Skip to main content

Saqi Namah, band-4 (Tashreeh) Allamah Iqbaal

 Saqi Namah, band-4 (Tashreeh) Allamah Iqbaal


Saqi Namah, band-4 (Tashreeh) Allamah Iqbaal
Saqi Namah Tashreeh, Allamah Iqbaal


 

دما دم رواں ہے یم زندگی

ہر اک شے سے پیدا رم زندگی

اسی سے ہوئی ہے بدن کی نمود

کہ شعلے میں پوشیدہ ہے موج دود

گراں گرچہ ہے صحبت آب و گل

خوش آئی اسے محنت آب و گل

یہ ثابت بھی ہے اور سیار بھی

عناصر کے پھندوں سے بے زار بھی

یہ وحدت ہے کثرت میں ہر دم اسیر

مگر ہر کہیں بے چگوں بے نظیر

یہ عالم یہ بت خانۂ شش جہات

اسی نے تراشا ہے یہ سومنات

پسند اس کو تکرار کی خو نہیں

کہ تو میں نہیں اور میں تو نہیں

من و تو سے ہے انجمن آفریں

مگر عین محفل میں خلوت نشیں

چمک اس کی بجلی میں تارے میں ہے

یہ چاندی میں سونے میں پارے میں ہے

اسی کے بیاباں اسی کے ببول

اسی کے ہیں کانٹے اسی کے ہیں پھول

کہیں اس کی طاقت سے کہسار چور

کہیں اس کے پھندے میں جبریل و حور

کہیں جزہ ہے شاہین سیماب رنگ

لہو سے چکوروں کے آلودہ چنگ

کبوتر کہیں آشیانے سے دور

پھڑکتا ہوا جال میں ناصبور



Description-

Saqi Namah Nazm ka band- 4 Tashreeh, duaaon ki qubuliyat se muta'alluq hai,

            Dr. Muhammad Iqbaal ne Saqi se jo farmaish ki, Uske jawab mein Jo pehla jaam Allah tala ki taraf se Diya Gaya zindagi Ki hakikat par pade hue parde chak kar dene wala hai,

         Insaan sabse zyada zindagi ke baare mein hassaas hota hai aur maut se darta hai, ye Jaan insaan Ke jism se be-jaa muhabbat aur maut Ka khauf dur Karke ko ek sukoon bakhsh kaifiyat se ham-kinar kar Degaa..



(Band-4)


dama-dam ravaan hai yam-e-zindagī

har ek shay se paida ram-e-zindagī..


Tashreeh-

Allaah taala ne zindagani ke wajood ko ek dariya Ki Tarah matvatar aur musalsal jaari aur sari aur takatvar banaya hai,

       Zindagi ke is bahao mein koi rukna Ya rukawat  Kabhi bhi nahin aati, yeh zindagi har cheez yani- jamadat aur nabataat se nikal kar khud Ko kisi bhi shakal me dhaal leti hai,



isī se huī hai badan kī numud

ki shole men poshīdah hai mauj-e-dud..



Tashreeh-

Yeh badan Zindagi ne hi to paida kiya hai aur yeh khud hi mukhtalif ajsaam mein apne aap ko zahir Karti hai,

              magar yeh jismon mein poshidah rahti hai, aise Jaise dhuwen ki laher Sholey ke andar chupi hui hoti hain, Goya ke badan Jaan Ki sawari ka kam karta hai...



giraan garche hai sohbat-e-aab-o-gil

ḳhush aayi ise mehnat-e-aab-o-gil...


Tashreeh-

Haiwaani zindagi ka izhar uske Pani Aur mitti mein Gun jaane se marz-e-wajood mein aata hai, aur shuru mein yeh amal Zindagi ko bahut nagawar aur ghatiya laga, 

             Lekin bad mein jab aab o gil Ka ye milaap use kamyab aur ba-muraad laga, fir use Apne falne foolne aur taraqqi pane ke liye mitti mein gundne Ki Na-gawar kaifiyat bhi achchi lagne lagi,

      iske bad zindagi mein khud ko bahut sari haiwaniyat Ki Surat mein zaahir kiya, Jinmein se ek Surat "insaan" bhi hai...



ye sabit bhī hai aur saiyar bhī

anasir ke fandon se be-zaar bhī..



Tashreeh-

Ye zindagi jamadaat (objects)  mein  ruki aur thahri hui nazar aati hai, aur nabataat aur haiwanaat mein mutaharrik hoti hai,

            lekin yeh anasir Aag, Pani, hawa aur mitti ke roop par hamla hone Wali bimariyon, bosidgiyon aur maut Ke fandon se na khush aur khafa bhi hai...



ye vahdat hai kasrat men har dam asiir

magar har kahin be-chugon be-nazīr..


