Saqi Namah band-5, (Tashreeh) Allamah Iqbaal
فریب نظر ہے سکون و ثبات
تڑپتا ہے ہر ذرۂ کائنات
ٹھہرتا نہیں کاروان وجود
کہ ہر لحظ ہے تازہ شان وجود
سمجھتا ہے تو راز ہے زندگی
فقط ذوق پرواز ہے زندگی
بہت اس نے دیکھے ہیں پست و بلند
سفر اس کو منزل سے بڑھ کر پسند
سفر زندگی کے لیے برگ و ساز
سفر ہے حقیقت حضر ہے مجاز
الجھ کر سلجھنے میں لذت اسے
تڑپنے پھڑکنے میں راحت اسے
ہوا جب اسے سامنا موت کا
کٹھن تھا بڑا تھامنا موت کا
اتر کر جہان مکافات میں
رہی زندگی موت کی گھات میں
مذاق دوئی سے بنی زوج زوج
اٹھی دشت و کوہسار سے فوج فوج
گل اس شاخ سے ٹوٹتے بھی رہے
اسی شاخ سے پھوٹتے بھی رہے
سمجھتے ہیں ناداں اسے بے ثبات
ابھرتا ہے مٹ مٹ کے نقش حیات
بڑی تیز جولاں بڑی زود رس
ازل سے ابد تک رم یک نفس
زمانہ کہ زنجیر ایام ہے
دموں کے الٹ پھیر کا نام ہے
Description-
Saqi Namah band-5 ke is Tashreeh me Allamah Iqbaal sahab ne Saqi ki zubaani zindagi ke raazon par padhe hue gahre pardon ko Mazid uthaya hai, aur Chand amli naqaad ki taraf nishandehi bhi ki hai,
agar aap chahen to in pardon ke uthne se apne tarz-e-amal par nazr-e-sani Karke apni shakhsiyat o kirdaar ki behtarin andaaz Mein Ta'amir Karke Apne kamyabi aur taraqqi ke raste ham-vaar kar sakte hain...
(Band-5)
fareb-e-nazar hai sukun o sabat
tadapta hai har zarra-e-kaynat...
Tashreeh-
Is Aafaq aur anfus men Jo sukoon aur thahraao dikhayi deta hai, sab nazar ka dhokah hai,
jab ki haqiqat yeh hai ki is kaynat ka zarrah- zarrah mahve-Safar hai, ba'az haalton mein yeh raat bhar mushtamil ajsaam numayaan aur bar-harkat mein nazar aate Hain, Aur kahin ye ruke aur thahre hue lagte Hain,
kainaati ajsaam Suraj, Chand sitaron waghairah Ke thaharao ke is andaaz se dhokah Nahin khana chahiye...
Thaherta nahin karvan-e-wajud
ki har lahz hai taaza shan-e-wajud...
Tashreeh-
Wajood ka yeh kainaati qafilah kabhi bhi nahin rukta, har Ek shay Apne madaar mein gardish kar rahi hai,
wajud ki aan-baan, sajh-dhaj shaan-o-shaukat aur thath-baat yeh hai ki rahne Safar ke zariye hi khud Ko taazah aur (Refresh) karta hai, aur apni musalsal harkat se apna basipan khatm kar deta hai...
samajhta hai tu raaz hai zindagī
faqat zuaq-e-parvaz hai zindagī...
Tashreeh-
Tu samjhta hai ki zindagi Ek "Raaz" hai, Jaan log ke zindagi naam hai sirf aur sirf unchi se unchi udaan bharne ke shauk aur jazbeh Ka,
Jo afraad aur qaumen udaan bharne Ka shauq rakhti hain, wahi Duniya mein sar-buland hote Hain, aur "bazoo" aur "par" maujud hone ke bawajud jinhen uncha udne Ka shauq Nahin hota,
Woh thak haar-kar gir jaate Hain Aur dusron Ka shikar ban jaate Hain...
bahut us ne dekhe hain past o buland
safar us ko manzil se badh kar pasand...
Tashreeh-
Chonki zindagi aur waqt ki takliq Ek saath hui hai, isliye zindagi ne afraad wa aqwaam ke liye bahut nashaib wa afraad dekhe Hain,
magar na to yeh rukti hai aur na hi yeh rukne walon ke saath rahti hai, Ise to bas taraqqi ke safar mein rahna hi pasand hai,
koi manzil iske liye aakhri manzil Nahin Hoti, yeh har manzil ko apni agli taraqqi ka sang-e-mil samajhti hai, aur ise chhodh Kar aage badh jaati hai,
koi manzil iske liye rukawat Nahin ban sakti, isiliye yeh chalne walon ke sath chalti rahti hai, aur rukne walon Ko piche chhod jaati hai,
Jo log bhi zindagi ke is ravaiye ko apna le lete hain, wahi kameyab qaraar paate Hain...
safar zindagī ke liye barg o saaz
safar hai haqīqat hazar hai majaz..
Tashreeh-
Masafrat, siyahat aur nasb-ul-Ayn (moderation) ki talab ka musalsal Shauq hi Mizraab h, Ke jisse zindagi ke saaz mein Khushi aur Aman ke naghme bikharte hain,
jabki padaao aur thahraao tark-e-talab hai, jo mahez Ek dhokah hai, aur maut hai..
jo fard ya qaum apni Islaah aur behtari ka safar rok dey, woh zindah laash hai, jo dusron ke rahem o karam par pada rahe, iski koi haisiyat Nahin...
ulajh kar sulajhne men lazzat use
tadapne phadakne men rahat use...
