Skip to main content

Saqi Namah, (Tashreeh) band-6 Explanation, Allama Iqbaal

Saqi Namah, (Tashreeh) Allama Iqbaal 


Saqi Namah, (Tashreeh) Allama Iqbaal
Saqi Namah, (Tashreeh) Allama Iqbaal





Description-

Saqi Namah band-6 ke is Tashreeh me Allamah Iqbaal sahab ne Falsafa-e-khudi ke silsile me zikr kiya hai, 

        Isme Saqi ne Khudi ki haqiqat aur insaani zindagi me khudi ka kirdaar bayaan kiya hai...



( band-6 )

ye mauj-e-nafs kya hai talvar hai

ḳhudī kya hai talvar kī dhaar hai..


Tashreeh-

Allama farmate hain Ki Insan Ki zindagi kya hai, Talwar hai jo alamat hai taqat tavanayi aur ghalbeh ki,

             jabki khudi se zindagi ki Talwar Tez ki jaa sakti hai, yaani agar zindagi ki taqat Aur tavanayi ko bharpur aur muassar Andaaz se lana chaho to apni khudi ki tezi se apni zindagi Mein inqlaab laa sakte ho...



ḳhudī kyā hai raz-darun-hayat

ḳhudī kya hai bedari-e-kainat..


Tashreeh-

Zindagi ke bhed janne ke bad yeh bhi samajh Lo Ki khudi Ki Haqiqat kya hai?
  
            Khudi woh raaz hai jo zindagi ke andar ki bhedon mein poshidah hai, jis par bhi khudi ka Raaz khul jaaye, Uske samne Puri kaaynat ki Haqiqat Roshan Ho jaati hai,

              Aur uske sath hi woh apni zaat ko bhi pahchan leta hai, aur jo Apne nafs ko pahchan le, wo apne rab ke muarfat haasil kar leta hai,

       lehazah khudi ki baaten tawajjeh se suno, taki Tum Apne aur apne Rab ke Arif (mystic) ban Sako.. 




ḳhudī jalva badmast o ḳhalvat-pasand

samundar hai ek buund paanī men band..


Tashreeh-

Jo bhi apne khudi ko Paa le to, ye us ekhlaq aur kirdaar mein apna zahoor karke uski shakhsiyat ko char Chand Laga deti hai,

     aur jo uski taraf tawajjah Na Kare, to yeh khuddar hokar gosha- nasheen ho jaati hai,

         Aur isko yeh Apne hone ya na hone ke ehsaas se mahroom kar deti hai, 

       Ya'ani agar khuamdi be-daar ho jaaye to fail kar Ek bahut bade samundar Ki Surat ekhteyar kar leti hai,

   iske bar-aqs agar koi shakhs apne khudi se begana Ho jaaye, to yeh bahar beqaraan simat kar Ek Boond Mein tabdeel ma'adoom ke darje Tak pahunch jaati hai....



andhere ujale men hai tabnak

man o tu men paida man o tu se paak..


Tashreeh-

Khudi kisi bahrooni andhere aur ujaale ki mohtaaj nhin hoti, balki uski apni Roshni Aur chamak din Raat Ke aatho paher maujud rahti hai,

    yani agar jo bhi khudi ki Roshani haasil karna chahe, Uske liye khudi ki taabnaki (brightness) har waqt dasteyaab hai, 

      aur agar koi apni khudi ko qabil-e-aitbaar Na samjhe to usse yeh khud Ko buri aur alag kar leti hai...




azal uske pīchhe abad samne

na had us ke pīchhe na had samne


Tashreeh-

Ye khudi, ye rooh, azal se pahle aur abad ke bad ki Shaye hai, jo ki waqt aur zamane ki Judood o quyood (limits & Restrictions) ki pabandiyon se bilkul Aazad hai,

            yaani khudi par zamani aur makani pabandiyon ka italaq Nahin hota...



zamane ke dariya men bahtī huī

sitam us kī maujon ke sahtī huī..


Tashreeh-

Jab ye zamaan o makaan se aazad thi, To isko Izhar ke liye Jism aur waqt ki zarurat pesh aayi,

            lihaza ye Apne pahchane Ki khwahish ki khatir Kisi jism Ki talaash Mein zaman o makaan ke talaash mein zamaan o makaan ke bahte hue dariya Mein kood gayi,

        aur usne Ek Arsah daraaz tak karvane vajud ke aatishdah wa tezz dariya ki be-rahem maujon Ke thapede khaae hain...




tajassus kī rahen badaltī huī

damā-dam nigahen badaltī huī..



Tashreeh-

Chonki khudi ko apne izhaaar ke liye ek Jism darkaar tha, jismein vo sama'an kar apna Jalwa dikhana chahti thi,
                    isiliye wo justuju ki Rahen Badal Badal kar Apne mutalashi Aankhen khol kar aas-paas ird-gird ka jayezah lete hue zamaan o Makaan ke dariya mein Ravan-dawaan rahi,

              taki usko Kisi munasib waqt par koi maujudah jismein mil jaaye jismein wo sama'an sake aur apni shanakht karva sake...


subuk us ke hathon men sang-e-giran

pahad us kī zarbon se reg-e-ravan..


