Skip to main content

Posts

Showing posts with the label Mirza Ghalib

Ghalib ke sher aur Tashreeh

Urdu Nazm Ghalib ke sher aur Tashreeh (Dil hi to hai...) Dil hi  to hai na sang wa khasht dard se bhar na aaye kyon Royenge ham hazaar bar koi hamen rulaye kyon.. Translate- Shayar apne dil se shikast hote hue kehta hai ki, insaan ke paas dil hota hai, aur dil ehsaas ke liye hota hai, aur ranj  ho ya Khushi har baat ka ehsas Dil per hi hota hai, ranj me insaan rota hai, Aashiq kahta hai ki hamare Rone par tu  kyon humko samjhata hai, ye dil hi to hai koi eent aur paththar to nhin hai jispar kisi qism ka asar hi na ho..              Hm to hazaar bar royenge koi hme rulata hi kyon hai jab bad me naseehaten krni hai... Der nhin, haram nhin, dar nhin, Aasta'n nhin Baithe hain rah-guzar pe hm koi hamen uthaye kyon... Translate-  Hm sufi (saints) hain, aur sufi ko mandir ya masjid se koi sarokaar ya mtlb nhin hotaa, hm na kisi ki tareef krte hain.. na kisi ki tauheen, na ham kisi ke raaste me aate hain.. hm to shaah-e-Raah par baithe hue ...

Mirza Ghalib sher & meaning

Dard min'nt kash dawa Na hua, main na achcha hua Bura Na hua.. Translate-  Shayar kehta hai ki ye to achcha hai ki  Mere dard ne kisi dwa ka ehsaan na liya, aur dwa na lene ke wajh se mera dard achcha bhi na huwa, lekin ye to achcha huwa ki maine kisi ka ehsaan na liya..        (Yani yaha par shayar ne ishq ko dard aur  mahboob ko dawa se mowazna kiya hai )   Jamaa karte ho kyon raqeebon ko, Ek tamasha huwa gilaa na huwa.. Translate- Shayar kehta hai ki aye mere mahboob! Maine tumhari be-eatnaayi (berukhi) ki shikayat ki thi, aur tumne raqeebon (mukhalif logon)  ko jama karke usko bayaan kiya, goya meri shikayat nhin ek tamasha khada kr diya.. Ham kahan qismat aazmane jaayen, Tu hi jab khanjar aazmaa na huwa... Translate- Aashiq chahta hai ki  mahboob uska ho Jaye (fitri hai ki har Aashiq ki ye chahat hoti hai) aur apne ishqq se mahboob usko fanaa Kar de, uski wafaa to chordo uski jafaon mein bhi aashiqon ko lutf aata hai, lekin yeh...