Skip to main content

Khizr-e-raah part-2 Allamah Iqbaal- (Tashreeh)


Khizr-e-raah part-2 Allamah Iqbaal (Tashreeh)-
 






(Band-2)


Kashti-e-miskin-o-jan e pak o divar-e-yatim

Ilm-e-Musa bhi hai tere samne hairat-farosh..


Tashreeh-

Is shear me Allamah Iqbaal ne un teen waqeyat ke taraf ishara kiya hai, jisme 

(Khizr A.S. ne ek miskeen ki kashti me surakh kar diya tha, Aur dusra waqeya jisme ek bachche ko fanaa kar dete hain, aur tisra jisme ek yatim bachche ki diwar banayi thi) 
                      Aur Musa A.S. ke sawal karne par unhone in waqeyat ki wajah batayi ki-

(agar surakh hai kashti me to badshah uski nuqs bhari kashti nhin lenge, dusra yeh ki woh bachcha agar zindah rha to woh khud bhi kafir banega aur logon ko gumraah krega, tisra yeh ki us yatim ke diwar ke piche sara khazana tha, aur woh diwaar girne ko thi, isliye uski hifazat karne ko unhone diwar bnaa di)

                    Aur ishara karte hue farmate hain ki aapke ilm ke saamne to Ilm-e-Musa bhi hairat farosh hain, yaani paighambar bhi aapke Ilm ko dekhkar hairat zadah hain..
    
               Iqbaal kehte hain ki yeh teen waqeyat aapne dekhe jo mustaqbil me hone wale the, jiska pataa kisi ko nhin tha, Musa A.S. ka Ilm bhi aapke Ilm ko hairat se dekh rhe hain...


Chord kar abadiyan rahta hai tu sahra navard

Zindagi teri hai be-roz o shab o farda-o-dosh..

Tashreeh-

Allamah Iqbaal ne khizr A.S. se puchte hue farmaya-
  "Aap to waqt ki qaid se hi Aazad hain, aapke liye waqt ki koi pabandi nhin, aur aap aabadiyon ko chordkr (Sahra-navard) yaani jungalon ke amdar guzar basar karte hain, jungalon me firte Hain, khana-badosh ki si zindagi guzaarte hain, to ye kyaa muaamla hai, na aapko aaj ki fikar hai, na kal ki fikr hai, aaj aur aane wala kal aur duniya ki tamaam chizen aapke saamne bilkul Ayaa'n hai, din aur raat wa waqt o Ilm in sbki qaid se aap bilkul aazad hain?"



Zindagi ka raaz kya hai saltanat kya cheez hai

Aur yeh sarmaya-o-mehnat me hai kaisa kharosh..


Tashreeh-

Allamah Iqbaal aage sawal karte hue farmaate hain,
           "Aye khizr A.S. Aye Dana-o-bina insaan meri zara Rahnumayi farma dijiye, ki zindagi ka raaz kya hai? Zindagi kya cheez hai?  Maqsad-e-zindagi kyaa hai?  Yeh umr-e-bandish zindagi hi hai sirf ya isse pahle bhi koi zindagi aayi thi?  Ya iske bad bhi koi zindagi hai?
 
Aage farmate hain ki Sultanat aur hukumat kyaa cheez hai?  jiske liye aaj bade-bade log sirf sultanat aur hukumat ke liye ladte rahte hain, aur yeh sarmayah-daar jo hain, inka mehnat ke saath kaisa (kharosh) takraao hai kyonki jo mehnat karne wale log hain kyon unki majdoori nhin dete kyon unka khoon chuste hain, aur apne aap me ameer se ameer-tar hote jate hain, yeh sarmayah-daaron ko mehnat se kis qism ka takraao hai ?


Ho rha hai Ashia ka khirqa-e-derina chaak

Naujawan aqwam-e-nau daulat ke hain paira-e-posh..


