Saqi namah band-2, (Tashreeh) Allamah Iqbal-
زمانے کے انداز بدلے گئے
نیا راگ ہے ساز بدلے گئے
ہوا اس طرح فاش راز فرنگ
کہ حیرت میں ہے شیشہ باز فرنگ
پرانی سیاست گری خوار ہے
زمیں میر و سلطاں سے بے زار ہے
گیا دور سرمایہ داری گیا
تماشا دکھا کر مداری گیا
گراں خواب چینی سنبھلنے لگے
ہمالہ کے چشمے ابلنے لگے
دل طور سینا و فاران دو نیم
تجلی کا پھر منتظر ہے کلیم
مسلماں ہے توحید میں گرم جوش
مگر دل ابھی تک ہے زنار پوش
تمدن تصوف شریعت کلام
بتان عجم کے پجاری تمام
حقیقت خرافات میں کھو گئی
یہ امت روایات میں کھو گئی
لبھاتا ہے دل کو کلام خطیب
مگر لذت شوق سے بے نصیب
بیاں اس کا منطق سے سلجھا ہوا
لغت کے بکھیڑوں میں الجھا ہوا
وہ صوفی کہ تھا خدمت حق میں مرد
محبت میں یکتا حمیت میں فرد
عجم کے خیالات میں کھو گیا
یہ سالک مقامات میں کھو گیا
بجھی عشق کی آگ اندھیر ہے
مسلماں نہیں راکھ کا ڈھیر ہے
Description-
Allamah Iqbaal ne apne dusre band mein cheen (china) ki Hindustan se dhokha dhadi aur zalimana lootmaar ka silsila wazeh karne ke bad Allah taala ke huzoor ummat-e-Muslimah ki ma'asharti zahni aur mazhabi pasti ka E'atraaf Kiya Hai-
Chaliye nazm ki janib badhte hain....
{Band-2}
1.) zamane ke andaz badle gaye,
nayā raag hai saaz badle gaye..
Tashreeh-
Duniya me qaumon ke jang karne ke andaaz badle gaye, har maidaan mein dhokah dhadhi ho rahi hai,
East India company ka karobaar Ka raag alaapte hue India mein aayi thi,
Lekin Apne makkari ke zariye islaah aur fauji Saaz o samaan saahilon par jama Karti rahi,
Ba-aakhir usne chalaaki aur ayyari se pure Hindustan ko apna ghulam banaa liya, aur wk arsey tak is firqe ki daulat loot-te rahe,
unhone Raag To karobaar ka alapaa tha, magar Uske parde mein fauj kashi Karke tabaa-e-Jung Baja Diya...
2.) huā is tarah faash raaz-e-farang
ki hairat me hai shīsha-baz-e-farang..
Tashreeh-
Firangiyon ke banaye hue siyaaasi nezaam ki aadh mein secularism ma'ashi nezaam ke parde mein sarmaya- Dari aur 'banking' samaaji nizaam ke huqooq-e-niswaan ki oodh mein "fashion aur cosmetic industry" ke zariye se Jo lootmaar ho rahi hai, un sab ke raaz ab faash ho chuke hain..
aur khud Europe awaam aur Baqi Duniya Ko unki istehsaal ki samajh aa gayi hai,
is tahzeeb ki chamak ka mullamma utar jaane ke bad firangi ka shobdabaz bhi hairan ho Gaya hai magar uski lootmaar ka silsila bhi ruka Nahin hai...
3.) puranī siyasat-garī ḳhvar hai
zamin miir o sultaan se be-zaar hai...
Tashreeh-
Maghribi tahzeeb o tamaddan ke algaar ke natije mein purane siyasi Nizam dam Tod rahe hain,
Rewayati tarz-e-hukumat aur Mulki intezaam chalane ke tariqe badal gaye hain, aur jamhooriyat ka daur dohra hai,
Ahle zameen badshahat se na-khush hokar use khatm Karke awami Hakimiyat ke naare laga rahe hain...
4.) gayā daur-e-sarmayah-daar gaya
tamashaa dikha kar madari gaya...
