Khizr-e-raah, sultanat-2 (Tashreeh)
![]() |
Add caption |
hai vahī sāz-e-kuhan maġhrib kā jamhūrī nizām
jis ke pardoñ meñ nahīñ ġhair-az-navā-e-qaisarī..
Tashreeh-
Maghrib Ka nizam baadshahiyat aur papahiyat par qayem tha, Aur spain mein musalmanon ki Europe ko di gai taleem ke natije mein jab be-daari ki lahar paida hui to logon ne pahle papahiyat aur fir baadshahiyat ko uthakar fenk Diya..
to Iblees ne apne agent Yahood ke zariye isi ke Asar ki badshahiyat ko awami hakimiyat ke naam se Jamhuriyat mein badal Diya, aur protagoras ke qadeem nazariye Humanism ke tahet aasmani rahnumai ki mukmmal nafi Karke ek baadshah ki hakimiyat ke bajaye avaami hukumat ka jamhuri Nizam mut'aarif karvaya, Iblees ki Majlis-e-shurah nazm mein Iblees Apne mushiron se kahta hai*
*Hmne khud-shahi ko pehchana hai jamhuri libas
jab zara Aadam hua hai khud shina so khud Nigar...
Jabki Amli taor par baadshahat aur jamhooriyat par koi bhi tabdeeli ronuma Nahin hui hai, Allah Ki hakimiyat mein Jo Shirk baadshahat ke nizam mein tha, woh jyon ka tyon jamhuriyat mein bhi maujud hai, aur Puri Duniya ghair-Ullah ki hakimiyat ke zalimanah nezaam ke loot maar ke shikanje mein tadap rahi hai...
dev-e-istibdād jamhūrī qabā meñ pā-e-kūb
tū samajhtā hai ye āzādī kī hai nīlam-parī..
Tashreeh-
Tum samajhte ho ki yeh jamhooriyat hamare masayel ko hal karegi, dar haqiqat yeh to Ek zalim Aur Jaabir Jinn hai, Jo jamhooriyat ka khubsurat libas pahenkar raqs kar raha hai,
aur tum yeh samajh rahe ho ki baadshahiyat ke manhoos saaye se bachkar tumne jamhuriyat ke Neelam pari ke pahlu mein panha le li hai,
aisa hargiz Nahin hai, isi baadshahat Ke zalim Dev ne tumhen naam nehad ki hukmarani dekar tumhen 'vote' ki ek parchi thsma di hai..
Aur yeh 5 saal tak looy khasot Aur zulm Ka bazaar garm kiye rakhte hain,
Fir Neelam pari jaisi shakal banakar tumne dubarah bewkuf banata hai, aur dhaandli ke zariye tumhari hukmarani ki parchi chhin Kar ya khareed kar le jata hai, aur fir nazar Nahin aata, Fir tumhari ghurbat aur iflaas mein Ezaafa hota jata hai, aur tumhari qaom ko mazeed qarzon ke zariye daba Diya jata hai,
ghurbat Ke chakkar se nikalne ka Ek hi raasta chhoda jata hai, wo ye hai ki corruption ke Isi Mafiyah mein shamil kar Usi Ka hissa ban jaao aur aawam ko lootane Men lag jaao, is nezaam ka asal maqsad poori qaom ka ma'asharti istehsaal Karke gharibon ka khoon choosna aur apni daulat ke ambaron mein izaafah karna hai, aur tum is khyal mein khush ho tum apne vote ke zariye khud hukumat kar rahe ho...
majlis-e-ā.īn-o-islāh-o-ri.āyāt-o-huqūq
tibb-e-maġhrib meñ maze mīThe asar ḳhvāb-āvarī..
Tashreeh-
Ye Europe ka woh Aspataal hai, ki jismein ma'ashre se mahrumi khatm karne ke liye bahut sari kametiyaan banaa banaa kar tumhen meethi meethi goliyan Di jaati hai, Jin ka natija tumhen sirf sulaye rakhna hai, taki tum apne qaumi masaayel ki yeh halki ki ummid lagaye baithe raho,
aur yeh log agle election jitne ki planning karte rahen, tumhen har waqt Ek aas Di jaati hai ki, tumhare masayel Ka hal ab dur Nahin, committee ban gai hai aur tum uske iftizhar mein khud Ko lutwaaye chale ja rahe ho....
garmī-e-guftār āzā-e-majālis al-amāñ
ye bhī ek sarmāyah-dāroñ kī hai jañg-e-zargarī..
Tashreeh-
Jis tariqe se sonnet, qaumi, Assembly, subaahi Assembly aur zili hukumaton ki Assembly me hisbe ikhtelaaf, hisbe iqtedaar ki bahes wa tahiyyus hoti hai,
Iska asal maqsad yeh hota hai ki jagirdar aur Sarmayah-daar hukumaton mein aakar kaise Ek dusre se aage badh kar, kaise Sona-chandi lutne Ki daud mein shamil rahe Aur avaam ko apni zaheri ladai jhagdon mein fasakar bevkuf banaye rakhen aur yeh log naam badal badal kar aur pariyaan badal badal kar Apne hi mafadaat ko haasil karne mein lage rahte hain...
is sarāb-e-rañg-o-bū ko gulistāñ samjhā hai tū
aah ai nādāñ qafas ko āshiyāñ samjhā hai tū..
Tashreeh-
Yeh ek aisaa seraab hai ki jisme bazahir har khubsurat rang birange phool-fal khushbu aur taazgi mahsoos ho rahi hai, lekin haqiqat mein yeh siwaye dhoke ke kuch bhi Nahin hai, tum samajh rahe ho ki is maghribi bhagh-e-jamhooriyat se roti kapda Aur makan milega tumhari nazron ko aaram aur asoodgi milegi, afsos! aisa To kuchh bhi Nahin hai,
tumhare ghurbat to azaab mein hi guzregi, jismein tum khushhali ke khwaab hi dekh sakoge, lihaza is serab Aur dhokhe ke bare mein pahchan lo taki mustaqbil ke bare mein socha sako....
Comments