Saqi Namah Band-1 Tashreeh- (Allamah Iqbaal)
Intrduction-
Magar Allah ta'ala Nabi Akram Sallallahu-Alaihi-wasallam par eimaan ka davedar bhi hai aur Allah Ki madad aur hidayat ka woh talaashi bhi hai, "Iqbaal" ne Allah ta'ala ko 'Saaqi' kaha hai jo khilaane aur pilane wala hai...
Saaqi ko badah-e-Muslim ki taraf se ek arzi pesh Ki hai jismein aisi nazaryati sharab ka sawal Kiya hai,
Ki Jise pee kar aqal o Dil par pade hue parde hat jaaye, is kainaat aur zindagi ke nuqta-e-aaghaz ka pata chale,
Duniyawi zindagi Ki haqiqat aashkar ho jaaye, maut Ka muamma hal ho, khudi Ki tafsilaat hasil ho,
Duniya Ki haisiyat ke bare mein maloomat ho aur qaumon ke urooj wa zawaal ke wajuhaat ke raaaz khul jayen, Saqi ne badi tawajjo se arzi suni aur tamam sawalaat ke tasalli bakhsh jawab diye,
Apni darkhwast pesh karne ke liye "Iqbal" ne ek khaas fikri mahaul aur khubsurat pas-manzar banaya hai, jo ki intehayi dilkash hai...
hua ḳhema-zan karvān-e-bahār
iram ban gayā dāman-e-koh-sār..
Tashreeh-
Shayar apne ilaaqe ke pas-manzar pahadon wa bahar ka zikr farmate hue kehte hain,
Hamare ilaake ke pahad Ke daaman se guzarte hue bahar Ke kafile ne padaao dalkar Apne kheme mein nasr kar diye Hain,
jiski wajah se daman-e-kohsaar ne jannat jaisa samaa'n paida ho Gaya hai, Aur zameen ka yeh tukda intehayi haseen o jameel manzar pesh kar raha hai....
Gul o nargis o sosan o nastaran
shahīd-e-azal lāla-ḳhūnin kafan..
Tashreeh-
Mausam-e-bahaar ko khush-amdid kehne ke liye mukhtalif aqsaam ke phool khil uthe Hain,
jinmen nargis, sosan aur nastran numayaan hai,
aur roz-e-azal ka Shaheed lalah bhi apne surkh rang ke kafan ki puri aab o taab ke sath khila hua hai...
jahan chhup gayā parda-e-rang meñ
lahū kī hai gardish rag-e-sang meñ..
Tashreeh-
Is bahaar ke aane ki khushi mein zameen ne bhi Apne Sare rang bikher diye hain,
aur Udey-Udey, Peele-Peele, neele-neele Aur beshumar rangon Ka parda odh liya hai,
jabki pahadon ke pattharon ki barik Ragho mein bhi zindagi Ke asaar numayan nazar aa rahe hain,
goya ke rang Ragho mein bhi zindagi Ka khoon gardish kar rha hai...
fazā niilī niilī havā men surūr
Thaherte nahin Aashiyan mein tuyūr..
Tashreeh-
Aasman bhi kisi se piche Nahin hai usmein fazaon mein Neel bilher diya hai, aur thandi thandi hawa bhi Khushi Se chal rahi hai
jismein phoolon Ki bhini-bhini Khushboo ne mahol ko pur-surur banaa diya hai,
aur parinde Apne ghoslon mein rukne ke bajaye khuli fazaaon mein udd kar bahar Ke isteqbaal karne mein masroof hain,
Khushi Se chahchaha kar bahar ko pass-Namah pesh kar rahe hain aur apni masti mein aasman Ki bulandi ko chhuna chahe rahe hain....
Wo ju-e-kohistaan uchaktī huī
ataktī lachaktī saraktī huī..
Tashreeh-
Ek nadi jiska kam kheton Ko Pani dekar jaan-daaron ke liye fal, anaaj aur khuraak paida karna hai
Woh bhi bahar ke Aamad se bahut khush hai,
aur isteqbaal karne ke liye unche pahad ki bulandi ke Kisi chashme se ubalkar nikal rahi hai,
chattano se atkaliyaan kar rahi hain, kahin lachak kha kar mud jaati hain, Kabhi Apni jagah se sarak jaati hai....
uchhaltī phisaltī sambhaltī huī
baḌe pech khā kar nikaltī huī..
