Skip to main content

Jab ishq sikhata hai Aadab-e-khud Aagahi... Tashreeh in Urdu - Allamah Iqbaal (Baale jibreel 054)

 Jab ishq sikhata hai Aadabe khud Aagahi- 

              Allamah Iqbaal (Baale jibreel)




Description-

"Is ghazal me ham padhenge ki Allamah ne musalmanon ko kis tarah bar-bar tan-Aasani aur kam-kosh ki taraf se be-daar krne ki anthak koshish kiya hai, aur aakhir me unhone hame haq-goyi, sadq o sachchayi, Khuda ke eimaan ko musalmanon ki shaan bataya hai...."






jab ishq sikhātā hai Aadāb-e-ḳhud-āgāhī

khulte haiñ ġhulāmoñ par asrār-e-shahanshāhī..


Tashreeh-

Aadab-e-khud Aagahi se muraad hai khud ke baare me mu'arfat haasil krne ka tariqa, aur apni taaqat (potential) se aagah hona, 
          yaani is shear me Allamah kehte hain ki jab Ishq hmaare Aadab-e-khud Aagahi ka sabab banta hai, yahan Ishq ka mtlb Ishq-e-Haqiqi se hai, Allaah aur uske nabi se ishq, apne deen se ishq ke natije me jab insaan khud ko talaashta hai,
 
         Maslan ye ishq agar zariya bane hme khud ko janne aur pahchanne ka to hamaare upar Asraar-e-shahenshahi  (Baadshaah hone ka raaz) khul jaye, aur Allaah ta'ala us insaan par hukmarani yani Baadshahat ke bhed khol dete hain..



'Attār' ho 'Rūmī' ho 'Rāzī' ho 'Ghazālī' ho
kuchh haath nahīñ aatā be-āh-e-sahar-gāhī..


Tashreeh-

Maojuda Ash'aar me Allamah ne 4 azeem hastiyon ka zikr kiya- 

 Attar -(khwaja Fareed-Ud-deen Attar) Rumi- ( Maulana Jalaal-Ud-deen Rumi) Razi- (Fakhr-Ud-deen Razi) Ghazali-(Imaam Ghazali) 

Ye Mash'hoor o Azeem hasti jinhen Falsafah, Mantak, hikmat, tafseer-e-quraan aur shayri par khususi maharat haasil thi, itne Arse ke ba-wajood inke naam zingah hain aur yaad kiye jaate hain, to iska sabab Aah-e-sahar gaahi (subah uthkar Allaah se rona mangna, ibadat karna) hai, 

           Ye un shakhsiyaat ka Tarz-e-Amal raha, jo unke naam ko aaj bhi zindah o Jawed rakhe hue hai, ek taraf sahar gaahi se unhe khuda ka qurb (Nazdeeki) naseeb hui, dusri taraf mehnat ko apna Sha'war (consciousness) bnaye rkha, 

          Iqbaal Rahmat-Ullaah sahab ko musalmanon ki maujoodah Tarz-e-Amal par afsos hota hai, aur wo chaahte hain ki Musalmanon me wo Aadab paida ho jayen, jinse musalman ghaflat ke andheron se nikal sake, unhone Musalmano ko ghaflat se bedaar krne ke liye likha hai......


Baqaul-e-Iqbaal-

 *Kis qadar tum pe giraa'n subh ki bedaari hai,

Hmse kab pyaar hai? Haan nind tumhe pyaari hai...



naumīd na ho in se aye rahbar-e-farzāna

kam-kosh to haiñ lekin be-zauq nahīñ raahī..


Tashreeh-

Iqbaal is shear me musalman rahnumaao se mukhatib hote hue ummid ka paigham de rhe hain.. 

Musalmanon ke halaat me taghaiyur ka Aasar dekhte hue kehte hain, aye Aqalmand rahnumaa'n ye raahi (musalman) kam kosh yani tan-Aasani, kahili aur susti ke shikaar hain, lekin iska ye mtlb nhin ki inke andar josh jazbah ya himmat maujood nhin, darasal musalman inteshaar (dispersion) ka shikaar the, unke saamne zindagi guzarne ka koi qabil-e-istefadah Amal maujood na tha,

Siyaasi mua'asharti lihaz se bhi zawaal ka shikar the, isliye kam-kosh ho gaye, lekin Iqbaal unki khwabidah salahiyaton ko jagaane ke liye koshishon me lage hain...