Tashreeh-
Zindagi ko mushkilaat pasand hai, yeh ulajhne ke ba'ad sulajhne se khush hoti hai,
Ya'ani bah-himmat afraad aur aqwaam ka mushkilaat me aazmaish ka muqabalah Karke jeet Jana zindagi ko achcha lagta hai aur yeh aise kamyab logon ko hi Duniya mein qeyadat Ki baag-Dor saonpti hai jo badi khwahish, unchi tamanna aur a'ala nisb-ul-ayn rakhte Hain....
hua jab use samna maut ka
kathin tha bada thamna maut ka..
Tashreeh-
Zindagi kabhi bhi khud Ko maut Ke hawale Nahin karti, aur jab Kisi zindah jism mein zindagi ke khatmeh ke liye Marg Aaye To yeh hayaat maut Ka muqabla Karti hai,
maut us waqt badi mushkil me hoti hai, jab use Zindagi se wastah padta hai, jab use jism ki jaan lene ke liye aati hai, To khud ko bahut mushkil se tham kar rakhti hai...
utar kar jahan-e-makafat men
rahī zindagī maut kī ghaat men..
Tashreeh-
Maut bah-zahir to jissm Ko maar Kar chali jaati hai, magar ajal ke baad zindagi inteqam lene ke liye is Jism se nikal kar maut Ka picha shuru kar deti hai,
aur bil-aakhir yeh maut ko shikar Karke Ek nayi Surat mein Kisi naye Jism Mein zahir ho jaati hai, yani maut itna zindagi ko shikar nahin karti jitna maut zindagi ko shikar karti hai...
mazaq-e-duī se banī zauj zauj
uthī dasht o kohsar se fauj fauj..
Tashreeh-
Maut jis qadar jismon ko Marti hai, zindagi usse Kahi guna zyada Naye jism talaash kar leti hai,
isiliye zindagi ko joda-joda bankar rahna pasand hai, aur yeh Apne jodon ke zariye hujumon Ki Surat Mein jungalaat, sahraaon, dariyaaon, samundaron, pahadon, kheton, khaliyanon, shahron aur dehaaton se uth uthkar nikalti hai,
is Tarah maut Ke tabadtod hamlon ke bah-wajud zindagi ke ajsaam ki fauj Mein Kami ke bajaye izafah hi hota Chala jata hai....
gul is shāḳh se TuTte bhī rahe
isī shaḳh se phuTte bhī rahe..
Tashreeh-
Yeh woh sadabahar paudha hai jo murjhata Nahin, jiski shaakhon se purane phool tut-kar gir jaate Hain, aur Nit-naye Phool khilte bhi rahte hain,
aur waqt Ke sath sath uski Jaden mazeed falti Aur fulati hain, jisse Uski shakhon par phool aur falo mein kami ke bajaye izafah hi hota Chala jata hai...
samajhte hain nadan use be-sabat
ubhartā hai miT miT ke naqsh-e-hayat..
Tashreeh-
Bewaquf samajhte hain Ki ye zindagi fanaa ho jaane wali hai, aisa Nahin hai..
balki faani yeh anasir ka bana hua jism hota hai Aur yeh Zindagi Ke naqoosh Kisi naye jism Mein behtar andaaz Mein ubharane ke liye purane Jismon se miTte rehte Hain...
badī tez jaulan badī zud-ras
azal se abad tak ram-e-yak-nafs..
Tashreeh-
Zindagi bahut tezz raftaar hai, aur Surat ke saath apne hadaf tak Jaa pahunchti hai, uski Ek chalaang "Azal" tah "Abad" hai,
ya'ani waqt bhi zindagi Ki raftaar ka muqabla nahin kar sakta, kyunki yeh zindagi roz-e-avwal se roz-e-abad tak ka safar ek jusst Mein tay karne ki Salahiyat rakhti hai,
aur Jism Jo waqt ki qaid mein rahta hai, zindagi waqt ki us qais se bhi aazad hai...
zamana ki zanjīr-e-ayyam hai
damon ke ulat-pher ka naam hai..
Tashreeh-
Qaainati aitbaar se insaan se mut'alluq do zamaane hain, Ek zamana ya'ani waqt silsilah-e-roz o shab, din Aur Raat Ki Ek kadi ka naam hai,
jo Azal se Abad tak faili hui hai, Jise (absolute time) kaha jata hai, aur zamane ke is bade samandar Mein dusra zamana tumhara chhota sa waqt hai,
jiski Misaal Ek bulbule jaisi hai, tumhari is jismani yaa Duniyavi zindagi ka zamanah pahle aur aakhiri saans ke darmiyaani waqt ka naam hai, jise kar aamad banana tumhara asal imtehaan hai...
*Zindagi Gul hai, Naghmah hai, Mahtaab hai,
Zindagi ko faqat imtehaan na samajh..
Tumhe yeh thoda sa zamana zindagi Ki bharpur zahni salahiyat aur behtareen jismaani taqat ke sath Diya gaya hai,
aur isi waqt Mein Tumne apni tamam tar dimaghi aur wajudi salahiyaton ko guru-e- kaar laate hue Apne johar aazmane aur saabit Karne hain aur Duniya Mein apna naam paida karna hai..
yeh kaam karne ke liye apni Jaan Ko dimagh par ghalib rakho aur apne dimagh ko Apne jism par haavi rakho, agar tumne yrh do kaam kar liye To yahi zindagi unchi udaan Bhar Kar tumhara naam aur kasm Roshan Kar degi,
Note:
"Saqi Namah" ki Tashreeh ke agle band mein "khudi" aur "falsafah-e-khudi" Ke maozon par tafseeli baat ki jaayegi...
(Kisi particular sher o nazm ki Tashreeh ke liye comment kar sakte hain.......?)
Comments