Allamah Iqbaal ki Tashreeh- (Bang-e-Dara)
Description-
Is Ghazal me Allamah Iqbaal Rahmat-Ullaah Alaih ne musalmanon ko aur unke Rahnumaao'n ko aitmaad ka rishta qayem karne aur Apne faraayez ko anjaam dene ke liye jazbah paida krne par zor diya hai*
kabhī aye haqīqat-e-muntazar nazar aa libās-e-majāz mein
ki hazāroñ sajde tadap rahe haiñ merī jabīn-e-niyāz mein..
Tashreeh-
Allamah Iqbaal Rahmat-Ullaah Alaih saheb ne is shear me Haqiqat-e-muntazar yaani Allaah ta'ala ke didaar ki khwahishon ka izhaar kiya hai,
Wo Allaah ki ek zaat jo kbhi kisi shay ke saamne be-naqaab nhin hui, jise insaan apni zaahri aankhon se nhi dekh skta, hmare Nabi S.A.W. ke siwa kisi ne nhin dekha, aur har musalman ke dil me Allaah ko dekhne ki khwahish hoti, aur Ahle jannat jab jannat me jayenge, to sbse badi nemat jo jannat walon ko naseeb hogi wo Allaah ka didaar hi hoga,
Aye Allaah agar kbhi meri nazron ko aapko dekhna naseeb ho to mere maathe hazaaron sajde krte hue tadap uthenge, jisme sirf yahi Aarzu o khwahish shaamil hai, ki Allaah se mulaqat naseeb ho jaye...
tarab-Aashnā-e-ḳharosh ho to navā hai mahram-e-gosh ho
Wo sarud kyā ki chhupā huā ho sukūt-e-parda-e-sāz mein...
Tashreeh-
Tarab-Aashna-e-kharosh (josh o kharosh se waqif) yani Apne andar naghmon ko chedna, Allamah kehte hain ki apne andar ke jazbon ko (nava) yani dhun banakar zubaan par laao, aur mahram-e-gosh (kaan me sunna) aawazon ko khud ke kaan tk laakar takraao ek saaz ki tarah,
Muraad ye hai ki apne andar ke jazbon wa ehsaason ko aawaz dekar bahar lekar aao, use yonhi andar pade mt rehne do, jazbe ko dil me chupaye na rakho jazbe ka izhaar kro,
Wo kya Sarud (naghma) jo chupa huwa ho, Sukut- besur (khamoshi) me, yaani saaz agar parde me hai, khamosh hai, to uski dhun aur uske naghme ka kyaa faida, har saaz me ek naghmah chupa hota hai agar wo parda-e-saaz me chupa reh jaye, to fir koi bhi us saaz se waqif hi na ho payega..
Allamah yahan tashbeeh ke zariye keh rhe hain ki dil ke jazbeh (Deen ke jazbeh) ko bahar nikaal kar Amal me lekar aao, apni zubaan par uska zikar-e-Aam karna shuru karo, warna us jazbah ka koi faida nhin...
tū bachā bachā ke na rakh ise terā aa'ina hai wo aa'ina
ki shikasta ho to azīz-tar hai nigāh-e-aa'ina-sāz mein...
Tashreeh-
Aaina se muraad hmara Dil hai, jo ki Aaine ki tarah hi kabhi toot jayega, gham o Alam se, Duniya ki shikastagi se..
lekin duniya ke nazar me Aaina agar toot jaye to uski ahmiyat aur wuq'at kam ho jati hai, use hatakar fenk diya jata hai, use koi izzat nhin di jaati, lekin hmaare dil ka jo Aaina hai, wo agar toot jata hai, usme ranj o gham wa Alam jitnaa zyaada ho wo Allaah ke nazdeek utna Azeez-tar hota hai, ek toote hue dil ki fariyaad sidhaa khudaa tk pahunchti hai, wo use sbse zyaada izzat o ahmiyat dete hain, aur jis dil ye dard o soz hi na ho to fir wo to paththar dil kahlayega, aise dil di kyaa faida jisme koi chot na ho..
Lehaza apne dil ko bacha bacha kar na rakho ki kahin toot na jaye, balki jab dukhon se, rik'at se, dardmandi o pareshaniyon se dil toot jata hai to wo Azeez-tar ho jata hai, isliye ise risne do ghaao bankar, saare sitam o gham sah jaao chup kar, wo Allaah tmhaare dil ka Aaina hai, use tmse mhbbt hai...
dam-e-tauf kirmak-e-shama'a ne ye kahā ki wo asar-e-kuhan
na terī hikāyat-e-soz men na merī hadīs-e-gudāz mein...
Tashreeh-
Kirmak-e-shama'a (charagh ke gird ghumne wala parwana) yani Shama'a ke chakkar lagane wale Jawaaz (dam-e-tauf) shama ke tawaaf krte waqt, yani Shama'a (mom batti) ke gird ghumte hue kehte hain, ki wo (Asar-e-kuhan) purana Asar, puraani ta'asir, wo pahle wala ehsaas o jazbaat..
