Khizr-e-raah (Duniya-e-Islaam) Tashreeh-
![]() |
Introduction-
Aaiye ham sab khizr-e-raah ke chate (6) band "Duniya-e-Islaam" ke pahle band ka mutaal'a karte hain,
Hazrat Muhammad Iqbaal ke sawalat-
* Zindagi Ka Raaz kya hai, saltanat kya cheez hai,
Aur yeh sarmayah o mehnat mein hai kaisa kharosh*
Ka tafseeli jawab dene ke bad ab Hazrat khizar Alaihissalam aakhri sawal ki taraf mutawajjah hue, woh sawal yeh hai Ki-
* Aag hai aulaad-e-Ibraheem hai, namrood hai,
Kyaa kisi ko fir kisi ka imtehaan maqsood hai*
Jawab me Hazrat khizr Alah-is-salam ne apni tajweez batayi aur fir marz ka ilaaj bhi tajweez kiya hai,
Farmaate hai-
Kyaa sunata hai mujhe turk-o-Arab kī daastan,
mujh se kuchh pinhaan nahin islaamiyon ka soz-o-saaz...
Tashreeh-
Aye Iqbaal tumhen to Mere Ilm aur umr ka bakhubi andaaza hai, aur tum mujhe suna rahe ho ki maazi mein musalmanon ne kya Kiya hai, jab Ki main khud in waqyat ka chashm-deed gawaah hun, aur mujhse to koi baat poshidah hai hi nahin, huwa yon hai ki-
Le gaye salees ke farzind meraas-e-khaleel
Khasht buniyaad kaleesa ban gayi khaak-e-hijaaz...
Tashreeh-
Arbon ki halat yeh hai ki Hazrat Ibrahim Alah-is-salam ki jo bahaduri, haq-parasti aur taoheed ki miraas Nabi Kareem Sallallahu-Alaih-Wa-Sallam ke zariye musalmanon ko Mili thi,
woh uski hifazat Na kar sake, jise eisaayi cheen Kar le Gaye aur woh miraas ab Kalisaa yani Eisaiyon ki buniyadon mein dafan ki jaa chuki hai, Jise khodkar nikalna bhi ab Ahle Arab ke liye mumkin hi Nahin...
ho gayi ruswa zamaame mein kulah-e-lalah-rang,
jo sarapa naaz the hain aaj majbur-e-niyaaz...
Tashreeh-
Woh turki topi ke jiski izzat Puri Duniya mein ki jaati thi, ab ruswayi aur zillat ka namuna ban chuki hai, jise aur to aur ab Koi Musalman bhi nahin pahenta aur woh Turk salateen Jo sultanat-e-Usmaniya ke daur mein pure Arab, Ashiya aur aadhe se zyaada Europe par hukmaraan the, aur jinke naaz Ka Aalam yeh tha, eisaayi Mumalik ke hukmaran unse milane ke liye waqt mangte the, woh Usi Europe ki chaplusi karne par majboor ho gaye hain aur pahli jungen azeem mein saari saltanat haar kar Ek chhota sa mulk turki bachane ke liye unhen islami khilafat khatam karna padi, Aazan aur namaz mein Arbi zubaan chhodni padi aur Pure turki mein Europee Nizam tehzeeb o tamaddan aur rahen sahen ko apnana pada, ab eiraniyon ki baat bhi sun lo....
le raha hai mai-faroshan-e-farangistaan se paaras
Wo mai-e-sarkash hararat jis ki hai mina-gudaaz...
Tashreeh-
Woh Iraani log jinka apna fikr o falsafah aur Illm Duniya bhar mein jana jata tha, aur Islam ne unhen aur mazbut banaya tha, wahin Iraani ab apni surahi ko Khali samajh rahe hain, aur woh apni mina bharne ke liye sharab firangi mainkhane se khareed kar la rahe hain,
jabki firangi fikral ki sharab itni sarkash hai ki jisne khud Europe ki siyasat, ma'ishat aur Ma'ashrat se Allah tala ke ahkamaat ko bedakhal Kar Diya hai,
ab Jo bhi is sharab ko Apne bartan mein dalega, Uske fikr aur amal ka bartan bhi jalkar khaak ho jayega, aur woh Europy tahzeeb o tamaddan Ka garvidah ho jayega,
yad rahe ki Iraani inqalaab se pahle Iran mukammal Taur par European tehzeeb ko apna chuka tha, Aur Kalam-e-Iqbaal ke fikr ne is inqalab mein ahem kirdar adaa kiya hai...
hikmat-e-maġhrib se millat ki yeh kaifiyyat hui,
TukḌe TukḌe jis tarah sone ko kar deta hai gaaz...
