Skip to main content

Allamah Iqbaal ki Tashreeh (Baale jibreel) Part 2 "ye payam de gayi hai mujhe bad-e-subah-gahi"....

 Allamah Iqbaal (Baale jibreel) Part 2 "ye payam de gayi hai mujhe bad-e-subah-gahi"....



Description-




ye payām de ga.ī hai mujhe bād-e-sub.h-gāhī

ki ḳhudī ke ārifoñ kā hai maqām pādshāhī...


Tashreeh-

Baad-e-subh-gahi yani "zafeer" (subah ki Tazah hawa) mtlb subah Ki taaja hawa ki misaal dekar Allama hamen beshqiimti hikmat se waqif karane ki koshish karte hain, 

Soye hue logon ki jb subah hoti hai yani woh Apne jahan ko andhere se ujale mein lekar aate Hain, To unhen zindagi se muta'alluq kuch ahem paigham hasil hote hain, jis trah subah ki hawa be-had khubsurt aur nayepan se bhari hoti hai, usi tarah hm apni nind se jb bedaar hote hain to tazgi se waqfiyat haasil hoti hai, 

                  Allamah Iqbaal ne Apne bahut se shear o gazal mein "khudi" ka zikr Kiya hai aur is shear mein bhi unhone khudi par roshnayi Ki hai, "Aarifon" yani khud ko janne wala muqaddas aadmi, andar se pahchan wala..

           Ke jisne khud ko pahchan liya aur apne andar ki sacchai ko Jaan liya vah is duniya o jahaan Ka Baadshaah hai, vah Apne dil par Raaj kar sakta hai, kabhi dusron se nafuz (influence) Nahin ho sakta hai, uske upar Kisi Ke bhi bekar ki baton ka koi asar Nahin ho sakta hai...



terī zindagī isī se terī aabrū isī se

jo rahī ḳhudī to shāhī na rahī to rū-siyāhī...


Tashreeh-

"Khudi" ki taraf taghleez krte hue kehte hain ki, Teri haqiqi zindagi se wabasta is nemat ke zariye hi tera wajood roshan hai, yhi teri asal zindagi hai aur Isi ke hone se Tu hai,

           "khudi" wo hai jo hme qudrat se jodti hai, wo kahin bahar nhin hmare andar hi dastyab hai, bs use talash krne ki zarurat hai aur khud ko dusron ke (Raye) nazariye se Aazad krne ki zaroorat hai, jab hm is zamane ke guman se reha ho jate hain, to hme "khudi " ka ehsaas hone lag jata hai, 

                                       Ab ek qadam aage badhkar sochte hain, ki agar khudi ko hmne talaash liya, jo ki maujood hai use pahchaan liya to ham apni duiyaa ke badshaah honge, hm apni har choti nafsi khwahishat ke piche nhin bhagenge, apni zindagi ka bada maqsad mutakhib kar sakenge, aur agar ye nhin talaash paye to saari zindagi afsos aur pachtawe ke siwa kuch na hogi, hme zindagi ke har mod par ruswaiyon ka samna karna karna...



               

na diyā nishān-e-manzil mujhe aye hakīm tū ne

mujhe kyā gila ho tujh se tū na rah-nashīñ na raahī...


Tashreeh-

Yahan par hakim se muraad- falsafi (philosopher) se hai, jo ki zindagi ke haqayeq se hme aagah kraane ka dawa karte hain...

 فلسفہ میں مشغول یا سیکھا ہوا کوئی فرد ، خاص طور پر ایک تعلیمی ڈسپلن کے طور پر

          Allamah Iqbaal falsafiyon ko mukhatib krte hue kehte hain ki, tune mujhe sirf (materialistic world) madiyat pasand duniya ke bare me btaya, haqiqat yeh hai Ki asal falsafah yani nishaane manzil, jiske ishare se hme zindagi ki manzil mil jaye..

   khuda Ke banae hue raaston ko koi samajh hi Nahin Saka hai isliye tune bhi sirf madiyat ko hi is duniya Ki manzil samajh liya is duniya mein kuchh hasil kar Lene ko hi maqsad-e-zindagi smjh liya, aur ise hi hme batla diya..

                         Lekin mujhe tujhse koi shikayat nhin, tm to falsafi the duniya-e-masnuyi ki akkasi krne wale, qki mai janta hun tu khud us manzil ka na rah-nashee'n hai, na raahi, mtlb na us raaste par chala, na ruka.. tujhe to bas ye duniya jaisi nazar aayi waise hi bta diya...



mere halqa-e-suḳhan meñ abhī zer-e-tarbiyat haiñ

Wo gadā ki jānte haiñ rah-o-rasm-e-kaj-kulāhī..