Na tere Hikayat-e-soz (shiddat ke saath jalna) me baqi raha, na meri Hadis-e-gudaaz (dard o taklif ki daastan) me baqi hai,
yani na shama ke jalne me wo tapish, wo shiddat baqi hai, aur na parwane ke Dil me wo ishq o muhabbat jiske liye wo jalne ko bhi taiyyar rahta hai..
Allamah Iqbaal yahan tashbeeh ke zariye hame ye paigham de rhe hain, jisme Shama- se muraad musalmanon ke rahnuma aur parwane- se muraad Aawam se hai, na hi ab rahnumaon ke andar wo zaoq o shauq baqi raha, na hi unke pairokaaron ke andar wo jazbah reh gaya,
Lehaza, Iqbaal hame apne andar islaam ke us islaah ko be-daar krne ko keh rhe hain, jiski hm musalmanon ko zaroorat hai, taki ye qafila fir ravaan dawaan hon aur apni manzil tak jaa pahunche...
na kahīñ jahāñ me amaañ milī jo amaañ milī to kahāñ milī
mere jurm-e-ḳhāna-ḳharāb ko tere afv-e-banda-navāz mein...
Tashreeh-
Allamah farmate hain ki mere gunaahon, meri khataaon ke liye is duniya bhar me kahin bhi Amaan (panaah) na mili, kahin bhi ye khata maaf na hui,
lekin jab mujhe apne (jurm-e-khana kharab) bure Aamal ka jurm, se panaah mili to wo sirf (Afv-e-bande nayaz) matee'a Khuda ki taraf se haasil hui, yaani Huzoor S.A.W. hi wahid aise shakhs hain, jinki duwaaon sifarish se hme maghfirat mil sakti hai, isliye hme unko apne saath lekar chalna hoga, unke daman me chupna hoga,
Jaisa ki Quraan ki ek aayat hai jiske mayne hain ki aye mere mahboob S.A.W. jab ye log khud par zulm kar kar baithe, to ye aapke paas aa jayen, fir ye Allaah se maghfirat talab karen aur rasool bhi inke liye maghfirat talab karen, to Allaah ko bahut rahm o karam aur tauba qubool krne wala payenge...
Wo ishq mein rahīñ garmiyāñ na wo husn meñ rahīñ shoḳhiyāñ
na wo ġhaznavī mein tadap rahī na wo ḳham hai zulf-e-ayāz mein...
Tashreeh-
Yahaan Ghaznavi se muraad Sultaan Mahmood Ghaznavi, aur Ayaaz ko sabhi jante hain, jo ki Mahmood Ghaznavi ke Mash'hoor ghulam the, jinse unhe bahut muhabbat wa unsiyat thi,
Yahan bhi Allamah ne Ghaznavi aur Ayaaz ke tashbeeh me, Musalman Rahnumaao'n aur Musalman Awaam ke beech rishton ki ahmiyat ko bayaan kiya hai...
Na to Rahnumaao'n (leaders) me wo ishq yani wo jazbah baqi raha hai, aur na Awaam me wo shokhiya'an wo zauq o shauq baqi raha hai, jo ki purane waqt me huwa karti thi, ghulaam o Badshaah ke beech be-had Aitmaad ka rishta jo pahle hota tha, wo ab nhin hai,Jo khususiyaat un Rahnumaao'n me hua krti thi, chahe fir wo siyaasi rahnuma hon ya mazhabi...
Lehaza Allamah is cheez par tawajjo de rhe hain ki musalman rahnumaao ko bhi chahiye ki wo apne andar wo khususiyaat paida kren, aur Musalman Awaam ko bhi apne andar wahi zauq o shauq paida krne ki zaroorat hai, jisse ki musalmanon ko apna khoya huwa muqaam wapas hasil ho sakta hai...
maiñ jo sar-ba-sajdā huā kabhī to zamīñ se aane lagī sadā
terā dil to hai sanam-āshnā tujhe kyā milegā namāz meñ..
Tashreeh-
Allamah kehte hain ki maine jab sajde karte hue maathe ko zamin me rakha to mujhe yon mahsoos huwa ke zamin se ye sada (Aawaz) aane lagi ho ki tujhe Namaz se kyaa faida milega jab ki tera dil to sanam-Aashna (but se lagaao) hai, tere dil me to buton ki muhabbat chupi hui hai
Sanam ka lafzi ma'ane hai but, yahan par but ki muhabbat se kya muraad hai, ki dil ke andar lallach ka but ho, dil me ohde ka but ho, dil me nafrat ka but ho, dil me hasad ka but ho, dil me keenah-bugaz ka but ho, jab dilon me is tarah ke jazbaat aur ehsaasat ka samundar ho to fir Namaz me wo lazzat, wo zauq o shauq wa suroor kahan se milega,
Isliye Allamah kehte hain ki dil me se nafrat ka but khtam kiya jaye, dil me se Duniya ki muhabbat khtam kiya jaye, har kisi ke liye bughaz- kinah khtam kiya jaye, tamaam lalach ka ikhtetaam kiya jaye, ye tamaam jo qalbi bimaariyan inko khtam kiya jaye, tab jaakr hame Namaz me haqiqi lazzat haasil hogi, tab uski taraf hm paak dil se doobte chale jayenge....
Comments