Baqaul-e-Iqbaal-

*Nhin hai Na-ummid' Iqbaal apne apne kisht-e-vira'an se,

Zara nam ho to ye mitti badi zarkhez hai saaqi...




Aye tair-e-lāhootī us rizq se maut achchhī

jis rizq se aatī ho parvāz meñ kotāhī..


Tashreeh-

Is shear me Iqbaal ne lafz tair-e-lahooti ka ismtemaal kiya, mtlb ruhani taraqqi ki aakhri manzil hoot hai, yani wo muqaam jahan zaat-e-baari ta'ala ke siwa koi nhin hota, Allamah ne tair-e-lahooti ka lafzz musalmanon ke liye ista'ara kiya hai, 

       Kehte Hain Ki musalman tair-e-lahooti ke maqaam tak parwaz karne ki salahiyat rakhta hai, lihaza wo koi aisa zariya rizq ke husool ka nhin apnata jo jo uske eimaan me kamzori laaye, aur Iqbaal aise Rizq se behtar maut ko qaraar dete hain, jisse musalmanon ka eimaan kamzor hone lag jaye, kyonki musalman ki zindagi ka har lamhaa khudaa ki khushnudi aur qurb chahta hai..

Allamah ne musalmanon ko be-daar krne aur unme josh o jazbah paida karne ke liye kai Ash'aar me iska zikr kiya-


 Baqaul-e-Iqbaal-

*Himmat hai to paida kar firdaus-e-Bareen apna,

Maangi hui jannat se dozakh ka Azaab achcha...




Darā o sikandar se wo mard-e-faqīr aulā

ho jis kī faqīrī meñ bū-e-asadul-lāhaī..


Tashreeh-

Daara aur sikandar bila-shubah do taqatwar Baadshaah the, jinhone duniya mein badi Shaan o shauqat se hukumat Ki, aur bade bade wasee'a ilaaqon par qabzah Kiya, lekin unki Shaan o shauqat ka inhisaar (Dependence) mahez ma'adiyat-parasti (Materialism) par tha, yaani duniyaawi qamyabi ke base par, 

          Unka zikr badshahat aur sultanat ki wus'at (limit) ke hawale se Kiya jata hai, magar unke kirdar o Azmat ka zikr kahin nhin milta..

    Iqbaal in Baadshaaho ke muqaable me kuch faqir aur mard-e-darvesh ko behtar aur Aa'la smjhte hain, jiske andar Hazrat Ali R.A. jaise shakhs jinme bahaduri jurrat-mandi, qana'at pasandi jaisi sifaat maujood ho, isi baat ko unhone apne kai Ash'aar me bayaan kiya hai, jisme se ek hai-

*Man ki daulat haath aati hai to fir jaati nhin, 

Tan ki daulat chaa'on hai, aata hai dhan jata hai dhan...



haq-goī o be-bākī

allāh ke sheroñ ko aatī nahīñ rūbāhī.. 


Tashreeh-

Ye shear mard-e-momin ke hawaale se Iqbaal ke fikr o gardish ki numaindgi karta hai, himmat, jurrat, haq-goyi, be-khaufi,  sadq o sachchayi ko mard-e-momin ki shaan qaraar dete hain, 

      Kehte hain ki khudaa ka banda kbhi bhi rubahi (makkari o chalaki) se kaam nhin leta, wo kabhi lomdi ke trah chalaaki nhin karta, kyonki uske dil me ghair-Ullaah ka khauf nhin hota, aur yahi uski be-khaufi ki Alaamat hai, jo insaan khuda ke siwa kisi se bhi khauf-zadah nhin hota, wahi Allaah ke nazdeek asal momin hota hai, wo hi be-khauf sher hota hai, jo ki aise kisi lomdi se nhi dartaa...


*Hazaar khauf ho, lekin zuba'an ho dil ki rafeeq,

Yahi raha hai azal se qalandaron ka tareeq...