Tashreeh-

Mere halqa-e-sukhan, yani (baaton ka daayra)  jisme apne lafzon ko apni tarbiyat ke tahet kuch dayron me qaid kiya hua hai..

        Muraad yeh hai Ki is duniya me sbkuch khatam ho jane wala hai, yahan hm jo kuch bhi hasil karenge sab isi mizaan me reh jayega, kuch bhi hm lekar nhin jaa sakte, isliye Iqbaal sahab hm sbko tarbiyat par ghaur krne ki taqeed kar rhe hain...

   Allaamah kehte hain ki mera halqa-e-sukhan yani Mera kalam is zameen me hmesha zindah rahega, isliye maine kuch tarbiyat rkhi hai apne lafzon me... 

      Aur fir wo chahe Baadshaah hon ya faqeer sabhi ko is duniyaa-e-nizam se hokar hi guzarna hai..



ye muāmle haiñ nāzuk jo terī razā ho tū kar

ki mujhe to ḳhush na aayā ye tarīq-e-ḳhānqāhī...


Tashreeh-

Ye khanqahi ka jo zamana chal raha hai, wo mujhe ek aankh na bhaya, Khanqahi se muraad ye hai ki jo peer-faqir darghah me baithe hote hain, log unhe zariya-e-fariyad samjh baithe hain, unse apni Duwa o iltejaaon ki rakam diya krte hain, mtlb ye tariqa khuda se kuch mangne ka, fariyaad krne ka mujhe to smjh nhin aata..

            Iqbaal kehte hain ki is pure nezaam se kya huwa? Kyaa aapke andar ruhani shifa bakhshi, kyaa aapka Apne Rab se rabta qayem huwa.. jab tk apne andar eimaan na ho, apne dil se Allaah ki zaat par Aqidah na ho, apne Khuda se baraah-Raast mukalma na ho, Aitmaad paida na ho, to duniya ke saare makhluq milkar bhi mere liye Duwa o fariyaad me lag jayen, to bhi usse Mera kuch bhala nhin hoga...

             Ye cheezen khud se samajhne ki hain bariki se, mgr jo tujhe krna hai tu wo hi kar, ke jisne khudi ko talaash liya, usne khuda ko bhi paa liya...



 humā kā hai shikārī abhī ibtidā hai terī

nahīñ maslahat se ḳhālī ye jahān-e-murġh-o-māhī...


Tashreeh-

Ye Danishwar duniya (intellectual society) hme kyaa sikhati hai?  Ye darasal hame apne hwaye nafs ko pura krne ke liye majbur krti hai, apni choti-choti hawas ko pura krne me laga deti hai, jisse aage insaan soch hi nhin paya, uska zehen wahin tk mahdood reh jata hai,

        Allamah ne iski Huma, (jo "ek shandaar chidiya" hai) se misaal diya hai, jaise insaan apni bhukh ko mitaane ke liye ek masoom, choti si chidhiya ko maar diya karte hain,

        isi tarah insaan apne chote-chote se faide ke liye mu'aashre ke bahut se nuqsanaat behichak krte rhte hain, fir wo chahe Murgh-o-mahi (murgha wa machli hi kyon na ho...

  (Badi cheezon ko maqsad banakar uske piche bhagna chahiye, na ki in choti choti cheezon ke )




tū Arab ho yā ajam ho terā Lā ilaah illā

luġhat-e-ġharīb jab tak terā dil na de gavāhī...


Tashreeh-

Is shear me Allamah ne be-had dil ko choone wali bat kahi hai, jo ki harf-e-aakhir hai..

              Tu chaahe duniya ke kisi bhi kone se ta'alluq rkhta ho, Kisi bhi watan ka rahne wala ho, chahe wo Arab ho ya Iraan, tujhe Arbi aati hai ya nhin, tu Agar Allaah ka qalma dil se padhta hai, tbhi uskaa haqiqi lafze Asar hota hai, tbhi uska ruhaani ma'ane nikalta hai,  (La ilaah illallaah) yani Allaah ke siwa koi ma'abud nhin, unke aqide me kisi ko bhi shariq na kre,

        Jab tak aapka dil, aapki aankhen, aapki zubaan, aur jism ka har ek Ajzaa is qalme ko qubool na kren, aur ispar dil se Amal krke Allaah ki zaat par Aqidah na  rkhen.. Warna fir to ye sirf ek Lafz hain, jo ki lughat-e-gareeb hain, yani uska koi mtlb nhin wo ( grammatically) bhi kmzor hai....