Tashreeh-
Choti Moti rukawat par se uchalkar dhlanon par se fisalkar fir zara sambhal kar,
raste ke hisab se pech o kham kha kar apni manzil ki taraf Josh wa kharosh se rawaan dawaan hai...
ruke jab to sil chiir detī hai ye
pahāḌoñ ke dil chiir detī hai ye..
Tashreeh-
Agar koi bada patthar ya chattaan use rokne ki koshish kare to use faad kar apna rasta banaa leti hai,
Aur agar koi pahaad uski taqat ko aazmane ke liye uska rasta roke to usmein bhi shafaaf daal kar aage badh jaati hai, apni ravaani Se Kabhi dast bardaar Nahin Hoti...
zara dekh aye sāqi-e-lāla-fam
sunatī hai ye zindagi ka payām..
Tashreeh-
Aye Allaah! Aye mere sāqi-e-lāla-fam zara dekh to sahi yeh bahar ka mausam,
yeh sar-sabz pahaad, yeh rang- birange khile hue phool, yeh pur-sukoon mahol, yeh neele- neele fazaayen, yeh thandi- thandi hawayein, yeh udte chahchahate parindey aur ye balkhaati hui nadi,
ek jaandar aur shandaar zindagi Ka paigham de rahe hain...
pilaa de mujhe vo mai-e-parda-soz
ki aatī nahin fasl-e-gul roz roz..
Tashreeh-
Jabki meri halat nazuk hai, main qareeb-e-Almarg aur pej murdah hoon..
Aye Saaqi! mujh par rahem farmaa, mujhe woh sharab pila de Jo mujhmein zindagi Ki Ek Nayi Lahar daodaa de,
Aur meri himmat, jawaa'n Pardi aqal, illm, Amal aur tahqeeq par pade hue pardon ko jalakar Raakh kar de,
qki aisi bharpur bahaar Ka mausam roz-roz To Nahin aata, jab har chiz par bahar aa gayi hai to main kyon khaza-rasidah hun,
meri zindagi mein bhi rang bikhar jaayen, mujhe bhi taaqat aur jawani mayassar ho, main bhi khelun koodun mujhe bhi Khush-haali mile,
mujhe bhi lazzat aur waqar mile, Mera bhi sar buland ho aur mujhe bhi Aman aur salamati mayassar ho....
vo mai jis se raushan zamīr-e-hayāt
vo mai jis se hai masti-e-kaaināt..
Tashreeh-
Aye Saaqi! Mujhe woh "mai" pila de jisse meri zindagi Ki haqiqat Jo andhero mein gum ho gayi hai, woh Roshan ho jaaye
aur is Kainaat ki ravani-davani meri samajh mein aa jaaye, aasmanon Aur zameenon Ki takhleeq, Raat Aur din Ka farq, samandar mein kashti'e aur jahazon Ka chalna, aasman Se baarish ka barasna, jo murdah zamin ko zindah kar deta hai,
janvaron ka zameen mein phail Jana, hawaaln ka chalna, aur baadlon ka aasmaan o zamin ke darmiyaan moallaq hona,
yeh teri nishaniyan meri samajh me bhi aa jaaye, aur mujhpar bhi aasan ho jaye...
vo mai jis men hai soz-o-saaz-e-azal
vo mai jis se khultā hai raaz-e-azal..
Tashreeh-
Aye Allaah! Mujhe aisi "Mai" pila de, ke jiske pine se Azal ke saaz 'Kun-faya-kun' ki haqiqat samajh me aa jaye,
aur mere baap Aadam Alah-is-salam ki takhleeq ke qisse ki poshidah baaton ka pata chale, aur azal ke raaz yaani rooh ki takhleeq aur uski haqiqat par pada huwa parda hatt jaye...
uthā saqiyā parda is raaz se
ladaa de mamūle ko shahbaz se..
Tashreeh-
Aye maola! Nazre karam farmate hue in raazon Se pardah uthaa Ke mujhe meri haqiqat Se ba-khabar kar taki Mujh Na-chiz ko waloolah wa Josh mile,
main jo khud Ko Ek kamzor chidiya samajh raha hun, aur is Duniya mein bade bade shahbaz aur Shikari mujhe daboch lene ke liye Aur khaa jane Ke liye ghaat lagaye baithe Hain, meri iltejaa yeh hai ki mujhe meri taaqat aur azmat lauta de,
jisse main khud ko mazboot karun aur mujhe bade bade shahbaazon aur badi badi taaqaton se takraane aur ladne ka haosla, jazbah aur walulah mil jaaye....
Comments