Khizr-e-raah part-1 Allamah Iqbaal (Tashreeh)-
Description-
Allamah Iqbaal ki taweel tareen nazm me se ek hai, jiska unwaan hai "khizr-e-raah" jo ki khizr A.S. aur shayar ke beech ek mukalmah hai, jise Allamah ne nazm ke zariye se pesh kiya hai..
Khizr A.S. ka tazkirah quran majeed me bhi aaya hai, usme ye hai ki Allaah ne unko ek taweel umr Ataa ki hai aur unka ye kaam hai ki bhatke hue logon ko sahi rastah dikhate hain, shayar ki unse mulaqat hui hai aur uska tazkirah is nazm ke andar hai...
(Band-1)
Sahil-e-dariya pe main ek raat tha mahv-e-nazar
Gosha-e-Dil me chupaye ek jahaan-e-izteraab..
Tashreeh-
Us raat mai dariya ke kinaare baitha hua tha use Raat meri jee ke andar, Mere Dil mein ek (Jahan-e-izteraab) ek jahan ki bechaini aur beqarari wa iztirab ki kaifiyat thi, bahut uljhan wa socho main gum tha..
Shabh sukut afzaa hawa asuda dariya narm-sair
Thi nazar hairaan ki ye dariya hai yaa tasveer-e-Ab..
Tashreeh-
Jo Raat thi woh bahut khamoshi ko badhane wali thi, hawa bhi aahistati ke sath ravan davan thi, hawa bahut narmi ke sath bah rahi thi aur dariya bhi bahut aahistagi ke sath bah raha tha,
Meri nazar hairaan thi ki ye main dariya ko dekh raha hun ya dariya ki tasvir ko main dekh raha hun, is khushgawar mahaul ko meri nigahen hairani se tak rahi thi ki yah dariya hai ya tasveer hai dariyaa ki..
Allamah ki khususiyat hai ki woh manzar-Kashi ko is Tarah bayaan karte Hain Ki padhne wale ki takhayyul aise parvaz karti hai, ki aisa mahsus hota hai ki yeh nazara bilkul nazar Ke samne maujud ho...
Jaise gahvaare me so jata hai tifl-e-shir khwar
Mauj-e-muztar thin kahin gahraiyon me mast-e-khwab...
Tashreeh-
Jaise ek baccha apni sharartan shor o Gul karte hue sare Ghar walon ko Apne taraf mutavajja karte hain, apni shararton se sabhi ka zehen Apni taraf khinch leta hai vahi baccha jab apne (gahware) paalne mein, apne jhoole me, to pure Ghar mein ek khamoshi aur ek sukoon ka mahol chha jata hai,
to is misaal ke zariye Allamah Iqbal farmate Hain Ki Isi Tarah shor karne wali maujen bhi kisi gehraiyon ke andar jakar so gai thin Aur khamoshi ka mahaul barpa tha, har taraf khamosh faili thi...
Raat ke afsun se taa'ir-e-aashiyano me asir
Anjum-e-kam zau giraftar-e-tilisme mahtab...
Tashreeh-
Raat Ka yeh Jo jadu tha Raat Ki Jo Ye khamoshi thi yeh itni jadu karne wali thi, jo (taa'ir) parinde the woh Apne aashiyan mein so rahe the, apna basar kar rahe the, khwab mein khoye hue the, "Anjum-e-kam-zau" kam roshni wale sitare bhi Chand Ki roshni Ke suroor mein khoye jate the...
Dekhta kyaa hun ki woh paik-e-jahan paima khizr
Jiski pairi me hain ma'anind sahar range shabab...
Translate-
Is Tarah Maine Dekha ki jo sari Duniya Ka ghumne wala hai logon ko paigam pahchane wala bhi hai, aur logon ko raste batane wala bhi hai woh Mere samne rubaru hai aur jiski Ki (pairi) budhape ke andar bhi subah ke sahar ki Tarah javani aur shabab ka rang maujud hai, yani budhape mein bhi javani Ki si shabab Ki kaifiyat hai...
Keh raha hai mujhse aye juya-e-israar-e-Azal
Chashme dil wa ho to hai taqdir-e-Aalam be-hijab...
Translate-
Kuch der ki khamoshi ke bad Hazrat khizr A.S. mujhse yon kehne lage, "Aye juya-e-israar-e-Azal" aye shuru se hi raazon ko khojne wale, raazon ko dhundne wale, razon ko tatolne wale, agar Dil Ki aankh khul jaaye, to Jo taqdeer-e-Aalam hai, yani is pure jahaan ki jo taqdeer hai, yahan jo kuch guzarne wala hai, jo kuch hone wala hai, woh be-hejab hokar aapke samne aa jayegi, aur tum usko samajh sako ge...
Dil me ye sunkar bapa hangama-e-mahshar huwa
Main shahid-e-justuju tha yun sukhan gustar huwa...
Tashreeh-
Allama Iqbal Sahab kah rahe Hain Ki Hazrat khizr A.S. ki jab yah baat Maine suni agar Dil Ki aankh khuli ho To Duniya Ki takdeer aapko nazar aaegi, yeh sunkar Mere Dil mein ek hungama barpa ho gaya, main to pahle hi haqeeqat Ki talash mein tha, Maine unse Kaha-
-Aye tere chashm-e-jahaan bin par woh tufaan Aashkar,
Jinke hungame abhi dariya mein sote Hain khamosh...
Translate-
Maine unse kaha- jin lahron se aur jo sahraab abhi dariyaa ki tah me khade hain, tumhe woh bhi nazar aayega, yaani maine hairaani se unke illm ki tah tk pahunchna chahaa...
Comments