Comments

Popular posts from this blog

Ghalib ke sher aur Tashreeh

Urdu Nazm Ghalib ke sher aur Tashreeh (Dil hi to hai...) Dil hi  to hai na sang wa khasht dard se bhar na aaye kyon Royenge ham hazaar bar koi hamen rulaye kyon.. Translate- Shayar apne dil se shikast hote hue kehta hai ki, insaan ke paas dil hota hai, aur dil ehsaas ke liye hota hai, aur ranj  ho ya Khushi har baat ka ehsas Dil per hi hota hai, ranj me insaan rota hai, Aashiq kahta hai ki hamare Rone par tu  kyon humko samjhata hai, ye dil hi to hai koi eent aur paththar to nhin hai jispar kisi qism ka asar hi na ho..              Hm to hazaar bar royenge koi hme rulata hi kyon hai jab bad me naseehaten krni hai... Der nhin, haram nhin, dar nhin, Aasta'n nhin Baithe hain rah-guzar pe hm koi hamen uthaye kyon... Translate-  Hm sufi (saints) hain, aur sufi ko mandir ya masjid se koi sarokaar ya mtlb nhin hotaa, hm na kisi ki tareef krte hain.. na kisi ki tauheen, na ham kisi ke raaste me aate hain.. hm to shaah-e-Raah par baithe hue ...

Khizr-e-raah (sarmayah o mehnat) Tashreeh part-1

  Khizr-e-raah (sarmayah o mehnat) Tashreeh- part*1*- banda-e-mazdūr ko jā kar merā paiġhām de ḳhizr kā paiġhām kyā hai ye payām-e-kāaynāt.. Translate- Hazrat khizr A.S. farmate hain ki Aye Iqbaal tum jaakar ghulam majduron ko Mera yeh Paigham de do ki ghulami Kai daur guzar chuka hai, wazeh rahe ki bandah-e-mazdur se Muraad woh aam tabqah hai, jo apni jismani aur zahni salahiyat se mehnat aur mulazmat karta hai,          jiske paas sirf waqt ki daulat hai agar uska waqt bika to use kuchh milega Varna wah Faqah-Kashi par majbur Hoga aur Sarmayah-daar ki category mein hukmaran aur jaagirdar tabqah bhi shamil hain, Isi pas-manzar ke sath suniye.... aye ki tujh ko khā gayā sarmāya-dār-e-hīla-gar shāḳh-e-āhū par rahī sadiyoñ talak terī barāt.. Translate- Halat to yeh hai ke saazish karne wala Sarmayah-daar tumhara haq maar raha hai, aur hukumat bhi Isi ke paas hai aur woh tumhare huquq ke liye qanoon-saazi kar raha hai, aur woh tumhare huqooq ka sarkari farmaan...

Bang-e-Dara Himalaya-1 (Tashreeh)

  Bang-e-Dara, Himalaya-1 Allamah Iqbaal ki Nazm ki Tashreeh- Description-  Allamah Iqbaal sahab ne is nazm me Himalay ki bulandi wa khoobsurati ka zikr kiya hai, uski Hindustan me ahmiyat wa khususiyat ko bade dil-nasheen andaz me bayaan kiya hai... (Band-¹) Aye himala e fasile kishware Hindustan  Chumta hai teri peshani ko jhuk kar Aasman... Tashreeh- Hazrat Iqbaal ki ye nazm watan parasti aur qudrat ke husn ki taarif se bhari hui hai,        Allamah Iqbaal koh himalay se mukhatib hokar farmate hain ki teri haisiyat Hindustan ki sar zameen ke liye ek aisi diwaar ki si hai jo apne watan ki muhafiz (hifazat gaar) ho, yahi nhin balki tera wajood is qadar buland bala hai ki mahsoos hota hai ki Aasman khud teri peshaani par bosah de rha hai Tujhme kuch paida nhin derina rozi ke nishaan Tu javaan hai gardish-e-sham o shahar ke darmiyaan... Tashreeh - Agle shear me farmate hain ki ba-zaahir tere wajood me lambi umr ke asraat nazar nhin aate, lekin iske ba-w...