Khizr-e-raah (sarmayah o mehnat) By Allamah Iqbaal, Tashreeh part-2nd
Introduction-
Sarmayah o mehnat ke Pichle band me Bandah-e-mazdur yaani aam aadmi ko Hazrat khizr A.S. ne yeh ehsaas dilaya ki uske sath kya kya dhoke kiye jaa rahe hain,
aur usko Apne huqooq ke liye khade hone ke liye balki usko Duniya Ke dhare ko badalne Ki dawat bhi di>
*Uth ke ab bazm-e-jahaan ka aur hi andaaz hai,
Mashriq o maghrib men ab tere daor ka aaghaz hai...*
Aur aage badhkar Sarmayah o mehnat ke dusre band me aam aadmi ki zindagi mein manfi Aur kamzor rawaiyon ko wazeh karke aage badhne ka woh jazbah aur haosla diya hai ki jiski wajah se aam aadmi Khaas aadmi ban sakta hai,
aur ek kamzor qaum Duniya mein azeem tareen qaum ban sakti hai...
himmat-e-ālī to dariyā bhī nahīñ kartī qubūl
ġhuncha saan ġhāfil tere dāman mein shabnam kab talak...
Tashreeh-
Khizr-e-raah ke sarmayah o mehnat hisse ke pahle shear me Allamah Iqbaal ne Mominon ko bedaar krne ki koshish kiya hai,
Allah tala ne tumhe Ashraful makhluqat banaya hai, khubsurat jism, shakal, aqal Di hai, ilm Diya hai, rooh di hai,
Aasman Aur zameen ko tumhare qaabu mein Diya hai, samandar, dariya, fizaa, tumhare tabe'a karti hai aur tumne khud Ko Ek kamzor Kali samajh liya hai, jise Paani na bhi mile to woh oos ki nami se bhi guzara kar sakti hai..
tum Koi kali Nahin ho, apni ahmiyat aur fazilat par ghaur Karo, tum Ambiyay-e-Assalah-tu-wassalam aur Nabi Sallallahu-Alaih-wa-sallam ke deen ke sarokar ho,
unki himmat ka to woh Aalam tha ki, woh na Kisi Dasht Ko khatar (zehen) Men laaate the, aur na dariya ko...
tumhare paas tumhare Nabi Sallallahu-Alaih-wa-sallam ka zindaa mojzah Qur'an hai, yeh Qur'an tumhare murda Jism mein Jaan Dal Sakta hai, jiski ta'alimat ke natije mein Ek bar Puri Duniya Ko mukammal taur par tabdeel Kiya jaa chuka hai aur usne zindagi ke Inferadi goshon mein aqayed, ibadaat aur ijtemayi goshon mein siyaasat, ma'ashiyat aur ma'ashrat mein azeem inqalabaat barpaa kiya tha..
himmat badi rakho, taki tum aaj bhi waise hi bade kam kar sako, tumhari Asal bimari kam himmati aur chhoti Soch hai, isse bahar aao aur badi soch aur buland himmat haasil karo, duniya mein itna buland maqaam paa jaaoge, Jo aaj se pahle Kisi Ko nahin mila...
naghma-e-bedari-e-jamhur hai saman-e-aish
qissa-e-ḳhvāb-Avar askandar-o-jam kab talak..
Tashreeh-
Insaan ki aazadi, aapas ki barabari, aur bhai chaare ka jo sabaq diya tha, aawami bedaari ke khubsurat naghme ne in nazariyaat ko Amli jamah pahnane ki fazaa hamwaar Kar Di hai,
tum kab tak guzre hue Sikandar aur jamshed Jaise baadshaho Ke qisse sun sunkar jhumte rahoge, tumhara maqaam To unse bahut buland hai, utho Aur musalmanon Ko batil nazariyaat se, rang se, zabaan se, nasl se, ilaaqe ki taqseem se, aur ma'asharti unch neech se Aazad karane ke liye qamr-e-himmat kas lo, aur Adal aur insaaf ke Alam-bardar bankar khade ho jao...
āftāb-e-tāza paidā batn-e-gītī se huā
āsmān Duube hue tāroñ kā mātam kab talak..
Tashreeh-
Raat me gau bahut Roshan aur haseen taare chamak rahe the, magar ab woh doob chuke hain, Aur zameen ki kokh se Ek Naya Suraj tulu'a ho chuka hai,
bajaye iske ki tarikh raaton ke sitaron ke gum hone ka matam karo, balki din Ki roshani mein tarakki karo, aur maazi mein Rone ke bajaye Apne haal ko achcha bnaao, apni mahrumiyon Ke Rone dhone mein apna waqt barbad mat karo,
Ek naye zamane mein bahut Sare imkanaat tumhare muntazir hain, aao Is zamane mein nayi manzilen talash karo, insaniyat ki khidmat ka jazbah lekar khade ho jao Aur Duniya mein sabse aage nikalne ki taiyari karo...
tod dalin fitrat-e-insaan ne zanjīreñ tamām
dūrī-e-jannat se rotī chashm-e-Adam kab talak..
