Skip to main content

Pareshaan hoke meri khaak aakhir dil na ban jaaye- Tashreeh of Allamah Iqbaal (Baale jibreel)

 Allamah Iqbaal (Baale jibreel) pareshaan hoke meri khaak aakhir dil na ban jaaye...



Description-






pareshāñ ho ke merī ḳhaak āḳhir dil na ban jaaye..

jo mushkil ab hai yā rab phir vahī mushkil na ban jaaye...


Tashreeh-

Allamah kehte hain, ki mere marne ke baad meri raakh muntashir (bikharna) hone ke baad kahin fir ikatthe hokr dil na ban jaye, yaani fir usme jaan na aa jaye aur wo zindah na ho jaaye, kahin fir se mere liye ek mushkil na ban jaye,

            Dil zindah hone se pareshaani ka sabab yon hai ki tamaam-tar tamannao'n, ummidon aur khwahishon ka markaz dil hi hota hai, saari pareshaaniyon aur Na-ummidiyon ka bhi sabab dil hota hai...

         Wo dil ki tamannayen hi hain, jo insaan ko ek manzil to kbhi dusri manzil ke piche bhatkaati rhtin hain, kisi cheez se mhbbt wa chahat ka sabab bhi dil hai, isliye kahin aisaa na ho ki meri khaak ikaththi hokar dil na bane, aur abhi main jis mushkil se guzar raha hun, fir wahi mushkil na ban jaye...



 kar deñ mujh ko majbūr-e-navā firdaus meñ hūreñ

merā soz-e-darūñ phir garmi-e-mahfil na ban jaaye...


Tashreeh-

Allamah keh rhe hain ki agar main jannat pahunch Gaya aur jannat ki hooron ne agar mujhe apne ishqq me sargosh karne ki koshish krna chaahi, aur kahin wo mujhe izhaar-e-ishq ki kaifiyat ke liye majboor na kar den,

        Jiski wajah se yahaan bhi meri zindagi me fitoor barpaa rha, is tarah wo jannat me bhi mahfil ki ronaq bane rhenge, aur apni kavishon me lge rhenge, unhe sukoon o rahat kahin bhi mayassar na hogi...




kabhī chhodī huī manzil bhī yaad aatī hai raahī ko

khatak sī hai jo siine meñ ġham-e-manzil na ban jaaye...


Tashreeh-

Allamah kehte hain ki kbhi insaan ko apni guzri hui manzil bhi yaad aati hai, jab bachpan me rhta hai to jawaani ko manzil smjhta, aur fir bachpana yaad aata hai, fir kbhi izzat o shohrat ke piche bhagta hai, fir use apna sukoon aur itmenaan yaad aata hai, 

           Aisaa unke saath hota hai jo log apne maqsad-e-hayaat ko bhoole hue hote hain, aur Apne waqt ko fizool kaamo me sarf kar dete hain, aur fir jab palat kr apni umr-e-raftah/ guzri hui zindagi ko dekhte hain to unke dil me ek khatak si paidaa hoti hai, unhe apni chordi hui manzil aati aati hai, aur ye jo seene me khatak hai ye gham-e-manzil na ban jaaye, yani khoyi hui manzil ka pachtawa na reh jaye...

     ( Lehaza apni zindagi aise guzaaren ki jab bhi guzre hue waqt ko palatkar dekhen, to koi khatak koi pachtawa baqi na rahe )




banāyā ishq ne dariyā-e-nā-paidā-karāñ mujh ko

ye merī ḳhud-nigah-dārī merā sāhil na ban jaaye...


Tashreeh-

Allamah kehte hain ki ishq ne mujhe dariya-e-na-paida-karan (aisaa dariya jiska koi kinara na ho) bana diya,

      jab Ishq-e-Haqiqi yani Apne deen ke zariye, Apne nabi (S.A.W.) ki muhabbat ke zariye apni rooh ko be-daar kar leta hai, ruhaani manzil hasil kar leta hai to wo goyaa dariya-e-na-paida-karan ban jata hai, yani ek wasee'a samundar, uske andar wo wus'at paida ho jati hai ki usme ye saara zamin o Aasmaan bhi nhin samaa skta hai,

      Khud-nigah-dari se muraad hai khud ke upase nazar rhna, aur yahi mera sahil na ban jaye, Sahil se muraad hai ek jagah muqaiyad ho jana, agar insaan khud se aur apne jism ke aage kuch dekh hi nhin sakta, to fir wo khud-nigah-dari me hi reh jata hai aur sahil ban jata hai, kabhi manzil tk pahunch hi nhin pata...



kahīñ is Aalam-e-be-rañg-o-bū meñ bhī talab merī

Wahī afsāna-e-dumbāla-e-mahmil na ban jaaye..


Tashreeh-

Aalam-e-be-rang-o-bu ka mtlb Rang aur khushbu ke bina ye duniyaa,  Afsana-e-dumbala-e-mahmil ka mtlb lagataar uunth ki Paalki chalna,

      Yahaan Iqbaal ne us waqeyah ke traf ishara kiya hai, jab majnu ne Laila ko khat likhkr bheja tha, aur khud bhi qasid ke piche piche chalne lage, aur Laila ke qareeb pahunch gye...

       Kehte hain ki is duniya me jeete jee bhi mahboob ke talab me nakaami hui, kahin aisaa na ho ki agle duniyaa me bhi nakaami mil jaaye...



urūj-e-ādam-e-ḳhākī se anjum sahme jaate haiñ

ki ye TuuTā huā taarā mah-e-kāmil na ban jaaye...


