Khizr-e-raah part-3 (Tashreeh) Jawab-e-khizr: Sehranvardi-
Description-
Shayar dariyaa ke kinaare apni socho mein magan hai... ki achanak Hazrat khizar Alaihissalam Uske pass aakar usko Apne uljhanon Ka hal janne ke liye Apne Dil Ki aankhen kholne ki nasihat karte Hain,
jabki shayar unke ilm aur karnaamon ka e'ateraaf karte hue unki musalsal sahranvardi Ki aadat par hairaangi Ka izhar karta hai Aur Chand sawalat zindagi, Sarmayah, mehnat, madah-parasti aur Muslim ke mustaqbil ke bare mein karta hai jinke jawabat Hazrat khizar Alaihissalam ne yon diye...
Kyon ta'ajub hai Meri Sahranvardi par tujhe
Yeh tuga pu-e-dama-dam zindagi Ki hai daleel...
Tashreeh-
Aye shayar Mere Sahraaon jungalon aur biyabano mein ghumne firne ki jis aadat par tum hairaan hote ho, darasal vahi har waqt ki mehnat aur musalsal jaddo jahed aur daud dhoop ki aadat Meri sadabahar ki javani aur abdi jindagi Ki buniyad hai,
Asal baat To yeh hai ki mujhe ek zimmedari Mere hawale ki gai hai aur us zimmedari ko nibhaanaa hi Meri kamyab zindagi Ki daleel hai, jab ki tum apni zimmedari chhodkar abadiyon Me raah-e-farda dhundh rahe ho...
Aye raheen-e-khana tune woh Samaa Dekha Nahin
Gunjti hai jab faza-e-dasht me baang-e-Raheel...
Tashreeh-
Aye aabadiyon me, makaanon me ghuskar rahne wale insaan, tum in dil-khush aur hasin nazaaron se mahroom ho, ke jinka main aksar mushahidah karta hun,
jab Kisi veeran maidan Aur Raat ko padaao dalne wale kafile ko subah savere jungle Ke khamosh fizaa me kooch ka hukm Dene Wali awaaz buland ki jaati hai, jis se ekdam kafile Ke logon mein Sarat aur tezi aa jaati hai, aur sab log intehaayi nazm o jazb ke sath sitaron mein Apni agli manzil ke taraf ravana ho jaate Hain...
Ret ke teele pe woh Aahu ka be-parwaah kharaam
vo hazar be-barg-o-sāmāñ vo safar be-sañg-o-mīl...
Tashreeh-
Tum to us nazaare se bhi Na-waqif ho Ko jab sahra mein ret ke tilon per Duniya o jahaan se beparwah hiran atkaliyaan bharta hai aur jab woh naaz aur andaaz se masti Ke chaal chalta hai to kitna dilkash dikhai deta hai,
uske pass na to rihaish ke liye Ghar hai aur na zindagi basar karne ke liye koi Samaan ekattha karta hai isiliye use safar mein jaate waqt Ka qafilon, manzilon aur waqt Ki bhi koi parvah Nahin Hoti, woh sabse beparwah hota hai aur Azad hota hai, zindagi Ke har pabandiyon se mahroom hota hai...
vo numūd-e-aḳhtar-e-sīmāb-pā hañgām-e-sub.h
yā numāyāñ bām-e-gardūñ se jabīn-e-jibra'īl...
Tashreeh-
Tum us nazaare se bhi mahroom ho, jo main roz dekhta hun ki sahra mein ponplen foot-tin Hain, To Suraj ki aamad ke istaqbal ki taiyari ke liye subah apni safedi ke zariye tamaam sitaron ko ek saath rukhsat kar deti hai Fir jab shaan o shaukat ke saath Aasman se Suraj tulu'a hota hai to yon mahsoos hota hai Ki Jaise Hazrat jibrail A.S. ki peshani Aasman Ki chhat se namodar ho rahi ho...
Wo sukūt-e-shām-e-sahrā mein ġhurūb-e-Aaftāb
jas se raushan-tar huī chashm-e-jahaan-bīn-e-ḳhalīl...
