Saqi Namah, band-3 Tashreeh- (Allamah Iqbaal) Baal-e-jibreel
Saqi Namah band-3 |
شراب کہن پھر پلا ساقیا
وہی جام گردش میں لا ساقیا
مجھے عشق کے پر لگا کر اڑا
مری خاک جگنو بنا کر اڑا
خرد کو غلامی سے آزاد کر
جوانوں کو پیروں کا استاد کر
ہری شاخ ملت ترے نم سے ہے
نفس اس بدن میں ترے دم سے ہے
تڑپنے پھڑکنے کی توفیق دے
دل مرتضی سوز صدیق دے
جگر سے وہی تیر پھر پار کر
تمنا کو سینوں میں بیدار کر
ترے آسمانوں کے تاروں کی خیر
زمینوں کے شب زندہ داروں کی خیر
جوانوں کو سوز جگر بخش دے
مرا عشق میری نظر بخش دے
مری ناؤ گرداب سے پار کر
یہ ثابت ہے تو اس کو سیار کر
بتا مجھ کو اسرار مرگ و حیات
کہ تیری نگاہوں میں ہے کائنات
مرے دیدۂ تر کی بے خوابیاں
مرے دل کی پوشیدہ بیتابیاں
مرے نالۂ نیم شب کا نیاز
مری خلوت و انجمن کا گداز
امنگیں مری آرزوئیں مری
امیدیں مری جستجوئیں مری
مری فطرت آئینۂ روزگار
غزالان افکار کا مرغزار
مرا دل مری رزم گاہ حیات
گمانوں کے لشکر یقیں کا ثبات
یہی کچھ ہے ساقی متاع فقیر
اسی سے فقیری میں ہوں میں امیر
مرے قافلے میں لٹا دے اسے
لٹا دے ٹھکانے لگا دے اسے
Description-
Dr. Muhammad Iqbaal sahab ne Saqi Namah ke band- 2 me Europe ki Hindustan aur unse dhokha dahi aur lootmaar wazeh karne ke bad Allah taala ke huzoor ummat-e-Muslimah Ki halat ka e'ataraf Kiya aur ummat ki taraqqi aur sar-bulandi ke liye dua mangi,
Saqi Namah ke band-3 me bhi duniyawi pasti zillat se nijaat ke liye Allah taala ki bargaah mein duaayen aur iltejayen ki hain aur Allah taala ki zaat par Apne ghair Mutazalzal yaqin aur eimaan ka izhaar kiya hai aur yahi daulat-e-eiman aur yaqin Puri ummat ke liye talab ki hai...
(Band-3)
sharab-e-kuhan fir pila saqiya
Wahī jaam gardish mein la saqiyā..
Tashreeh-
Aye Rab! Ab hme wahi Lai raha hai lalla ki purani aur khalis sharab pila, Aur taoheed ka wahi jaaam ummat-e-Muslimah ke darmiyaan gardish Me laa,
Jo pyala islaam Ke ibtadayi Daor mein Nabi paak Sallallahu-Alaihi-vasallam ke daur mein sahaba-Ikraam Ko pilaya tha...
mujhe ishq ke par laga kar udaa
merī ḳhaak jugnu bana kar udaa..
Tashreeh-
Woh jaam ke jis ko peene se hamen ishq-e-rasool huzoor Sallallahu-Alaihi-vasllam ke woh par ataa farmaa,
jo sahaba-e-Ikram ko inayat hue the, jisse unhone udaan bhari thi Aur tere deen-e-taoheed Ka sabaq Puri Duniya mein pahuncha diya tha,
aur hamari mitti ko bhi aisa hi jugnu banaa de, Jaise Nabi Sallallahu-Alaihi-vasallam ke parwanon ne jugnu ban Kar Deeni Aur Duniyavi ilm Ki roshni se Puri zameen ko munawwar kar diya tha...
ḳhirad ko ġhulamī se azad kar
javanon ko pīron ka ustad kar..
Tashreeh-
Jaise Arab ke javaanon ko aqal ki ghulami se Aazad Karke tune unhen Duniya Ka ustad bana diya tha,
aise hi Allah taala hamare naujawanon ko baatil nazariyaat se Azaad Karke budhon ke liye ustaad banaa den,
ki woh piron ki farsudah nazariyaat Ko chhodkar Teri tauheed ke Alam-bardar hon, aur budhe unki pervi karne pr amadah ho jaaye...
harī shaḳh-e-millat tere nam se hai
nafs is badan mein tere dam se hai..
Tashreeh-
Aye Rabbul-Izzat! millat-e-islamiyah ki darakht Ki shanaakhen sirf taoheed ke Pani se hari reh sakti hain,
Yeh shaakhen ab sookh rahin hain, agar inko tere ishq Ka Pani Na Mila To yeh darakht markar khatm ho jayega,
Aye Allah! is daraḳht ki aavyaari farmaa, iske murda Jism mein Apne ishq Ki jaan daal Kar, isko Fir hara-bhara kar dey..
tadapne fadakne kī taufīq de
dil-e-murtaza soz-e-siddīq de..
Tashreeh-
Aye mere Rab! Hamen sher-e-maula Hazrat Ali murtaza jaisa Dil ataa farmaa,
ke ham tere deen ke khatir badi se badi baatil taqaton se takraa jayen, aur hamen Abu-Bakar Siddique jaisa soz ataa farmaa, ke ham sirf aur sirf tere deen ki bulandi ke liye mushkil aur dil-e-ranah faisley kar saken...
jigar se wahī teer fir paar kar
tamanna ko sīnon men bedaar kar..