Tashreeh-

Allamah Iqbaal sahab farmate hain, "Aye khizr A.S. aap dekh rahe Hain ki jo mashriqi tahzeeb hai wo kis taraf ja rahi hai, (kharqa-e-dedeenah-chaak) yaani poshidah kapda fata ja raha hai, 
      
                 Murad yeh hai Ki jo mashriqi tahzeeb aur tamaddan tha, jo taur tariqah tha, vah bilkul khatm hote chale ja Raha hai aur magribi tahzeeb ka daur dohra shuru ho raha hai aur nayi- nayi tahzeeb ubharkar aa rahin hain, jo Allaah ke hukmon se bahut door hain, jo Allaah ke qawanain se bahut door hain, aur jo naujawaan aaj ke Aqwaam hain, naujawaan nasal hain vah bhi ine Nayi-Nayi qaomon ki aur aur daulat Ki pervi kar rahi hai, aur dusron ke mazahib aur dusre logon ke taur tarike ko apna rahi hai apne Taur tariqe ko bhul kar dusre qaumon ke piche hamari nasal jaa rahi hai...



Gar-che sikandar raha mahrume Aah-e-zindagi

Fitrat-e-askandari ab tak hai garm nau-nosh..


Tashreeh-

Yahaan fir ek tarikhi ke waqeyah pesh aaya ki ek Jo sikandar Aazam jo ek bahut bada baadshah guzara hai, usko Aab-e-hayaat Ki talash thi Ki woh ek aisa Pani pee le, jisse ta-qayamat tak zinda rahe,

          to woh usi ke misaal ke zariye keh rhe hain, agar-che sikandar To mahroom raha hai Aab-e-hayaat ko dhundhne se aur hamesha jinda rahne se, lekin uski jo fitrat thi apne hukumat ko barkarar rakhne ki aur hamesha zinda rahne ki, woh abhi logon mein maujud hai aaj bhi shikastah aur fateh ki Jung jaari hai, aur aaj bhi log khane peene me bilkul masst hain aur bas kha-kha kar hi zindah hain, is tarah ka to mahaul hai...



Bechta hai hashmi namus din-e-mustafa

Khak-o-khun me mil raha hai turkaman-e-shakht kosh..


Tashreeh-

Yahan bhi ek tarikhi waqeye ka zikr kar rahe hain, aapane suna Hoga sultanat-e-Usmania ke bare mein, ek bahut badi hukumat Jo Musalman ke Raaj mein rahi aur bahut bada uska Raqbah (Area) tha, bade bade Mumalik usmein shamil the, lekin angrez ki, aur Yahoodiyon ki chaal ki vajah se is Sultanat-e-Aazam ko Todwa Diya Gaya.. 
                  Angrez aur Yahoodiyon ne milkar sultanat-e-azeem musalmanon ke darmiyaan foot dalwa Diya aur us sultanat Ke tukde tukde ho Gaye, jahan se deen Chala tha, yani Arab woh khud aaj sabse pasti Ka shikaar hai wahan tamaam tarah ki be-ghairatiyaan aur bad-tamizyaan aam ho gayin hain...


Aag hai aulad-e-Ibrahim hai namrud hai

Kya kisi ko fir kisi ka imtihan maqsud hai..


Tashreeh-

Ke aaj bhi wahi sar-garm Aalam hai, pahle bhi duniyawi jungen huin, aur ab bhi chal rhi hain, puri duniyaa ek jung ki kaifiyat me rahin, puri duniyaa jal rhi thi, ke yahaan aag bhadak rhin thin, 

                    Aulad-e-Ibrahim se muraad musalman hai, yahan aag bhi faili hui hai, aur Musalman bhi pareshaan hai, aur namrud ke zulm bhi badhte se badhte jaa rhe hain, Aye khudaa kya fir koi imtehaan ka maqsad hai, kya fir koi imtehaan hamara chal raha hai, kya fir Allaah ko koi imtehaan maqsud hai, jo is tamaam tarah se Duniya ke andar sar-garmiyaan chal rahi hain, har taraf jung aur tanaav ka mahaul hai, ek kashmkash hai sarmayah-daar aur majdur ke andar, ek kashish hai zindagi aur maut ki, ek kashmkash hai fatah aur shikastah ke andar.. 
        Ye tamaan chizen kyaa hain, ye woh bhed hain ye woh sawalaat hain, Jo mere dil ko bechain kar dete hain, izteraab ki si kaifiyat in sabko sochkar mujhe aati hai, mujhe in sbse rahnumaayi farmayen, 

    Is band ke andar Allamah Iqbaal ne ye chand sawaal puchen hain....