Tashreeh-
Hazrat Ibraahim A.S. jis mahol me paida hue, vahan log buton ke alava sitaron, Chand aur Suraj Ki pooja bhi karte the,
Allah Ke Khalil Jo usse pahle subah ke waqt sitaron aur Chand Ke dubne Ka mushahdah Kar chuke the aur elaan kar chuke the Ki doob jaane wala Mera Rab Nahin ho sakta, jab unhone Chaaron taraf registan ki khaamoshi aur sham ki khamoshi mein Suraj ko doobte hue dekha to woh pukar uthe ki dubne wala Suraj bhi Mera Khuda Nahin ho Sakta..
Aur main apna rukh yaksu kar liya us zaat ki taraf ki jisne takhleeq kiya hai, tamaam Aasman aur zameen ko.. aur main shirq karne walon mein se nahin hun, is vaqeya ne Hazrat Ibrahim Alah-is-salam ki haqiqat been nigahon Ko mazeed Roshan-tar banaa Diya...
aur vo paanī ke chashme par maqām-e-kārvāñ
ahl-e-īmāñ jas tarah jannat meñ gird-e-salsabīl...
Tashreeh-
Aur main to woh manzar bhi aksar dekhta hun, ki jab chalte hue karvaa'n Ke log lamba Safar Tay Kar Ke Pani ke kisi chashme par pahunch jaate Hain aur woh us chashme Ke gird Pani peene ke liye jama'a ho jaate Hain,
unke chehron Ki Khushi aur chamak Dekh Kar Yon lagta hai Jaise jannat mein pahunchkar eimaan wale wahan maujud ek mithe aur thande Paani ke chashme ke gird jama hokar Khush honge, jis nahar ka naam salsabeel hai...
taaza vīrāne kī saudā-e-mohabbat ko talāsh
aur ābādī meñ tū zanjīrī-e-kisht-o-naḳhīl...
Tashreeh-
Aye Iqbaal Tu yahan dariya ke kinare aaj nazar Aaya hai Teri kaifiyat dekhkar mahsus hota hai ki tum Kisi Ke mohabbat Ke saudaayi ho, jab ki aashiqon Ka tariqa to yeh hota hai ki woh apne liye naye jungle aur nye biyaaban talaash karte hain,
lekin tum ne khud Ko abadiyon mein band Karke khud Ko kheton aur baghaat ke kaarobar tak mahdood kar diya hai, tumne to Aashiqon wale raaste ko apnayaa hi Nahin hai aur mujhse kah rahe ho ki*
* Chord kar aabadiyon rahta hai tu sahra navard-
To fir meri bat ghaur se sun lo....👇🏻
Puḳhta-tar hai gardish-e-paiham se jām-e-zindagī
hai yahī ai be-ḳhabar rāz-e-davām-e-zindagī...
Tashreeh-
Zindagi ka jaam ya zarkh musalsal harkat mein rahne se yaani kam karne se mazbut hota hai, jabki aap yeh sochte Hain ki usko zyada se zyada aaram dekar use pukhtah banaya ja sakta hai, jabki zindagi ke upar zimmedaariyon ka jitna bojh daal do wo us bojh ko utha sakti hai aur usko daimi karne ka Raaz bhi yahi hai, ki us par Dali gai zimmedaariyon ko pura karo ki yad rakhen ki zindagi jitna bojh uthati hai wo utni hi taqatvar hoti jaati hai zindagi par padne wala bojh hi uski taqat ka muzhar hai,
zindagi par zimmedari ka vazan na dalne par yeh kamzor ho jaati hai Aur zimmedari rahti Duniya tak unke kamon ko mahfooz kar deti hai aur mujh par Allah taala ne bhatke hue logon Ko rastah dikhane ki zimmedari saunpi thi, main aaj tak musalsal zimmedari ko nibha raha hun Meri jindagi ke daimi hone Ka bhi yahi raaz hai...
Comments