Tashreeh-
Ishqq aur masti ka jo teer sahabah-e-Ikraam ke dilon par markar unke seenon mein noor-e-haq ki shama'a Roshan ki thi,
Aaj wahi teer hamare Jigar se bhi paar kar de, ke jisse hamare dilon mein Teri mohabbat be-daar ho jaaye aur hamare jigar se bhu paar kar de,
Ke jisse hamare dilon me Teri mohabbat paida ho jaaye aur hamare Dilon mein tere Nabi Sallallahu-Alaihi-vasallam ki ummat Ko Duniya mein sar-buland karne ki arzoo bedaar ho...
tere Aasmanon ke taaron kī ḳhair
zamīnon ke shab zinda-daron kī ḳhair..
Tashreeh-
Aye maula! Nabi paak Sallallahu-Alaihi-vasallam ke Sahaba Tere aasmanon ke sitaarey Hain,
Woh hamesha Ta-Bandah rahen, Aye Allah in sitaaron Ki roshni mein noorane shab jaag kar tujhse lao lagane Wale Ko bhalaiyaan ataa farmaa..
javanon ko soz-e-jigar baḳhsh de
mera ishq merī nazar baḳhsh de..
Tashreeh-
Aye Allaah! Jawaanon ko din-raat mehnat ki aadat inayat farmaa, aur taufeeq de ki woh Apne Jigar ke khoon Ko jalakar Teri ummid Ki azmat ke liye mashakkat Karen,
is azeem maqsad ke liye Jo ishq Aur nazar mujhe ataa Ki hain, wahi ishq Aur Aur nazae mere qaum ke sab naujawanon Ko baksh de,
taaki woh bhi dilon Jaan se Tere deen ke parcham ko thaam len, Islaam ki sarbalandi ke dushwaar aur azeem muammah ke liye shab o roz aur anthak shadeed mehnat Karen..
meri naav girdaab se paar kar
ye saabit hai to is ko sayyar kar..
Tashreeh-
Aye Malik! Ummat-e-muslimah Ki kashti halat ke tufani maujon ke bhanwar mein phans kar rah gayi hai,
agar yeh is girdaab se na nikal sake, To yahin doob jayegi, is naao ko is sailaab ki ghumman gheri se nikal kar apni khoyi hui manzil ki taraf ravana kar de...
btaa mujh ko asrar-e-marg-o-hayat
ki terī nigahon mein hai qainat..
Tashreeh-
Bahut saari duaaon ke bad Allamah Iqbaal sahab ne is sher mein Allah taala se do ilmi sawalaat kiye Hain,
Ki Aye qainaat ko janne wale, mere parwardigaar, mujhko zindagi Ki hakikat aur maut ka raaaz bata de...?
mere dīda-e-tar kī be-ḳhvabiyan
mere dil kī poshīda betabiyan..
Tashreeh-
Rabbe-kainaat ke huzoor gidgidane ke silsile ko jaari rakhte hue Kaha,
Ki Aye Rab! main Raat Bhar jaag kar rotaa raha hun, mujhe nind nahin aati kyunki mere apne dil mein bahut sari be-tabiyan chhipi hui hain,
aur main ummat ke dukh aur taklif ki wajah se bekarar hota aur tadapta rahata hun...
mere nala-e-nīm-shab ka niyaz
merī ḳhalvat o anjuman kā gudāz
Tashreeh-
Main aadhi raat ko mere huzoor fariyad giri, azaari aur Aah o baqa karta hun,
aur apni inksari aajzi aur miskini mahfilon-tanhaiyon men Tere hi samne bayan karta hun
aur har waqt ke ghamon ne mere qalb mein narmi aur mulayemiyat paida Kar Di hai jisse Mera Dil kamzor ho raha hai...
umangen merī aarzuen merī
ummīden merī justujuen merī..
Tashreeh-
Iske ba-wajud main apne dil mein bahut sari khwahish, tamannayen Aur shauq chupaye rakhta hun,
aur dher sari aarzooyen palta rahta hun, jinke pura hone ke liye main har dam tujhse minnat o samajat, ilteja aur khushamad karta hun,
Aye Allah tujhse mujhe bahut si ummiden wabasta hain, main jinki justuju mein har waqt magan rahta hun...
merī fitrat aaīna-e-rozgar
ġhazalan-e-afkar ka murġh-zar..
Tashreeh-
mera dil merī razm-gaah-e-hayat
gumanon ke lashkar yaqin ka sabat..
Tashreeh-
yahī kuchh hai saaqī mata-e-faqīr
isī se faqīrī mein hun main amiir..
Tashreeh-
Aye mere Saqi! Aye Bari taala! ye imaan o yaqin hi is faqir ki kul Mata'a hai aur main is yaqin ke sabaat ki wajah se hi gharibi mein daulat-mand hun...
mere qafile mein lutaa de ise
lutaa de Thikane laga de ise..
Tashreeh-
Aye Rabbul-Izzat! Mere is yaqin o imaan ki kul daulat Ko musalmanon ke kafile mein Luta de, Ke is daulat Ka asal thikana musalmanon Ka Dil hai,
Allamah Muhammad Iqbaal ki sab duaayen hi reka'at aamez aur jazbaat angrez hai, lekin aakhri duaa khaas taur par qaabil-e-ghaur hai, ki jis cheez ki aaj sabse zyada nau-jawanon ko zarurat hai, woh hai yaqin o Imaan ke jiski Kami ki wajah se aaj ham zillat aur ruswai ki tasvir bane hue hain aur yaqin o imaan ki yah daulat mil jaane se hi hamari Kayah palat sakti hai...
(Saqi namah ka agla band Munajaat ki qabuliyat ka hai)
Comments