Tashreeh-

Haqiqat ke aitbaar se yeh zindagi Ek hi hai, magar usne Duniya Ki har jagah mein numayan aur zaahir hone ke liye khud Ko kasrat mein taqsim kar liya hai,

               aur yeh zindagi bemisaal haisiyat mein khoob se khoob-tar bante bante be-shumar jismon, Suraton aur shaqlon men zahur-pazir ho gayi hai, jiska nuqta-e-urooj 'Aadam' hai...



ye aalam ye but-ḳhana-e-shash-jihat

isī ne tarasha hai ye somnaat..



Tashreeh-

Yeh tool-o-arz, dayen-bayen, aage-piche, upar-niche, yeh 6 simti but-khanaye  kainat aur yeh aalam-e-zahur isi zindagi Ki paidavar hai,

                  Zindagi ne apni khudnumayi ki zarurat Puri karne ke liye is Somnati kainaat ko ijaad Kiya hai...



pasand is ko takraar kī ḳhu nahin

ki tu main nahīn aur mai tu nahin..


Tashreeh-

Anasir ki bimaari aur boseedgi aur maut ke peshe-nazar Zindagi Ko Ek hi Jism men dobara namudar Hona Pasand Nahin hai,
                isiliye yeh har baar sanwarne ke liye ek Jism ko chhodh jaati hai aur Naye jism men zaahir hoti hai,

           aur apne vajud ko tasalsal ke saath barqaraar rakhne ke liye yeh zindagi "main" aur "tu" mein taqseem ho gayi hai...



man o tu se hai anjuman-afrin

magar ain-e-mahfil men ḳhalvat-nashin...


Tashreeh-

Ye zindagi mahez "main" Aur "tu" mein taqseem hokar anjuman aarayi karke khushiyan bhi manati hain,

            Aur fir mehfil mein maujud hote hue tanha bhi ho jaati hai Aur apni ajnabiyat ke ehsaas ko numayaan bhi rakhti Hain...



chamak us kī bijlī men taare me hai

ye chandī men sone men paare men hai...



Tashreeh-

Isi zindagi ka jalwa har kahin hai, yeh bijali mein aur sitare mein bhi hai,
                           yahi zindagi chandi mein bhi hai, sone mein bhi hai aur paare mein bhi hai...


usi ke bayaban usī ke babul

usī ke hain kante usī ke hain fool..


Tashreeh-

Yeh Zindagi hi biyabanon, jungalon, sahraaon, pahadon, falonndarakhton, phoolon Ki aur kaanton ki Malik hai, yani ye sb Isi zindagi ke numaindey hain...



kahin us kī taqat se kohsar chuur

kahin us ke faande men jibra'īl o huur..


Tashreeh-

Zindagi ek bahut badi taqat hai, ismein pahadan Ko Rezah-Rezah karne ki quvvat maujud hai,
                     Yeh jibreel ko aur hooron ko Apne fande lagakar giraftaar Kar leti hai, ya'ani ki yeh zindagi farishton aur hooron mein bhi rawan-dawaan hai...



kahin jaza hai shahīn sīmāb rang

lahu se chakoron ke aluda chang...



Tashreeh-

Yeh Zindagi kahin paare Ke rang jaisa beqarar Shaheen bankar Apne shikar par jhapathti hai,
                      aur kahin chakoron ke surkh rang Ke panjon mein maujud Hoti hai, jinhen woh dusre janvaron Ka shikar Karke khud-aaludah kar leta hai,

                    yaani zindagi apni hi zaat mein taqat ka muqabla Karti aur karati hai, aur iska sabaq yeh hai ki agar Kisi Ka jism mazbut ho To woh khud Ko qayem rakhta hai,
         aur kamzoron ka bachana dusron ke rahem o karam par hota hai...


kabutar kahin Aashiyane se duur

Fadakta hua jaal men na-subur...



Tashreeh-

Aur yahi zindagi kahin Apne aashiyane se door Ek nazuk kabootar ke roop mein kisi zalim Shikari Ke jaal mein phans kar bhadak rahi hoti hai,

              yaani jo qaom apna Islaaf se rishta kamzor Karke apni asaliyat se be-khabar ho jaaye to dusri Aqwam apni tehzeeb o tamaddan Ke jaal mein usko girftar kar leti hai...


Summary-
            Yaani samajhne Ki baat yeh hai ki anasir ki tarqeeb se banaa hua jism 'aam tor se aarzi aur faani hai,
             aur zindagi ke mukabale mein jism ki haisiyat kam-tar hai, yani zindagi ek taazah-dam sawar hai, aur hamara yeh Jism zindagi ko uthane Wali Ek sawari hai,
                jiski zimmedari Apne sawar ko bah-hifazat agli manzil tak pahunchane ka kam karna hai,
                       is kam ko Khush-usloobi se sar-anjam denaa hi uski asal zimmedari hai, hamari zimmedari yeh hai ki Apne jism ki dekh-bhal karne aur sawar kar dekhen ki ismein akhlaqi, illmi, science, lihaaz se taraqqi aur izafah Karke usko agli manzil tak pahunchane ki koshish mein lage hue hain ya nahin....