Tashreeh-
Sarmayah-daari aisa ma'ashi nezaam hai, ke jisme paidawaar aur taqseem-e-daulat ke zaraye huqumat ke bajaye Sarmayah-daaron ke qabzeh wa ekhteyaar mein hote hain,
yeh sarmayah-Dari Nizaam sood ke "banking system" ke bal boote par Parwan chadhta hai, aur sood ka Pure ka pura bojh Asia ki qeematon mein shaamil Karke gharib aawam par Daal Diya jata hai...
Soodi Nizam ke zariye afraade-zar Hoti hai, jiske natije mein berozgari paida hoti hai aur yeh shaitaani chakkar chalta rahata hai,
Ya'ani sarmayah-Dari aisa nizaam hai jiske zariye avaam shadeed mehnat karke jeene par majbur hai,
aur unki khoon pasine ki kamai ka bada hissa ghair makhsus tariqe se Sarmayah-daaron aur aur Sood-khoron ki jebon mein Chala jata hai,
Aur use paise ke bal boote par wahi sarmayah-Daar election jeet kar eivaan-e-hukumat mein aa jaate Hain, Aur kanoon saazi Ka ekhteyaar bhi Apne haanth mein le lete hain,
Iqbaal ke mutaabiq bad-tareen zulm ka yeh nezaam zyaada arse chalne wala Nahin hai...
5.) giraan ḳhvaab chini sambhalne lage
Himalah ke chashme ubalne lage...
Tashreeh-
19vin sadi tak karobaar "bata system" ki buniyad par hota tha cheen ka usool tha ki woh bainal aqwaami tijaarat chandi ke badle karte the,
is usool se Europe mein Chandi khatam hone lagi,
Aahistah-aahistah Europe ne unhen qaayal kiya ki woh chandiyon ke bajaaye Kisi Aur jeens- ya'ani kapaas, chaye, chawal, ya gandum mein len-den kar liya Karen,
Fir zyadatar tijarat mein Europe chaye ke badle cheen se resham, jadi butiyan aur masalah-jaat leta Raha,
Fir Europe ne makkari se chaye mein afyoon Mila kar bhejna shuru kar diya, jiska cheen ko pata na chal saka, is Tarah Sara cheen afyoon mili chai peene se Nashe ka aadi ho Gaya...
Jab afyoon Mili chaaye ki talab mein izaafa hone laga to Europe ne uski qadar ko badha Diya, aur uske badle cheen se zyaada se zyaada maal Lene laga,
Yon laalchi Europe ne apne mafaadat ke khatir ye zulm Kiya, ki chiniyon ko taqriban 100 sal tak afyoon khilakar Nashe mein sulaye rakha,
cheen mein pichli sadi mein bedaari ki laher paida hui, jiske Natije mein Europe se do bar badi-badi jangen huin, tab kahin Europe se cheen ne Jaan chudayi,
Iqbaal sahab ne bedaari ki is Tahreek ko kohe-himalah se fikr-o-Amal ke naye chashme jaari hone se tashbeeh di hai....
6.) dil-e-tūr-e-sina-o-fāran do-nim
tajallī kā phir muntazir hai kalīm...
Tashreeh-
Aye Allaah! In halaat me zaalimon ke haanthon hm bebas Aur lachaar ho Gaye Hain, Teri bargaah ke Siva ham kahan jayen,
hamen kuchh samajh Nahin aa Raha aur hamari aah o baqa ki wajah se koh-e-toor-e-sina aur koh-e-Fardaan fatkar tukde-tukde hone Ko hai,
aur ham hazrat Musa Alaih-Is-salam ki sunnat ki pairvi mein Teri Tajalli ki Raah Dekh rahe Hain, ki Teri hidayat ki tajalli se hi ab Europe se aise azadi haasil ki ja sake gi, Jaise Firon se Bani Israel ko nijaat Mili thi...
7.) musalmaan hai tauhīd mein garam-josh
magar dil abhī tak hai zunnār-posh...
Tashreeh-
Jabki ham musalmaanon ki halat yeh hai ki waise to tauheed ke alam bardaar ban kar har maidaan mein nara-e-taqbeer buland krte hain, lekin main janta hun ki ham musalmaanon ne ab tk Hindustanah rasm-o-rivaaj ko nhin chordha...