Tashreeh-
Jab Aadam Alah-is-salam jannat se zameen par Aaye the, To kuchh arsah jannat ki ne'amaton aur ronaqon Ko yaad kar Karke rote the,
lekin fir unmein maujud fitrat ne angdaayi li aur yadon Ki zanjiro Ko Tod Kar unhen Azad karva liya aur fir Aadam Alah-is-salam aur unki aulad ne is zameen ko hi jannat nazeer bana liya,
tum bhi ab Apne azmat-e-raftah Ki yaadon ki qaid se nikal aao Aur Ek nayi Duniya Bana lo, nayi nayi tahqeeq aur ijaadaat se Duniya Ko Roshnas karwaao, ab bajaaye pachtaane ke aage badhne ka safar shuru karo, fir dekhna Ek din manzil tumhare qadmon mein hongi aur tum apni zindagi mein kamyab-e-Tareeen insaan hoge...
baghban-e-chara-farma se ye kahtī hai bahār
zaḳhm-e-gul ke vaste tadbīr-e-marham kab talak..
Tashreeh-
Yaad rakho ki kuch zakhm marham se Bhar jaate hain, lekin kuchh zakhm aise hote hain jinhen thik karne ke liye operation karna padta hai, ab marham lagane ka waqt nahin hai ab tumhara ilaaj operation se Hoga...
Lihaaza, himmat karo aur apne qaum ko dobara azeem banane ke liye agar kuchh ghalat Nazariyaat ya aqaayed se jaan chudaane bhi pade to in chakkaron se Apni Jaan chuda Lena, tumhen jin chakkaron mein dala Gaya hai unka zikr pahle bhi Kiya jaa chuka hai, fir se sun lo, woh chakkar yeh Hain~
*nasl qaumiyat kalīsā saltanat tahzīb rañg
ḳhvājgī ne ḳhuub chun chun ke banā.e muskirāt...
Yeh sarmayah-daar, jageer-dar aur badshaah tumhare liye nashah-Aavar davaiyan banayi hain, jinhe tum bagair soche samjhe khakar mast ho jaate ho aur apna hi nuksan karate ho, aur nasha Aavar adbiyaat mein ganva dete ho,
Kabhi tumhen nasl ki buniyad par taqseem Kiya jata hai aur Kabhi qaumiyat ke naam par, Kabhi tumhen mazhab ki buniyad par ladaya jata hai aur Kabhi tumhara istehsaal, tahzeeb aur tamaddan ki buniyaad par Kiya jata hai, aur Kabhi tumhen kaale aur gore rangon Ki wajah se baanta jata hai...
kirmak-e-nadan tavāf-e-shamaa se Aazād ho
apni fitrat ke tajallī-zar mein Abad ho
duniyā-e-islām..
Tashreeh-
Yahan ek aur misaal se baat ko wazeh kiyaa hai, ki yeh to parwane ki nadani hai ki woh roshni haasil karne ke liye shama Ka tawaf krta hai, jabki woh Kabhi Apne andar maujud noor Ki talash nahin karta...
Hazrat khizr Alah-is-salam ne aam aadmi ko yeh kaha hai ki tumhara maslah yeh hai ki tumhen Apne andar ki Duniya mein ghup andheraa nazar aata hai aur dusron ke illm o hunar ki chamak dhamak se tumhari aankhen jagmaga uthti hain,
aur dusron Ke ilm o hunar ko apni nazar mein Aa'la maqaam dene ki bajaye apni zaat me ghaur Karo, aur bareeki se apne andar jhaank kar Dekho,
Jo illm, aitmaad, hoslah, tajarbah, yaqeen, tawakkal, qat'aat, sabar jazbah, tumhen Apne andar milega, uske samne ghairon ki tamaam tarakki heech (nothing) nazar aayegi,
jis din tum us maqaam par pahunch gaye, to samajh Lena Usi din tumhari Kayah palat jayegi, Aur tum Ek khubsurat Duniya banakar zamane Ke samne pesh karoge, jis Duniya mein tumhari millat aur ummat Ka naam roshan aur tumhare Nabi Sallallahu- Alayhi-wa-sallam Ke deen Ka alam sar buland ho jayega....
Conclusion-
Sarmayah o mehnat hisse ke dusre aur aakhri band mein Allaamah ne Hazrat khizr ki zubaani musalman qaum ko ghaflat se jagaane, apne andar ki roshni ko talaashne aur Sarmayah-daaron ke haantho bachne ke liye himmat aur hauslaa diya hai...
Comments