Yahaan ye bat qabil-e-zikr hai ki.. Hazrat  Ali R.A.A. ka laqab bhi sher-e-khudaa tha, jo ki jurrat-mand, haq-parast aur be-khauf the,

ghair-Ullaah ke khauf se paak bande hi jurrat mand wa haq-parasti ka muzaahra kar skte hain... Aur sirf khudaa se khauf-zadah rahne waalon ko, uspar eimaan laane walon ko kbhi bhi makkari, farebi aur jhooth ka sahara sahara nhin lena padta hai, chaahe unki jaan ka zeya kyon na ho...


Meaning-



aadab-e-khud aagahi- khud illm ka tariqa

Asraar-e-shahenshahi- badshaah hone ka raaz

Be-Aah-e-saher gaahi- bagair fariyaad ke subah ka aaghaz

Na-ummid- niraash

Rahbar-e-farzana- zaheen, Aaqil

Kam-kosh- kam-koshish

Be-zauq- baghair khwahish

Tair-e-lahooti- (jibreilheavenly bird

Mard-e-faqir- sanyaasi Aadmi

Buye-Asad Ilaahi- Hazrat Ali

Aaīn-e-javāñ-mardān-  javani ka manshur (certificate)

Be-baaki-  shokhi

Rubaahi-  chalaaki, makkari


 








Comments

Popular posts from this blog

Tashreeh- kabhī aye haqīqat-e-muntazar nazar aa libās-e-majāz mein.. Allamah Iqbaal (Bang-e-Dara)

   Allamah Iqbaal ki Tashreeh- (Bang-e-Dara)    Description-  Is Ghazal me Allamah Iqbaal Rahmat-Ullaah Alaih ne musalmanon ko aur unke Rahnumaao'n ko aitmaad ka rishta qayem karne aur Apne faraayez ko anjaam dene ke liye jazbah paida krne par zor diya hai*   kabhī aye haqīqat-e-muntazar nazar aa libās-e-majāz mein ki hazāroñ sajde tadap rahe haiñ merī jabīn-e-niyāz mein.. Tashreeh- Allamah Iqbaal Rahmat-Ullaah Alaih saheb ne is shear me Haqiqat-e-muntazar yaani Allaah ta'ala ke didaar ki khwahishon ka izhaar kiya hai,          Wo Allaah ki ek zaat jo kbhi kisi shay ke saamne be-naqaab nhin hui, jise insaan apni zaahri aankhon se nhi dekh skta, hmare Nabi S.A.W. ke siwa kisi ne nhin dekha, aur har musalman ke dil me Allaah ko dekhne ki khwahish hoti, aur Ahle jannat jab jannat me jayenge, to sbse badi nemat jo jannat walon ko naseeb hogi wo Allaah ka didaar hi hoga,        Aye Allaah agar kbhi meri nazron ko aapko dekhna naseeb ho to mere maathe hazaaron sajde krte hue tadap ut

Bang-e-Dara Himalaya-1 (Tashreeh)

  Bang-e-Dara, Himalaya-1 Allamah Iqbaal ki Nazm ki Tashreeh- Description-  Allamah Iqbaal sahab ne is nazm me Himalay ki bulandi wa khoobsurati ka zikr kiya hai, uski Hindustan me ahmiyat wa khususiyat ko bade dil-nasheen andaz me bayaan kiya hai... (Band-¹) Aye himala e fasile kishware Hindustan  Chumta hai teri peshani ko jhuk kar Aasman... Tashreeh- Hazrat Iqbaal ki ye nazm watan parasti aur qudrat ke husn ki taarif se bhari hui hai,        Allamah Iqbaal koh himalay se mukhatib hokar farmate hain ki teri haisiyat Hindustan ki sar zameen ke liye ek aisi diwaar ki si hai jo apne watan ki muhafiz (hifazat gaar) ho, yahi nhin balki tera wajood is qadar buland bala hai ki mahsoos hota hai ki Aasman khud teri peshaani par bosah de rha hai Tujhme kuch paida nhin derina rozi ke nishaan Tu javaan hai gardish-e-sham o shahar ke darmiyaan... Tashreeh - Agle shear me farmate hain ki ba-zaahir tere wajood me lambi umr ke asraat nazar nhin aate, lekin iske ba-wajud hm dekhte hain ki tera buland