8.) tamaddun tasavvuf sharī.at-e-kalām
butān-e-ajam ke pujaarī tamaam...
Tashreeh-
Aye mere Malik! Meri halat ye hai ki hamari tamaddani aur samaaji zindagi me tazkiya-e-nafss ke taur tariqe aur qanoon aur dastoor mein aur ilm-e-kalaam me ham sb hindi, unaani, aur yuropi, nazariyaat ki pairvi karte hain...
9.) haqīqat ḳhurafāt mein kho gayī
ye ummat rivayqqt mein kho gayi...
Tashreeh-
Aye Rab! Tere Quraan majeed ki haqiqat ki asliyat aur rooh be-mayne aur fizool khurafaat main kho gayi hai, aur Qura'an se hedayet aur jazbah-e-amal haasil karne ke bajaye, isko sirf husool o ehsaal-e-sawab ka zariya aur ta'aweez aur gandey ka tariqa bana liya hai,
jabki ummat-e-muslimah mohkim ahadees Nabi S.A. ki rewayaat ko chordkr, ajeeb o gareeb rewayaat ke bhanvar me gum ho gayi hai,
Jo ki tahqeeq-e-haq se door suni sunaai baaton aur rasm o rewaaj par mushtamil hai...
10.) lubhātā hai dil ko kalām-e-ḳhatīb
magar lazzat-e-shauq se be-nasīb...
Tashreeh-
Hamare khutaba wa Ulwma Ka kalam yon to avaam ko apna garvidah banata hai aur Dil moh leta hai,
magar iss kalam se naa hi haq kk talab ka shauq bedaar hota hai aur na hi uske liye mar mitne ki aarzu ubharane wala faiz jaari hota hai...
11.) bayaan is kā mantiq se suljha hua
luġhat ke bakheḌon mein uljha huā...
Tashreeh-
Hamare vaaiz ka bayaan, guftgu, lahja aur talaffuz ke lihaaz se bahut saaf aur shastah hota hai,
aur is men zubaan aur boli ke taane baane Ko suljhane ka khaas ehtemaam Kiya jata hai, magar is wazeh va nasihat se millat mein Islaam ki sar bulandi ke liye uth khade hone wale koi jazba-e-Amal bedaar nahin hota...
12.) Wo suufī ki thā ḳhidmat-e-haq mein mard
mohabbat mein yaktā hamīyat men fard...
Tashreeh-
Hamare sufiyah aur Ahle tariqah Jo ke Kabhi haq parasti mein makhluqe-khuda ki dekh-bhal aur wafa-e-aam ka kam karne mein pesh hote the,
aur Jo mohabbat Ka dars dene mein be-misaal, be-nazir mashhur the, aur ghairat wa hamiyyat ka alam buland karte the, unka haal yeh hai ki-
" Ajam ke khyalaat me.....
13.) ajam ke ḳhayalaat me kho gaya
ye salik maqamaat me kho gaya...
Tashreeh-
Wo bhi Arabi andaaz-e-fikr ko chhodkar Ajam ke Hindi aur unani afkaar ko apna chuke hain,
ab yeh sirf raaton ke rahib bankar apni khankahon me gaddi nasheen ho gaye hain, jabki din ki Shah sawari aur Josh-e-jihad unke maidan-e-Amal se kharij ho chuka hai,
Yeh saalik Jo Kabhi tere shok ki raah ke musafir the, ab maqaam Nashin hokar rah gaye hain, aur maratib madarij ke chakkar mein pad Gaye Hain..
14.) bujhī ishq kī aag andher hai
musalmāñ nahīn raakh ka Dher hai...
Tashreeh-
Al-gharz ke ham musalmaano ke dilon se Tere mohabbat ki Josh ka sholah bujh chuka hai,
Natijah-tan yeh ummat hedayat ki roshani se mahroom ho chuki hai, ab yeh raakh ke dher ke Siva kuchh Nahin hai,
jismein ishq ki koi chingari bhi maujud nahin Aur meri ummat tarikhi Ki siyaah Aur ghata-tok andheron mein Bhatak rahi hain...
Is nazm ke agle band me Iqbaal sahab ne Allaaah Ta'ala se gid-gidaakar duwaayen mangi hain...
( To be continue..)
Comments