Khizr-e-raah (Duniya-e-Islaam) part-2 Tashreeh-
![]() |
Khizr-e-raah Duniya-e-Islaam |
Description-
Pichli post me hamne khizr-e-raah (Duniya-e-Islaam) ki pahle band ki Tashreeh ko pesh kiya tha,
Is post me ham Duniya-e-Islaam ke dusre band ka mutaal'a karenge, jisme Hazrat khizar Alaihissalam ne Allamah Iqbaal ko apne mulk, duniya o islaam, jung o aziyat se rubaru karwaya hai, aur islaam ke liye ek jut hone ko kaha hai...
Mulk hāthon se gayā millat kī aāñkheñ khul gayin
haq tera chashme ataa kar dast-e-ġhāfil dar nigar...
Tashreeh-
Hazrat khizr A.S. farmate hain ki Iqbaal agar musalmanon ko khilafat-e-Usmaniya khatm ho jaane ka itna bada jhatka laga hai to uska Ek fayda bhi huwa hai, wo yeh ki millat ki aankhen khul gayin hain, aur musibat ki shakal mein Ek nemat hai-
*Agar Usmaniya par hai koi ghum toota to kyaa ghum hai,
Ke khoone sad hazaar anjum se hoti hai sahar paidaa..
Ab agar Allaah taala ne tumhen haqayeq ko dekhne wali aankh di hai, To Apne deen Ki hifazat ghafil mat rahna, jab jaisa ho sake tum apne deen ke liye taiyar rahna aur aakhiri dam tak uski hifazat karna...
momyaaī kī gadāayi se to behtar hai shikast
mor-e-be-par! hājate pesh-e-Sulaimane mabar...
Tashreeh-
Is shear me surah Namal ki ayat no. 19 ka zikr hai, ki jab Hazrat Sulaiman Alah-is-salam Ek maidaan se Guzar rahe the,
jahan Ek cheenti ne Kaha- aye cheentiyon Apne bilon mein ghus jao kahin aisa Na ho ki Suleman Alaihissalam aur unki fauzen tumhe raund daalen,
kyunki Hazrat Suleman Alaihissalam cheentiyon ki zubaan samajhte the,
Fir bhi Ek be-par aur kamzor tareen cheenti ke khud-daari Ka Aalam yeh tha, ki usne Hazrat Suleman Alaihissalam se darkhwast nahin ki... ki woh apna rastah badal len,
bolkar khud hoshiyar hokar khud Ko Apne bilon mein mehfooz kar liya, iske bar-akks tamam Islamic Mumalik Usi Europe ki minnat aur samajat kar rahe hain,
jiska apna aashiyana Ek nazuk Shakh par bana huwa hai, jo Jo tootne wali hai, Aur unki tehzeeb Apne khanjar Se hi khud Ko halaaq Karne Wali hai..
Hazrat khizr Alah-is-salam farmate hain ki yeh to Ek hanud shudah laash hai, jise momiya kar rakha Gaya hai,
Aye musalmanon tumhari ghairat Ka taqazah yeh hai ki is khushbu-daar laash ke samne jholi faila kar Apne khud-daari ka janaza mat nikalo, faqeh kar lo, bhuke mar jaao, Apne andar Ek kamzor cheenti itni ghairat aur ahmiyat paida kar lo,
ke jisne Hazrat Suleman Alah-is-salam Jaise Azeem o shaan badshaah ke samne haath failane ko apni khud-daari ke khilaf Jana samajhti Hain...
rabt-o-zabt-e-millat-e-baizā hai mashriq kī najats
Asia vaale hain is nukte se ab tak be-ḳhabar...
Tashreeh-
Sabse pahle ek nukte ki bat samajh lo Ki musalmanon ka aapas me raabta Aur ta'aluqat hi mashriq walon Ko ahle-maghrib ki bala-dasti se nijat dila sakta hai,
Ek musalmaan mulk ka dusre masalmani mulk se achche ta'alluq aur khuloos aitmaad ka rishta hi tmhari kamyabi ka sabab ban skta hai,
jis din Aur jitni jaldi tum ne is baat Ko samajh liya, Usi din tumhari khoi hui azmat ki bahali ka kam shuru ho jayega...
phir siyāsat chhoḌ kar dāḳhil hisār-e-deen mein ho
mulk-o-daulat hai faqat hifz-e-haram kā ek samar...
Tashreeh-
Islaami mulkon me yeh ilzaam taraashi aur apne mukhalfeen ko ganda Kar Ke iqtedaar hasil karne wali siyasat musalmanon ka Shiwah Nahin hai,
tumhen yeh mulk aur hukumat isliye mile hain ki tumhare aslaaf ne Azeem qurbaniyan dekar haram ki hifazat ki thi,
yeh hukumat aur mulk in buzurgon ke lagaye hue darakht ka fal hai, jabki Ek dusre par kichad uchaalne Se tum khud Ko bhi kharab kar rahe ho,
Apne mumalik ki Malik ki andhruni aur ilakayi siyasat mein kirdar-Kushi ki Ravish se daman bacha kar Aman o salamati ke deen ke kile mein dakhil ho jao, aur ek dusre ke ehteram aur Ikram ko Apne upar lazim kar lo...
ek huuñ muslim haram kī pāsbānī ke liye
niil ke sāhil se le kar ta'ab-ḳhāk-e-kāshġhar...