Tashreeh-
Tumhaari halat yeh hai Ki tum aaj maghribi ChaalBaazi aur aiyari ko samajh Na sake, tumhare upar unka hamla 4 taraf se tha aur jadeed Technology se bane hue hathiyaron se leess musallah fauj,
dusre Jadeed ma'asharti, ma'ashi aur siyasi Nazariyaat,
teesri saainsi uloom par mubni masnu'aat aur inferaas (structure) rail, road aur Hawai ma'aslaat Ka nizaam aur chhote qadeem yunani falsafah, jismein Allaah ki nafi Karke insaan ko aqle-qul taslim Kiya gaya hai,
use jumle ne tumhari khilafat ko khatm Kar Ke tukdo tukdo mein taqseem kar diya aur ulta tum unhi ka ehsan mante ho ki unhone tumko Azadi Di hai...
ho gaya manind-e-aab arzan musalman ka lahu,
muztarib hai tu ki tera dil nahin dana-e-raaz...
Tashreeh-
Musalmanon ke khoon ki beqadri aur dushmani ki ibtedaa 15vi Sadi se shuru hui, jabki natije mein undlish mein musalmanon ka iqtedaar hamesha hamesha ke liye khatam kar diya Gaya,
iske bad Isaayi hukmuranon ki sakhtagi aur har-tashaddud policy ke tahet musalmanon ko ya to mulk-badar hone, ya to Isaayi banne par majbur kar diya Gaya, ya to unhen qatle aam ke zariye khatm kar diya Gaya,
Is tarah lakhon musalman qatal hue, iske bad aalimi jungen avval (1914 se 1918) 4 sal 3 maah tak ladi gayi, jismein Ek karod 84 lakh insan qatal hue aur 2 karor 36 lakh insaan zakhmon se apahij hue,
Usmaani khilafat ko khatm kar diya Gaya aur Puri Duniya mein musalmanon ko ghulam banaa liya Gaya,
jab ki world war II- jo ki 1939 se 1945 tak 6 sal ladi gayi, jismein 8 karor 50 lakh afraad ko maut Ki munh mein dhakela Gaya,
jinki aksariyat Musalman thi, Uske bad azadi ke naam par musalmanon ko chote chote mulkon me taqseem Karke unmen mukhalifat aur nafrat ke beej bo diye Gaye, Shiya-sunni ke ikhtelafaat ko hawa di gayi,
Al-Qaeda funding Karke Musalmanno Mumalik ko aapas mein ladaya Gaya, Uske bad bhi islamiyon ka lahoo bahane ka silsilah Nahin ruka,
Kabhi faraglis, Kabhi Iraak, Kabhi shaam, kabhi Kashmir, Kabhi Afghanistan, Kabhi falasteen, Kabhi shaam, Kabhi Pakistaan, kabhi yaman mein musalmanon ka khoon Paani Ki Tarah bahaya jata raha hai,
aur tum yeh keh rahe ho ki main apne dil ke goshe mein Ek iztaraab chhupaye baitha hun aur mujhe samajh nhin aa rahi hai ki kya- kyon ho Raha hai,
Jaan lo ki ye sab kuffar ru-e-zameen par tumhare wajood ko bardasht nahin kar sakte, aur unka poshidah agenda yeh hai ki iss zameen ko musalmanon se paak karna aur Islam ka naam safa-e-hasti se mitana hai....
guft ruumi har bana-e-kuhana ka-badaan kunand,
mi na-dani avval aann buniyad ra-viraa'n kunand...
Tashreeh-
Yaad karo Rumi ne Kaha tha ki apni purani buniyadon ko mazboot karo, magar ab bahut sa waqt guzar chuka hai, meri Raye yeh hai Ki ab Tumne kyunki Europe ki fikr aur falsafah ko apna liya hai,
isliye pahle apni muniyadon se in afkaar aur Nazariyaat ko nikal kar bahar fenk do aur fir Islaam ki buniyad par Ek Nayi Inmarar ta'amir karo...
Note:
Khizr-e-raah (Duniya-e-Islaam) ke agale band mein Hazrat khizr Alah-is-salam ne musalmanon ko jagane ki Mazeed koshish ki hai aur kuchh Amli nasihaten bhi ki hain, Jin par Amal pera hokar Musalman Fir surkh rooh ho sakte hain, uska zikr agli post mein shaamil hoga...
Comments