Comments

Popular posts from this blog

Ghalib ke sher aur Tashreeh

Urdu Nazm Ghalib ke sher aur Tashreeh (Dil hi to hai...) Dil hi  to hai na sang wa khasht dard se bhar na aaye kyon Royenge ham hazaar bar koi hamen rulaye kyon.. Translate- Shayar apne dil se shikast hote hue kehta hai ki, insaan ke paas dil hota hai, aur dil ehsaas ke liye hota hai, aur ranj  ho ya Khushi har baat ka ehsas Dil per hi hota hai, ranj me insaan rota hai, Aashiq kahta hai ki hamare Rone par tu  kyon humko samjhata hai, ye dil hi to hai koi eent aur paththar to nhin hai jispar kisi qism ka asar hi na ho..              Hm to hazaar bar royenge koi hme rulata hi kyon hai jab bad me naseehaten krni hai... Der nhin, haram nhin, dar nhin, Aasta'n nhin Baithe hain rah-guzar pe hm koi hamen uthaye kyon... Translate-  Hm sufi (saints) hain, aur sufi ko mandir ya masjid se koi sarokaar ya mtlb nhin hotaa, hm na kisi ki tareef krte hain.. na kisi ki tauheen, na ham kisi ke raaste me aate hain.. hm to shaah-e-Raah par baithe hue ...

Khizr-e-raah (sarmayah o mehnat) Tashreeh part-1

  Khizr-e-raah (sarmayah o mehnat) Tashreeh- part*1*- banda-e-mazdūr ko jā kar merā paiġhām de ḳhizr kā paiġhām kyā hai ye payām-e-kāaynāt.. Translate- Hazrat khizr A.S. farmate hain ki Aye Iqbaal tum jaakar ghulam majduron ko Mera yeh Paigham de do ki ghulami Kai daur guzar chuka hai, wazeh rahe ki bandah-e-mazdur se Muraad woh aam tabqah hai, jo apni jismani aur zahni salahiyat se mehnat aur mulazmat karta hai,          jiske paas sirf waqt ki daulat hai agar uska waqt bika to use kuchh milega Varna wah Faqah-Kashi par majbur Hoga aur Sarmayah-daar ki category mein hukmaran aur jaagirdar tabqah bhi shamil hain, Isi pas-manzar ke sath suniye.... aye ki tujh ko khā gayā sarmāya-dār-e-hīla-gar shāḳh-e-āhū par rahī sadiyoñ talak terī barāt.. Translate- Halat to yeh hai ke saazish karne wala Sarmayah-daar tumhara haq maar raha hai, aur hukumat bhi Isi ke paas hai aur woh tumhare huquq ke liye qanoon-saazi kar raha hai, aur woh tumhare huqooq ka sarkari farmaan...

Bang-e-Dara Himalaya-1 (Tashreeh)

  Bang-e-Dara, Himalaya-1 Allamah Iqbaal ki Nazm ki Tashreeh- Description-  Allamah Iqbaal sahab ne is nazm me Himalay ki bulandi wa khoobsurati ka zikr kiya hai, uski Hindustan me ahmiyat wa khususiyat ko bade dil-nasheen andaz me bayaan kiya hai... (Band-¹) Aye himala e fasile kishware Hindustan  Chumta hai teri peshani ko jhuk kar Aasman... Tashreeh- Hazrat Iqbaal ki ye nazm watan parasti aur qudrat ke husn ki taarif se bhari hui hai,        Allamah Iqbaal koh himalay se mukhatib hokar farmate hain ki teri haisiyat Hindustan ki sar zameen ke liye ek aisi diwaar ki si hai jo apne watan ki muhafiz (hifazat gaar) ho, yahi nhin balki tera wajood is qadar buland bala hai ki mahsoos hota hai ki Aasman khud teri peshaani par bosah de rha hai Tujhme kuch paida nhin derina rozi ke nishaan Tu javaan hai gardish-e-sham o shahar ke darmiyaan... Tashreeh - Agle shear me farmate hain ki ba-zaahir tere wajood me lambi umr ke asraat nazar nhin aate, lekin iske ba-w...