Tashreeh-
Tunmhari ta'daad aur ilaqah thoda nahin hai, tum Africa Se lekar cheen aur roos tak faile hue ho,
tumhari abaadi dedh arab se zyaadah hai, waqt Ka takazah ye hai Ki haram Ki hifazat Ke liye sab Islamic Mumalik jama ho jao,
tamam islamik mumalik ko watan Ke pinjron mein qaid hone ki bajay visa ki pabandiyan khatam Karni chahiye, currency, difference, aur foreign policy, Ek kar leni chahiye aur Islamic mumalik ka ek mushtakah platform banana chahiye....
jo karegā imtiyāz-e-rañg-o-ḳhūñ mitt jayegā
turk-e-ḳhargāhī ho yā A'arābī-e-wala-guhar...
Tashreeh-
Firangi sazish ke tahet tumhen rang aur nasl ki buniyad par mukhtalif riyasaton ke tahet taqseem kar diya gaya hai,
ab agar tum ne usi buniyad ko apne liye qabil-e-fakhar samajh liya, ki ham to shaahi khemon mein rahane wale Turk hain aur ham sab se aala hain,
Is Duniya par ghuroor Kiya ki ham to maaldar Arab hain To samajh lo Ki yahi fakhr tumhare Duniya Se mity jaane ka sabab ban jayega...
nasl agar muslim kī maz.hab par muqaddam ho gayī
udd gayā duniyā se tū manind-e-ḳhāk-e-rah-guzar...
Tashreeh-
Rang aur nasl ki buniyad par apni fazilat sabit mat karo, pyaare Nabi Sallallahu-Alayhi-wa-sallam ne khutbat-e-hajjatul-Wada ke mauqe par tumhen khabar-daar Kiya tha,
Ke Kisi Arabi ko ajmi par, Kisi ajmi Ko Arabi par, Kisi kale ko gore par aur gore ko kaale par, Koi fazilat Nahin hai, tum sab Aadam ki aulad ho aur Aadam mitti Se bane the...
tā-ḳhilāfat kī binā duniyā meñ ho phir ustuvaar
laa kahīñ se Dhūnd kar Aslāf kā qalb-o-jigar...
Tashreeh-
Aakhir me main tumhare tamam masayel ka Ek hal tajviz karta hun, Ke jisse tum avyaar ke jungle se nikal kar apna khoya hua maqaam paa sakte ho,
Woh yeh ki tamam musalmanon ko Puri Duniya mein Ek Nizam par muttafiq Hona chahiye, aur rooh-e-asar ke samaji ma'asharti aur siyaasi nizaam mein rooh-e-Islam ko dakhil kar dena chahiye,
aisa karne ke liye bahut bada Dil gurda chahiye, Jo pukhtah Iman aur Sajhad tumhare Imaan mein tha, agar wahi jazbah apne andar paida kar sako, tab hi yeh kam ho sakta hai, kaam mushkil zarur hai lekin na-mumkin Nahin hai...
aye ki na-shināsī ḳhafī raaz jalī hoshiyaar baash
aye giraftār-e-Abū-bakar-o-Alī hoshiyār-baash...
Tashreeh-
Agar tum bareek baat Nahin samajh sakte, to main tumhen khullam-khulla baat bata deta hun, hoshiyar ho jao, ke is fitne se jaan chhudayen baghair tumhari baat Nahin banegi,
Ek rukawat Jo tumhare paaon ki zanjeer ban chuki hai, woh hai Shiya-sunni ikhtilaaf...
is ikhtilaaf ne millat ko bahut nuqsan pahunchaya hai,
lihaaza tum agar aapas mein sher o chakkar Nahin bhi ho sakte, to kam se kam Apne Ekhtilafaat ke bawajud baqaye bahmi ke usool ko hi apna lo..
is sulagti hui aag per hi tumhare dushman Tel dalkar mazeed bhadkarte hain aur tumhen kamjor karte hain,
raaste ki is rukawat ko khatm kiye baghair tumhari tarakki aur baqaa ke tamam kam adhure rah jayenge, aur isi zillat mein hamesha-hamesha pade rahoge....
Note:
Nazreen-e-ekraam Hazrat khizar Alaihissalam ki Allamah Iqbaal ko rahnumayi ka silsilah yahan ekhtetam ko pahunchta hai, khizr-e-raah ke agle band mein shayar ka tabsirah hai, jise agle hisse me pesh kiya jayega....
Comments