Insaani zindagi me yeh talaaah apne ansar soobkar ki ja skti hai-

"Apne man me doob kar pa ja suraag-e-zindagi 
Tu agar mera nhi banta, na ban apna to ban..."


Next-

 saqi Namah Tashreeh, band-5 me Allamah Iqbaal sahab ne zindagi aur waqt ke bare me mazeed inkshafaat kiye hain....


(Apni pasandidah Asha'ar ki Tashreeh ke liye comment kar sakte hain.....?)


Saqi Namah Band-5 ki Tashreeh

Comments

Unknown said…
👌👌👌

Popular posts from this blog

Tashreeh- kabhī aye haqīqat-e-muntazar nazar aa libās-e-majāz mein.. Allamah Iqbaal (Bang-e-Dara)

   Allamah Iqbaal ki Tashreeh- (Bang-e-Dara)    Description-  Is Ghazal me Allamah Iqbaal Rahmat-Ullaah Alaih ne musalmanon ko aur unke Rahnumaao'n ko aitmaad ka rishta qayem karne aur Apne faraayez ko anjaam dene ke liye jazbah paida krne par zor diya hai*   kabhī aye haqīqat-e-muntazar nazar aa libās-e-majāz mein ki hazāroñ sajde tadap rahe haiñ merī jabīn-e-niyāz mein.. Tashreeh- Allamah Iqbaal Rahmat-Ullaah Alaih saheb ne is shear me Haqiqat-e-muntazar yaani Allaah ta'ala ke didaar ki khwahishon ka izhaar kiya hai,          Wo Allaah ki ek zaat jo kbhi kisi shay ke saamne be-naqaab nhin hui, jise insaan apni zaahri aankhon se nhi dekh skta, hmare Nabi S.A.W. ke siwa kisi ne nhin dekha, aur har musalman ke dil me Allaah ko dekhne ki khwahish hoti, aur Ahle jannat jab jannat me jayenge, to sbse badi nemat jo jannat walon ko naseeb hogi wo Allaah ka didaar hi hoga,        Aye Allaah agar kbhi meri nazron ko aapk...

Khizr-e-raah (sarmayah o mehnat) Tashreeh part-1

  Khizr-e-raah (sarmayah o mehnat) Tashreeh- part*1*- banda-e-mazdūr ko jā kar merā paiġhām de ḳhizr kā paiġhām kyā hai ye payām-e-kāaynāt.. Translate- Hazrat khizr A.S. farmate hain ki Aye Iqbaal tum jaakar ghulam majduron ko Mera yeh Paigham de do ki ghulami Kai daur guzar chuka hai, wazeh rahe ki bandah-e-mazdur se Muraad woh aam tabqah hai, jo apni jismani aur zahni salahiyat se mehnat aur mulazmat karta hai,          jiske paas sirf waqt ki daulat hai agar uska waqt bika to use kuchh milega Varna wah Faqah-Kashi par majbur Hoga aur Sarmayah-daar ki category mein hukmaran aur jaagirdar tabqah bhi shamil hain, Isi pas-manzar ke sath suniye.... aye ki tujh ko khā gayā sarmāya-dār-e-hīla-gar shāḳh-e-āhū par rahī sadiyoñ talak terī barāt.. Translate- Halat to yeh hai ke saazish karne wala Sarmayah-daar tumhara haq maar raha hai, aur hukumat bhi Isi ke paas hai aur woh tumhare huquq ke liye qanoon-saazi kar raha hai, aur woh tumhare huqooq ka sarkari farmaan...

Ghalib ke sher aur Tashreeh

Urdu Nazm Ghalib ke sher aur Tashreeh (Dil hi to hai...) Dil hi  to hai na sang wa khasht dard se bhar na aaye kyon Royenge ham hazaar bar koi hamen rulaye kyon.. Translate- Shayar apne dil se shikast hote hue kehta hai ki, insaan ke paas dil hota hai, aur dil ehsaas ke liye hota hai, aur ranj  ho ya Khushi har baat ka ehsas Dil per hi hota hai, ranj me insaan rota hai, Aashiq kahta hai ki hamare Rone par tu  kyon humko samjhata hai, ye dil hi to hai koi eent aur paththar to nhin hai jispar kisi qism ka asar hi na ho..              Hm to hazaar bar royenge koi hme rulata hi kyon hai jab bad me naseehaten krni hai... Der nhin, haram nhin, dar nhin, Aasta'n nhin Baithe hain rah-guzar pe hm koi hamen uthaye kyon... Translate-  Hm sufi (saints) hain, aur sufi ko mandir ya masjid se koi sarokaar ya mtlb nhin hotaa, hm na kisi ki tareef krte hain.. na kisi ki tauheen, na ham kisi ke raaste me aate hain.. hm to shaah-e-Raah par baithe hue ...