Tashreeh-

Yeh "Khudi" bepanaah taqat ki hamil hai, iski quvwat zindagi se bhi kai guna badhkar hai,

                    Aur bade se bada paththar Uske hathon Mein be-wazan ho jata hai aur yeh unche unche pahadon ko pees kar chalti Hui Barik reet ke sahraaon Mein tabdeel karne Ki qudrat rakhti haim...


safar us ka anjam o aġhaz hai

yahī us ki taqvīm ka raaz hai..


Tashreeh-

Chonki yeh azal se pahle aur Abad ke baad se ta'alluk rakhti hai, isliye iska awval o aakhir vo Safar hai Jo zamaan o Makaan ki quyood wa huyoot se bahar hai,

            iske Ki qawaam o hameel ka raaz uski hameshgi aur paidari hai, uske safar ka aaghaz kaynat ki takhliq se bahut pahle hua tha, aur uska Safar kaynat ke khatm hone ke bad bhi jaari rahega..



kiran chaand men hai sharar sang men

ye be-rang hai Duub kar rang men..

Tashreeh-

Jaise chand me Kiran maujud hai, Magar Chand nazar aata hai Kiran nahin aati, aur paththar Mein Chingari maujud hai lekin nazar paththar hi aata hai, Chingari nazar nahin aati,

         aise hi Khudi har rang ko ekhtiyar karne ki salahiyat rakhti hai, Magar yeh khud par Kisi Ka rang Nahin chadhne deti,

      lihazah Ek shakhs iske khudi e Kamal ko pahchaan jaaye aur dusra shakhs Jo Apne khud Se waqif bhi Na Ho, dekhne Mein Ek Jaise lagte Hain,
            Magar Apne ekhlaaq aur kirdaar ke aitbaar se ek dusre ki zad Mein hote Hain...

(saqi Nama ke is is shear me Allama ne "khudi" ko sbse behtareen misaal se inkshaaf kiya hai.. jo ghaur talab hai, aur yeh sher hi khudi ko bar-aamad karne ko kafi hai...)




ise vasta kya kam-o-besh se

nasheb o faraz o pas-o-pesh se..

Tashreeh-

Khudi na to Kisi Ko khatar men lati hai, aur na hi ye Kisi fayde Se apna sarokaar rakhti hai, yeh to vo Shay hai jo har tarah Ke naseb o Faraz se yon Guzar jaati hai, Jaise koi masla hi na ho, 

      ya'ani yeh "khudi" Insaan ko har ranj o Alam aur se khauf se Aazad kar deti hai,

      aur khudi ke zer-e-asar insaan khushiyon par itrana aur nematon par ghuroor karna bhi chhod deta hai... 



Azal se hai ye kashmakash men asiir

huī ḳhak-e-adam men surat-pazīr..

Tashreeh-

Jis roz Allah ta'ala ne is kaaynat ki takhliq farmayi, usi din Se "khudi' apne liye Jism Ki talash Mein sar garm-e-Amal Ho gayi aur har munasib jaandar ko usne apne liye Jaancha,

             Magar use koi bhi jism apne liye pasand Na aaya, idhar-udhar justuju aur Khoj ke bad jab Allah ta'ala ne farishton Ke samne aadam A.S. ki takhliq Ka iradah zahir farmaya,

         to 'khudi' ko bhi apna miskan mil Gaya, khudi ne Allah ta'ala se darkhwast ki, ke mujhe aadam Ki Jaan Mein daakhil kar do,

           aur Allah ta'ala ne aadam ki jismani takhliq mukammal karne ke bad usmein "khudi" ya rooh ko doonk diya..

      aur tab farishton ko hukm hua ki Aadam A.S. ko sajdah karo, aur chhote bade tamaam farishton ne Adam ko sajdah Kiya,
                       yon bil-aakhir ''khudi" ki sadiyon Ki justuju khatm Hui, aur usko khaki aadam Ki Surat Mein Ek Ghar mil Gaya,

          khudi ki badaulat Aadam ko Ashraful-makhluqat hone ka rutba Mila, aur Khudi ki buniyad par usko Zameen par Allah ta'ala ne Khalifa ka Mansab ataa Kiya..




ḳhudī ka nasheman tere dil men hai

falak jis tarah aankh ke til men hai..

Tashreeh-

Agar aap sochen ki hamari "khudi" hamare Jism mein kahan maujud hai? to Jaan Lo Ki khudi sha'ur ke saath Apna Ek Mustaqil vajud rakhti hai,
          aur uska miskan tumhara Dil hai, apne tamam-tar salahiyaton, taqaton, bulandiyon ke sath tumhare qalb Mein Uske samane ki misaal aisi hai, Jaise khuli Fiza Mein upar dekhne se pure ka pura Aasman aankh ki putli ke chhote Se til Mein Sama'an jata hai..



