur-e-sina- us pahad ka naam jahaan Hazrat Musaa' Allaah se hm-kalaam hote the..
Didah- Aankh
Pasbaan- nigah-baani karne wala
Diwaan- she'ari majmua'
Matla'a- kisi bhi ghazal ya nazm ka pahla sher
Suwe-khalwat gah-e-dil- dil ki tanhai ki janib
Daman kash- daman khichne wala
Dastar-e-fazilat- buzurgi wali pagdi
Khanda-zan- kisi ki hansi udaane wala
Suraiyya- wo saat sitaare jo bahut faasle par hai
Ahd-e-kuhan- maazi, purana waqt
Pahnaye falak- Aasman ki wus'at
Aainah-e-saiyyaal- bahne wala
Sar garm-e-sukhan- mahve guftugu rhna
Bang-e-Dara Himalaya(2) Tashreeh
To be continue.....
Comments