Tashreeh-

Urooj-e-Aadam-e-khaki yani maadi insaan ka urooj yani taraqqi, isse Anjum sahme jaate hain, najm ki jama hai Anjum yani sitaare wo dare hue hain wo sahme jate hain, kyon?

         Qki Tutta huwa Tara (insaan) Mah-e-kamil (Mukammal chand) na ban jaaye..

Muraad ye hai ki insaan ko Tutta huwa Tara isliye kaha gaya, qki ye apni asli manzil se bichda huwa hai, jo ki jannat hai, insaan jannat se aaya hai aur uska safar duniya ka jannat ke hi traf hai, wo apni manzil se bichda hua hai abhi,

         to ye jab apne jannat ke safar sa aaghaz karta hai, uski traf badhne ke liye apne rooh ko taiyyaar krta hai to wo bulandiyon aur taraqqiyon ki taraf badhta hai, apni ruhaani taraqqi ki taraf badhta hai to uski taraqqi dekhkr sitaare bhi sahme jaate hain, 

          Muraad ye ke fir wo insaan sitaaron se bhi buland muqaam rkhta hai,

Isi mafhoom ko Allamah Iqbaal ne ek dusri jagah Adaa kiya-


*Pare hai charkhe neeli faam se manzil musalmaan ki,

Sitaare jiski gard-e-Raah hon wo manzil tu tu hai...*






Comments

waqdeel said…
Great job done. I was hoping if you could explain Saqi Nama too. Keep up the good work.
Aiman Alizey said…
I'm working on saqi namah, coming soon... Push on notification so that you could get when I post the specific Explanations.
Anonymous said…
Thanks alot ❤️

Popular posts from this blog

Ghalib ke sher aur Tashreeh

Urdu Nazm Ghalib ke sher aur Tashreeh (Dil hi to hai...) Dil hi  to hai na sang wa khasht dard se bhar na aaye kyon Royenge ham hazaar bar koi hamen rulaye kyon.. Translate- Shayar apne dil se shikast hote hue kehta hai ki, insaan ke paas dil hota hai, aur dil ehsaas ke liye hota hai, aur ranj  ho ya Khushi har baat ka ehsas Dil per hi hota hai, ranj me insaan rota hai, Aashiq kahta hai ki hamare Rone par tu  kyon humko samjhata hai, ye dil hi to hai koi eent aur paththar to nhin hai jispar kisi qism ka asar hi na ho..              Hm to hazaar bar royenge koi hme rulata hi kyon hai jab bad me naseehaten krni hai... Der nhin, haram nhin, dar nhin, Aasta'n nhin Baithe hain rah-guzar pe hm koi hamen uthaye kyon... Translate-  Hm sufi (saints) hain, aur sufi ko mandir ya masjid se koi sarokaar ya mtlb nhin hotaa, hm na kisi ki tareef krte hain.. na kisi ki tauheen, na ham kisi ke raaste me aate hain.. hm to shaah-e-Raah par baithe hue ...

Khizr-e-raah (sarmayah o mehnat) Tashreeh part-1

  Khizr-e-raah (sarmayah o mehnat) Tashreeh- part*1*- banda-e-mazdūr ko jā kar merā paiġhām de ḳhizr kā paiġhām kyā hai ye payām-e-kāaynāt.. Translate- Hazrat khizr A.S. farmate hain ki Aye Iqbaal tum jaakar ghulam majduron ko Mera yeh Paigham de do ki ghulami Kai daur guzar chuka hai, wazeh rahe ki bandah-e-mazdur se Muraad woh aam tabqah hai, jo apni jismani aur zahni salahiyat se mehnat aur mulazmat karta hai,          jiske paas sirf waqt ki daulat hai agar uska waqt bika to use kuchh milega Varna wah Faqah-Kashi par majbur Hoga aur Sarmayah-daar ki category mein hukmaran aur jaagirdar tabqah bhi shamil hain, Isi pas-manzar ke sath suniye.... aye ki tujh ko khā gayā sarmāya-dār-e-hīla-gar shāḳh-e-āhū par rahī sadiyoñ talak terī barāt.. Translate- Halat to yeh hai ke saazish karne wala Sarmayah-daar tumhara haq maar raha hai, aur hukumat bhi Isi ke paas hai aur woh tumhare huquq ke liye qanoon-saazi kar raha hai, aur woh tumhare huqooq ka sarkari farmaan...

Bang-e-Dara Himalaya-1 (Tashreeh)

  Bang-e-Dara, Himalaya-1 Allamah Iqbaal ki Nazm ki Tashreeh- Description-  Allamah Iqbaal sahab ne is nazm me Himalay ki bulandi wa khoobsurati ka zikr kiya hai, uski Hindustan me ahmiyat wa khususiyat ko bade dil-nasheen andaz me bayaan kiya hai... (Band-¹) Aye himala e fasile kishware Hindustan  Chumta hai teri peshani ko jhuk kar Aasman... Tashreeh- Hazrat Iqbaal ki ye nazm watan parasti aur qudrat ke husn ki taarif se bhari hui hai,        Allamah Iqbaal koh himalay se mukhatib hokar farmate hain ki teri haisiyat Hindustan ki sar zameen ke liye ek aisi diwaar ki si hai jo apne watan ki muhafiz (hifazat gaar) ho, yahi nhin balki tera wajood is qadar buland bala hai ki mahsoos hota hai ki Aasman khud teri peshaani par bosah de rha hai Tujhme kuch paida nhin derina rozi ke nishaan Tu javaan hai gardish-e-sham o shahar ke darmiyaan... Tashreeh - Agle shear me farmate hain ki ba-zaahir tere wajood me lambi umr ke asraat nazar nhin aate, lekin iske ba-w...