* Yahan Saqi Nama band 6 ka ekhtetaam hota hai, Allamah Iqbaal sahab ne apne is band ke har sher me Khudi ki wazahat ki hai, jiska illm har shay ki khud-shinaasi ke liye bahut ahem hai.... *

(Agle band me khudi ki nigeh-bani ke usool bataye gaye hain, aur Musalmanon ki pasti ke asbaab wa hal tajveez kiya gaya hai...)


Comments

Popular posts from this blog

Tashreeh- kabhī aye haqīqat-e-muntazar nazar aa libās-e-majāz mein.. Allamah Iqbaal (Bang-e-Dara)

   Allamah Iqbaal ki Tashreeh- (Bang-e-Dara)    Description-  Is Ghazal me Allamah Iqbaal Rahmat-Ullaah Alaih ne musalmanon ko aur unke Rahnumaao'n ko aitmaad ka rishta qayem karne aur Apne faraayez ko anjaam dene ke liye jazbah paida krne par zor diya hai*   kabhī aye haqīqat-e-muntazar nazar aa libās-e-majāz mein ki hazāroñ sajde tadap rahe haiñ merī jabīn-e-niyāz mein.. Tashreeh- Allamah Iqbaal Rahmat-Ullaah Alaih saheb ne is shear me Haqiqat-e-muntazar yaani Allaah ta'ala ke didaar ki khwahishon ka izhaar kiya hai,          Wo Allaah ki ek zaat jo kbhi kisi shay ke saamne be-naqaab nhin hui, jise insaan apni zaahri aankhon se nhi dekh skta, hmare Nabi S.A.W. ke siwa kisi ne nhin dekha, aur har musalman ke dil me Allaah ko dekhne ki khwahish hoti, aur Ahle jannat jab jannat me jayenge, to sbse badi nemat jo jannat walon ko naseeb hogi wo Allaah ka didaar hi hoga,        Aye Allaah agar kbhi meri nazron ko aapk...

Khizr-e-raah (sarmayah o mehnat) Tashreeh part-1

  Khizr-e-raah (sarmayah o mehnat) Tashreeh- part*1*- banda-e-mazdūr ko jā kar merā paiġhām de ḳhizr kā paiġhām kyā hai ye payām-e-kāaynāt.. Translate- Hazrat khizr A.S. farmate hain ki Aye Iqbaal tum jaakar ghulam majduron ko Mera yeh Paigham de do ki ghulami Kai daur guzar chuka hai, wazeh rahe ki bandah-e-mazdur se Muraad woh aam tabqah hai, jo apni jismani aur zahni salahiyat se mehnat aur mulazmat karta hai,          jiske paas sirf waqt ki daulat hai agar uska waqt bika to use kuchh milega Varna wah Faqah-Kashi par majbur Hoga aur Sarmayah-daar ki category mein hukmaran aur jaagirdar tabqah bhi shamil hain, Isi pas-manzar ke sath suniye.... aye ki tujh ko khā gayā sarmāya-dār-e-hīla-gar shāḳh-e-āhū par rahī sadiyoñ talak terī barāt.. Translate- Halat to yeh hai ke saazish karne wala Sarmayah-daar tumhara haq maar raha hai, aur hukumat bhi Isi ke paas hai aur woh tumhare huquq ke liye qanoon-saazi kar raha hai, aur woh tumhare huqooq ka sarkari farmaan...

Ghalib ke sher aur Tashreeh

Urdu Nazm Ghalib ke sher aur Tashreeh (Dil hi to hai...) Dil hi  to hai na sang wa khasht dard se bhar na aaye kyon Royenge ham hazaar bar koi hamen rulaye kyon.. Translate- Shayar apne dil se shikast hote hue kehta hai ki, insaan ke paas dil hota hai, aur dil ehsaas ke liye hota hai, aur ranj  ho ya Khushi har baat ka ehsas Dil per hi hota hai, ranj me insaan rota hai, Aashiq kahta hai ki hamare Rone par tu  kyon humko samjhata hai, ye dil hi to hai koi eent aur paththar to nhin hai jispar kisi qism ka asar hi na ho..              Hm to hazaar bar royenge koi hme rulata hi kyon hai jab bad me naseehaten krni hai... Der nhin, haram nhin, dar nhin, Aasta'n nhin Baithe hain rah-guzar pe hm koi hamen uthaye kyon... Translate-  Hm sufi (saints) hain, aur sufi ko mandir ya masjid se koi sarokaar ya mtlb nhin hotaa, hm na kisi ki tareef krte hain.. na kisi ki tauheen, na ham kisi ke raaste me aate hain.. hm to shaah-e-Raah par baithe hue ...