Khizr-e-raah part-4th, jawab-e-khizr (Zindagi) ki Tashreeh-
Bartar az andesha-e-sūd-o-ziyāñ hai zindagī
hai kabhī jaañ aur kabhī taslīm-e-jāñ hai zindagī..
Tashreeh-
Hazrat khizr A.S. Iqbal se farma rahe Hain Ki, agar Sahi ma'ano mein zindagi ka lutf uthaana chahte Hain.. To sabse pahle is Zindagi mein se wafa Ke talab nikal do aur nafaa wa nuksan Ke khauf ko Dil se door kar do,
kyunki kahin zindagi naam hai Jaan bachane ka aur kahin zindagi naam hai Jaan qurbaan karne ka aur nafa o nuqsan se bahar aa jaaoge to bade bade faisle aasani se kar loge ki kahan Jaan bachana zyaada zaroori hai aur kahan jaan qurban karne se zindagi Amar ho jayegi...
tū ise paimāna-e-imroz-o-fardā se na naap
jāvedāñ paiham davāñ har-dam javāñ hai zindagī..
Tashreeh-
Ye zindagi bahut lambi hai, Allaah ta'ala ne qaaynat ki takhleeq se bahut pahle sab insaani Roohon ko paida kiya tha, aur Fir unhen sula diya tha, Uske bad Allah taala ne Amr-e-kun se yeh qaaynat banayi aur jab zameen jaandar makhlooq ke rahane Ke qaabil hui to Hazrat Adam Alah-is-salam ka Jism banaya aur unke andar pahli rooh Allah tala ne khud foonki.. Fir unke ummid ka silsila jaari hua aur har insan ki rooh dalne aur nikalne ke liye farishte aate Hain..
aaj tum is Duniya mein Jism ke sath maujud ho, maut bhi makhluq hai jo aarzi Taur per aaegi aur Fir tumhari dobara jaan le li jayegi, lekin afsos ki tum is Zindagi Ko dinon mahinon aur Saalon mein naapte ho, aisa mat karo, yeh zindagi Marne se marti nahin aur na hi yeh Kabhi budhi Hoti hai, yeh kabhi rukti nahin aur musalsal chalti rahti hai, lihaaza maut Ka khauf dil se nikal do, maut to nind ki bahen hai aur zindagi Ki tasalsal ka hissa hai...
apnī duniyā aap paidā kar agar zindoñ meñ hai
sirr-e-ādam hai zamīr-e-kun-fakāñ hai zindagī..
Tashreeh-
Ek raaz yeh hai ki zamin Allaah ke hukme kun se insaan ke liye bani hai, aur dusra raaz yeh hai Ki Aadam ko Allaah ne tamaam-tar ilm aur ekhteyaraat dekar zameen ka Malik aur khalifaa banakar Duniya mein bheja hai, har insan Aadam ki aulad hai Aur in tamaam khubiyon Ka haamil hai jo Aadam Alah-is-salam ko Mili thi,
Lihaza apni zindagi Ki tawalat aur zameen par apni milkiyat aur khilafat ki haqiqat ko samajh lo, agar yeh baat samajh mein aa gayi to tumhen apni ek nayi duniyaa paida krni chahiye...
zindagānī kī haqīqat kohkan ke dil se pūchh
jū-e-shīr-o-tesha-o-sañg-e-garāñ hai zindagī..
Tashreeh-
Yahaan Ishq-e-mejazi ki misaal dekar baat ko aur Aasan kar dete hain,
Farhad ne sheerin se pyaar kiya, Siri ne farmaish ki Mere liye pahad katkar dudh ki nikal kar lao agar sachcha ashiq Na hota To kya karta sawal jawab Nahin kiye teshah uthaya aur pahad kaatne mein Apni zindagi guzaar Di, kya hua mar Gaya? Nahin.. balki zindagi Amar Kar Gaya...
bandagī meñ ghaT ke rah jaatī hai ik jū-e-kam-āb
aur āzādī meñ bahr-e-be-karāñ hai zindagī..
Tashreeh-
Ghulaami, khaas taur par zahni ghulami agar qubool Kar li zindagi us Nadi ki tarah ho jayegi ki jiska Pani khushk ho jata hai aur jiska Pani khud Khushk ho jaaye woh bhala Kise Pani dega,
aur agar har Tarah Ki gulami se Azad ho jaaoge to zindagi thath maarte hue samandar ki tarah ho jayegi jiska Koi kinara Nahin hota, uske andar bahut Sare jahaan, khazane aur zindagiyaan chupi hoti hain, jinhen woh har waqt taqseem Karti rahti hai aur usmein Koi Kami Nahin aati...
āshkārā hai ye apnī quvvat-e-tasḳhīr se
garche ik miTTī ke paikar meñ nihāñ hai zindagī..
Tashreeh-
Aur hm jismaani taqat ko hi zindagi Ki quvvat samajh baithe Hain, magar Zindagi Ki taqat mazahir-e-qudrat ko taskheer karna hai, jisse uski asal quvvat Ka izhaar hota hai, jiske zariye zindagi mein tezz raftar ki inteha Karke zameen, samandar, fazaaon, khalaaon aur hawa mein lambe lambe Safar kiye, Technology ne aasmanon Ko chhu liya in baaton ki taraf tawajjo do, Dekho jinhone Deen Aur Duniyaavi ilm par kam Kiya, woh kahan hain aur tum kahan ho...
qulzum-e-hastī se to ubhrā hai mānind-e-habāb
is ziyāñ-ḳhāne me terā imtihāñ hai zindagī..
Tashreeh-
Yon samjh lo ki tum ek samandar ka hissa ho aur pani ke bulbule ki trah thodi der ke liye tum ubhar kar aaye ho, yeh bulbula fat jaega aur tum Fir pani ka hiasaa ban jaaoge,
yeh Zara sa waqt aazmaish ka hai, is zeyaan-khane mein nuqsaan har aane Wale ka muqaddar hai, yaa Duniya khasarah yaa upri ghata, yahan imtehaan dene aa gaye ho aur chale jaana hai, Duniya aur aakhirat dono ke Talib ban jao, aa jaao main tumhe bahut achchi achchi bakhsheesh (tips) de skta hun...
Comments