Khizr-e-raah (Duniya-e-Islaam) part- 3 Tashreeh-
Description-
Nazm khizr-e-raah (Duniya-e-Islaam) Tashreeh ke teesre wa aakhiri hisse me Allamah Iqbaal ne jawab me kuch baten khizr Alah-is-salam se ki hain, aur musalmanon ko khoyi hui Azmat dubarah haasil karne ke liye ubhara hai....
ishq ko fariyad lāzim thī so vo bhī ho chukī
ab zarā dil thaam kar fariyād kī tasīr dekh...
Tashreeh-
Ishqq se murad woh musalman tabqah hai, ki jise mat Ki pasti par bahut dukh aur ranj hai, aur woh apna khoya hua maqam pane ke liye apna sab kuch qurban karne ke liye taiyyar hai,
ishq Ka farzz yeh tha ki Apne mahboob Rab Ki Khush noodi aur nusrat haasil karne ke liye, Uske saamne Apni duaa ilteja aur fariyaad pesh Karen,
So usne pesh kar di, Allah ta'ala samee-ud-dua hain,
Ab yeh laazmi hai ki Allah ta'ala ab us duaa ki ta'sir Ke badle mein hamen himmat Aur jazbah dega aur jab Allah ta'ala ki madad aur nusrat hamare sath hogi,
Fir zara sabar aur hausle se Dil tham Ke dekhna ki ham Islaam ki sar bulandi ke liye kya karte hain...
tū ne dekhā satvat-e-raftār-e-dariyā kā uruuj
mauj-e-muztar kis tarah bantī hai ab zanjīr dekh...
Tashreeh-
Aye khizr Alah-is-salam tune islaam ka woh zamana bhi Dekha tha ki jab Uske urooj Ka dariya badi shaan o shaukat se ravaan dawaan tha,
ab ham simat Kar zara si nadi ban Gaye Hain, jismein Na Josh hai aur na hi tezi aur tundi,
balki maujen Muztar gqhraiyon mein so chuki hain, ab woh mauj an-qareeb bedaar hogi,
Aur iflaas se hamara rishtah fir jud jayega, aur yeh pur sukoon dariyaa fir thaathe maarta hua samandar ban jayega...
Aam hurriyat kā jo dekhā thā ḳhvāb islaam ne
aye musalmaan aaj to us ḳhvaab kī ta'abīr dekh...
Tashreeh-
Insaanon ko ghulami se aazadi, aapas ki barabri aur bhai chare ka jo vision Islam ne 1400 saal pahle amli taur par diya tha, aur jis vision ki talimat ko Europe samet Puri Duniya mein musalmanon ne failaya tha,
aaj Usi vision ko Europe ne apna kar puri Duniya mein aam kar diya hai, lekin usmein ghalat nazariyaqt ki amezish bhi kar di hai,
Aye musalman utho aur Islam ke Sahi vision se sabko muta'arif karva do aur jo siyasat, Ma'eeshat hamare ma'ashrat mein shamil kar diya gaya hai, use saaf kar do,
taki Islam ke diye hue khwab ki khalis ta'abīr Duniya Ke samne aa jaaye....
apnī ḳhākistar samundar ko hai sāmān-e-vajūd
mar ke phir hotā hai paidā ye jahān-e-pīr dekh...
Tashreeh-
Samandar aag me rehne wala ek chota sa janvar hai, jab woh mar jata hai to jal kar raakh ban jata hai,
kuchh hi arse ke bad Uski khaak se Ek Naya samandar paida ho jata hai,
aye musalmanon ghum Na Karo Ki bazahir tum Ek Raakh Ka dher ban chuke ho,
lekin tumhare andar abhi is naam Se ishq Ki chingari Baqi hai
Ek br fir yeh chingari roshn hogi aur fir bhdak kar apni roshnise Puri Duniya mein ujala Kar degi....
khol kar Aankhen mere Aaina-e-guftār mein
aane vaale daur kī dhundlī sī ek tasveer dekh...
Tashreeh-
Meri guftaar ko sirf shayri mat samajhna yeh guftgu to ek hi shishah hai, ki jismein musalmanon ko kuchh dikhana chahta hun,
Zara aankhen khol kar is aaine mein Dekho, door Ek dhundli si tasvir nazar aa rahi hai, aur woh aane wala Daor islaam ka hai, jiski tumne aaj taiyyari karni hai...
Aazmuda fitna hai ek aur bhī garduñ ke paas
sāmne taqdīr ke rusvai-e-tadbir dekh...
Tashreeh-
Agar maujoodah halaat ke tanazar mein dekhoge, To yeh sab baaten na-mumkin lagengi,
Europe ne Baqi Duniya ke sath milkar Jo policy banayi hai, wo yeh hain ki islaami mumaalik Kabhi muttahid Na ho, ye Kabhi taqatvar Na ho,
Muslim Mumalik andhruni taur par ghair mustahkim aur kamzor rahen,
yeh Kabhi Ma'ashi taor Se khush-hal Na hon, unmen vashat-gardi aur bad-amni rahe,
In maqasid ke liye bah-qaida budgeting ki jaati hai,
aur har waqt nazar rakhkar monitoring ki jaati hai, ek chaal unki hai aur ek taqdeer-e-Rab ki hai
aur Allah Ki chaal sab par haavi hai, jab Allah Ki madad aayegi, to unke liye ek aazmodah fitnah fir khada ho jayega, jisse unki sab tadbiren ulat jayengi aur yeh munh dekhte rah jayenge...
muslim astī seena rā az Aarzū-ābād daar
har zaman pesh-e-nazar Lā-yuḳhlif-ul-mī.ād daar...
Tashreeh-
Aye musalmano apne seenon ko islaam ki sar bulandi ke jazbon se abaad rakho,
aur maujudah banal Aqwami halaat dekhkar tumhare eimaan mein agar kamzori paida ho jaaye,
to Fir is ayat ko madde nazae rakho ki "in-Nal-Allah la yukh-liful mi-aad" beshak Allah taala Apne vade ke khilaf nahin karta,
usne tumse vada Kiya hai, Aye musalmanon tum hi ghalib rahoge, agar tum eimaan wale ho,
tumhara farz yeh hai ki apni zaati imaan aur Kirdaar ko mazbut Kar Ke haram Ki hifazat aur Deen Ke sar balandi ke liye ekaththe ho jao,
aur apne aslaaf jaisa qalb o Jigar paida karo, Allah tumhara zarur sath dega...
Closure:
Kul shukr us zaat ka hai ki jisne hamen Allama Iqbaal Ki nazm khizr-e-raah Ko mukammal karne ki himmat aur taufeeq di,
Aur Karoron salam o durood ka nazraana Nabi Karim paak ke liye, ke jinke vaseele se Allah taala ne hamen deen Ki daulat Ko samajhne ke liye Allamah Muhammad Iqbal jaisa tarjaman-ul- qura'an atqa farmaya,
Allah tabarak wa-ta'ala Allamah Iqbaal ko jannat mein aala Maqam Ataa farmayen,
aur hamari is chhoti si kavish ko Apne jaanib mein sharf-e-qubooliyat bakhshen...
Comments