Skip to main content

Ghalib ke sher aur Tashreeh

Urdu Nazm
Ghalib ke sher aur Tashreeh (Dil hi to hai...)

Dil hi to hai na sang wa khasht dard se bhar na aaye kyon

Royenge ham hazaar bar koi hamen rulaye kyon..

Translate-

Shayar apne dil se shikast hote hue kehta hai ki, insaan ke paas dil hota hai, aur dil ehsaas ke liye hota hai, aur ranj  ho ya Khushi har baat ka ehsas Dil per hi hota hai, ranj me insaan rota hai, Aashiq kahta hai ki hamare Rone par tu  kyon humko samjhata hai, ye dil hi to hai koi eent aur paththar to nhin hai jispar kisi qism ka asar hi na ho..

             Hm to hazaar bar royenge koi hme rulata hi kyon hai jab bad me naseehaten krni hai...


Der nhin, haram nhin, dar nhin, Aasta'n nhin

Baithe hain rah-guzar pe hm koi hamen uthaye kyon...


Translate- 

Hm sufi (saints) hain, aur sufi ko mandir ya masjid se koi sarokaar ya mtlb nhin hotaa, hm na kisi ki tareef krte hain.. na kisi ki tauheen, na ham kisi ke raaste me aate hain.. hm to shaah-e-Raah par baithe hue hain, jahaan se hme koi bhi uthaa nhin skta...


Qaid hayaat wa band ghum Asal me dono ek hain,

Maut se phle aadmi ghum se nijaat paaye kyon


Translate-

Insaan ki Zindagi ghum wa Alm ka markaz hai, jab tk ye Zindagi saath rhegi, saans me saans rhegi tb tk insaan ke Zindagi me ghum hmsafar bankar saath chalega, maut se pahle insaan Ranj wa ghum se chutkaara nhi paa skta...


Haan wo nhin wafaa parast jaao wo bewafa sahi

Jis ko ho jaan o dil azeez uski gali me jaayen kyon...


Translate-

Mahboob ne mere upar jafaayen kin theek hai, chalo usko hmne bewafa maan liyaa, lekin ek baat to hai ki jisko apne jaan o dil bade azeez hon wo ishqq ki gali se hargiz na guzre, wrna mahboob ki tezz nazar ka nawik(teer) usko nhin bakhshega, aur aakhir me aashiq ko shikastah dil laotna pdega...


Ghalib khastah ke bina kaon sa kaam

Roiye zar zar kiya kijiye haye haye kyon


Translate-

Ghalib bhi zindgi bhar tang-dast wa pareshaan rhe, kbhi unhe roohani sukoon wa duniya ki khushiyaan wa Aasaishen mayassar nhin huin,

Kehte hain ki agar Ghalib mar gyaa to duniya ko kyaa, duniya ka kaun sa kaam uske na hone se ruk jayega, ye sochna aur rona, afsos krna bekaar hai, fizool hai...


Words-

Sang- paththar

Khashtah- eent, (stone)

Aasta'an- daastaan

Dar- darwaza

Qaid hayaat- zindgi ki pabandi

Comments

Faria kulsoom said…
Superb explanation
Aiman Alizey said…
If u all want any specific poem's explanation, then tell me it's first line ??

Popular posts from this blog

Tashreeh- kabhī aye haqīqat-e-muntazar nazar aa libās-e-majāz mein.. Allamah Iqbaal (Bang-e-Dara)

   Allamah Iqbaal ki Tashreeh- (Bang-e-Dara)    Description-  Is Ghazal me Allamah Iqbaal Rahmat-Ullaah Alaih ne musalmanon ko aur unke Rahnumaao'n ko aitmaad ka rishta qayem karne aur Apne faraayez ko anjaam dene ke liye jazbah paida krne par zor diya hai*   kabhī aye haqīqat-e-muntazar nazar aa libās-e-majāz mein ki hazāroñ sajde tadap rahe haiñ merī jabīn-e-niyāz mein.. Tashreeh- Allamah Iqbaal Rahmat-Ullaah Alaih saheb ne is shear me Haqiqat-e-muntazar yaani Allaah ta'ala ke didaar ki khwahishon ka izhaar kiya hai,          Wo Allaah ki ek zaat jo kbhi kisi shay ke saamne be-naqaab nhin hui, jise insaan apni zaahri aankhon se nhi dekh skta, hmare Nabi S.A.W. ke siwa kisi ne nhin dekha, aur har musalman ke dil me Allaah ko dekhne ki khwahish hoti, aur Ahle jannat jab jannat me jayenge, to sbse badi nemat jo jannat walon ko naseeb hogi wo Allaah ka didaar hi hoga,        Aye Allaah agar kbhi meri nazron ko aapk...

Khizr-e-raah (sarmayah o mehnat) Tashreeh part-1

  Khizr-e-raah (sarmayah o mehnat) Tashreeh- part*1*- banda-e-mazdūr ko jā kar merā paiġhām de ḳhizr kā paiġhām kyā hai ye payām-e-kāaynāt.. Translate- Hazrat khizr A.S. farmate hain ki Aye Iqbaal tum jaakar ghulam majduron ko Mera yeh Paigham de do ki ghulami Kai daur guzar chuka hai, wazeh rahe ki bandah-e-mazdur se Muraad woh aam tabqah hai, jo apni jismani aur zahni salahiyat se mehnat aur mulazmat karta hai,          jiske paas sirf waqt ki daulat hai agar uska waqt bika to use kuchh milega Varna wah Faqah-Kashi par majbur Hoga aur Sarmayah-daar ki category mein hukmaran aur jaagirdar tabqah bhi shamil hain, Isi pas-manzar ke sath suniye.... aye ki tujh ko khā gayā sarmāya-dār-e-hīla-gar shāḳh-e-āhū par rahī sadiyoñ talak terī barāt.. Translate- Halat to yeh hai ke saazish karne wala Sarmayah-daar tumhara haq maar raha hai, aur hukumat bhi Isi ke paas hai aur woh tumhare huquq ke liye qanoon-saazi kar raha hai, aur woh tumhare huqooq ka sarkari farmaan...